aek Ghazal pesh-e-khidmat hai!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

aek Ghazal pesh-e-khidmat hai!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan aadaab!

Aek muddat ba'd aek Ghazal le kar HaaZ^ir-e-khidmat hooN. mulaHiZ^ah keejiye.

Ghazal

jalwah gah-e-jamaal-e-rukh-e-Yaar dekhna!
betaabee-e-nigah-e-talab gaar dekhna!

khuN ranG hai, hamare lahu se wat^an kee khaak!
Aa kar kabhee to kochah-o-baaZaar dekhna!

yeh kis ne Qatl gaah-e-tamannaa se dee Sadaa?
ham uTh gaeY to Garmee-e-baaZaar dekhna!

sooraj kee Zad meN moom ka putla pighal geYaa!
Qismat meN thaa nah saayah-e-deewaar dekhna!

maoj-e-balaa ne itnee bhee mohlat nah dee hameeN!
SaaHil ko dekhna hai yaa patwaar dekhna!

AaeY nah aap pursish-e-beemaar ke liYe!
fursat mile to surkhee-e-akhbaar dekhna!

AeY kaash un se itna :Muzaffar: koee kahe!
pehlu meN apne murGh-e-Gariftaar dekhna!
[/color]
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: aek Ghazal pesh-e-khidmat hai!

Post by sbashwar »

MoHtaram Muzaffar Ahmad Muzaffar Saheb
:salaam2:

jalwah gah-e-jamaal-e-rukh-e-Yaar dekhna!
betaabee-e-nigah-e-talab gaar dekhna!

maoj-e-balaa ne itnee bhee mohlat nah dee hameeN!
SaaHil ko dekhna hai yaa patwaar dekhna!

Bohat khoob. Iss umda ghazal par meri daad o mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Re: aek Ghazal pesh-e-khidmat hai!

Post by aabarqi »

Soz e durooN ayaaN hai Muzaffar ka sar basar
Sher o sukhan ka un ke yeh me'aar dekhna

Hai fikr o fun ka ek haseeN imtezaaj yeh
Soz o gudaaz o shokhi e guftaar dekhna

Urdu Adab ke aaj woh LondoN meiN hain safeer
Sher o Adab meiN un ka yeh kirdaar dekhna
Mukhlis
Ahmad Ali Barqi Azmi
http://www.drbarqiazmi.com
Post Reply