kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai ?

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai ?

Post by ismail ajaz »

urdubandhan ke chaahne waaloN ko Khayaal kaa aadaab ,ek taazah kalaam aiHbaab kee Khidmat meN

arz kiya hai


kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai ?
Soorat se hai bezaar tuu , gardan bhee tanee hai

hai teraa jo farmaan wohee meraa hai kaihnaa
bheje meN tire kis liye yeh jaNg Thanee hai ?

ulfat kee tawaqqoA hai tujhe mujh se tow har pal
chehre peh tire phir bhee naheeN KhaNdah zanee hai

daa'Eee hai tuu ilm o adab shEr o suKhan kaa
kyuN teree zubaaN turshee o nafrat kee janee hai ?

nafrat kee agar dhoop ne jhulsaayaa hai tujh ko
aa meree muHabbat meN baRee chaaNowN ghanee hai

mil jul ke kareN kaam hum Allah kee raZaa meN
woh kaam "Khayaal" jis ke liye dunyaa banee hai


Ismail Ajaz Khayaal
Attachments
kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai.gif
kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai.gif (23.81 KiB) Viewed 344 times

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai ?

Post by sbashwar »

MoHtaram Ismail Ajaz Khayaal SaHeb
:salaam2:

daa'Eee hai tuu ilm o adab shEr o suKhan kaa
kyuN teree zubaaN turshee o nafrat kee janee hai ?

Bohat achchi ghazal hai. Maqta bhi bohat khoob hai. Daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai ?

Post by ismail ajaz »

sbashwar wrote:MoHtaram Ismail Ajaz Khayaal SaHeb
:salaam2:

daa'Eee hai tuu ilm o adab shEr o suKhan kaa
kyuN teree zubaaN turshee o nafrat kee janee hai ?

Bohat achchi ghazal hai. Maqta bhi bohat khoob hai. Daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

janaab moHtaram Salem Bashwar SaaHeb

salaam pesh e Khidmat hai,aap kaa dil kee gaihraa'iyoN se shukrguzaar hooN maiN
duaa'oN meN yaad rakhiye

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
User avatar
nafeesa
-
-
Posts: 113
Joined: Wed Jul 23, 2008 7:01 am
Location: Bangalore
Contact:

Re: kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai ?

Post by nafeesa »

Ghazal par meri dad pesh hai.
http://www.nauticatravels.com
Travel agency, Bangalore, India.
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: kyuN lab peh tire mere liye taanah zanee hai ?

Post by ismail ajaz »

nafeesa wrote:Ghazal par meri dad pesh hai.

bohot shukriyah nafeesa SaaHebah

Allah aap ko duniyaa o aaKhirat kee izzateN aur KhushiyaaN ataa farmaa'ey

mamnoon

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Post Reply