Arz e Haal :Ahmad Ali Barqi Azmi

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Arz e Haal :Ahmad Ali Barqi Azmi

Post by aabarqi »

Arz e Haal
Ahmad Ali Barqi Azmi

Hote hain unke naam se barpa mushaire
Me’aar e sher unki bala se gire gire

Jo hain zamanh saaz who hain aaj kaamyaab
Ahl e kamal goshah e uzlat mein hain pade

Jinka rusookh hai unhein pahchante hain sab
Ham dekhte hi rah gaye baahar khade khade

Websiton pe log hain khush fahmi ke shikaar
Na aashnaa e haal hain hamsaaye bhi mere

Zindah they jab to unko koi poochhta na thaa
Har daur mein mileinge bahut aise sar phire

Barqi sitam zareefi e haalaat dekhiye
Ab unke naam par hai edaare bade bade
[/size]
Attachments
arz-e-haal.gif
arz-e-haal.gif (34.12 KiB) Viewed 114 times
http://www.drbarqiazmi.com
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Arz e Haal :Ahmad Ali Barqi Azmi

Post by Sarwar A. Raz »

biraadaram Barqi SaaHeb: salaam!

aap kee naz^m shaa,i'ree naheeN bal.k izhaar-e-Haqeeqat hai. ham logoN kaa to yeh Haal hai keh marne ke ba'd to kyaa zindagee meN hee kisee ko naheeN poochhte. kaise kaise baa-kamaal aaYe aur is dunyaa se kooch kar gaYe lekin unheN koyee naheeN jaantaa. nayee nasl kaa to Haal hee a'jeeb hai. woh to apne buzurgoN se aur apnee adabee meeraac se aisee naa-balad hai keh Allah-o-Akbar! bohat afsos hotaa hai lekin is kaa i'laaj koyee naheeN naz^ar aataa. logoN ko is kaa eHsaas hee naheeN hai keh jo qaum yaa nasl apne maaZ^ee kaa idraak naheeN rakhtee us kaa Haal aur mustaqbil donoN hee taareek hote haiN. jin baRe idaaroN kaa aap ne Zikr kiyaa hai unhoN ne kuan saa kaarnaamah anjaam diyaa hai? Urdu ab bhee gumnaam aur be-naam zabaanoN meN shumaar hotee hai. yeh idaare kuchh logoN kee naamwaree aur :Halwe-maaNDe: kaa dhandaa ho kar reh gaYe haiN. aap ke saath Delhi meN Ghalib Academy dekh aayaa hooN. wahaaN Ghalib par koyee baRaa kaam kabhee naheeN huwaa. maGhrib meN log Ghalib ke naam se agar thoRaa saa waaqif haiN to woh Frances Pritchett kee qism ke Ghair-mulkiyoN kee koshishoN kaa nateejah hai.

ek achhee naz^m par daad qubool keejiYe.

Sarwar Alam Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply