ek ghazal k saath is ummeed par hazir hooN ,keh apkopasand aeygii.asaatizah kiraam ki aa,raa ki bhi muntazir rahoongii.

1=ho sake to mehrbaaN! mujh par ik ehsaaN kijiye
aap haiN jis meiN makeeN, wo dil na weeraaN kijiyey
2=mausim-e-gul ka taqaazah hayba-unwaan-e-bahaar
aap agar hamraah hoN, khud ko Ghazal-khaaN kijiyey
3=shiddat-e-eh,saas se har aaNkh lau dene lagay
dil ke daaGhoN ko kuch-is,tarhaa numaayaaN kijiyey
4=dekh kar unko pishemaan-e-jafaa, kehta hay dil
nazr-e-husn-e-dost phir naqd-e-dil-o-jaaN kijiyey
5=asr-e-nau ke aadamii ke muzmahil eh,saas ko
mish,al-e-eesaar ki zau se furozaaN kijiyey
6=zindagii ke aainah-khaane pe yuuN kije nigaah
aap hoN hairaan, NAJMA ko bhi hairaaN kijiyey
:NAJJMA ANSAR NAJMA