Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab!
Aek muddat ba'd aek Ghazal le kar HaaZ^ir-e-khidmat hooN. mulaHiZ^ah keejiye.
Ghazal
jalwah gah-e-jamaal-e-rukh-e-Yaar dekhna!
betaabee-e-nigah-e-talab gaar dekhna!
khuN ranG hai, hamare lahu se wat^an kee khaak!
Aa kar kabhee to kochah-o-baaZaar dekhna!
yeh kis ne Qatl gaah-e-tamannaa se dee Sadaa?
ham uTh gaeY to Garmee-e-baaZaar dekhna!
sooraj kee Zad meN moom ka putla pighal geYaa!
Qismat meN thaa nah saayah-e-deewaar dekhna!
maoj-e-balaa ne itnee bhee mohlat nah dee hameeN!
SaaHil ko dekhna hai yaa patwaar dekhna!
AaeY nah aap pursish-e-beemaar ke liYe!
fursat mile to surkhee-e-akhbaar dekhna!
AeY kaash un se itna :Muzaffar: koee kahe!
pehlu meN apne murGh-e-Gariftaar dekhna!
[/color]Aek muddat ba'd aek Ghazal le kar HaaZ^ir-e-khidmat hooN. mulaHiZ^ah keejiye.