ek taaZah kalaam ke saath Khayaal kaa urdubandhan aur uske chaahne waaloN ko aadaab
Arz Khidmat hai
naaow chaltee rahe biphre huwe maNjdhaar ke saath
mauj laRtee hai tow laRtee rahe patwaar ke saath
zindagee waqt kee tuGhyaanee se Doobe ubhre
saaNs rukne lage ummeed kee raftaar ke saath
uR rahaa hai jo tuu be Khauf saa paNchhee aazaad
daam meN aa'ey gaa Sayyaad ke , pinddaar ke saath
hosh jabb aa'ey gaa ikk roz tujhe ay SaaHeb
maantaa jaa'ey gaa har baat tuu inkaar ke saath
haiN sitamgar mire dil par tire aiHsaan bohot
zaKhm naasoor bane jaate haiN guftaar ke saath
kal talak chup kee mohr tujh peh yuN lag jaa'ey gee
" jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
jisko mil jaa'ey urooj uspeh zawaal aataa hai
waqt aa'eenah dikhaataa hai , tow kirdaar ke saath
maiN naheeN Dartaa "Khayaal" naa hee maiN ghabraataa hooN
khul ke kaih detaa hooN har baat baRe pyaar ke saath
Ismail Ajaz Khayaal
" jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- ismail ajaz
- -
- Posts: 436
- Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm
" jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
- Attachments
-
- jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath.gif (25.49 KiB) Viewed 648 times
محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا
muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Ismail Ajaz Khayaal
(خیال)
Re: " jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
Masha-Aallah, bohat khoob.
-
- -
- Posts: 49
- Joined: Sun Oct 31, 2010 6:06 am
- Contact:
Re: " jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
Khayal saheb
Keya kahnay
Bohat bohat daad
Mukhlis:Raushan Jahan
-
- -
- Posts: 85
- Joined: Sun Jan 31, 2010 10:51 am
- Contact:
Re: " jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
Khayal saheb Keya kahnay Bohat bohat daad hazir hai.
- ismail ajaz
- -
- Posts: 436
- Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm
Re: " jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
janaab moHtaram NAJEEB SaaHebnajeeb wrote:Masha-Aallah, bohat khoob.
Allah aap ko dunyaa o aaKhirat kee KhushiyaaN aur izzateN marHamat farmaa'ey aapkaa beHad shukriyah
mamnoon
محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا
muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Ismail Ajaz Khayaal
(خیال)
- ismail ajaz
- -
- Posts: 436
- Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm
Re: " jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
rausha jahan SaaHebahraushanjahan wrote:
Khayal saheb
Keya kahnay
Bohat bohat daad
Mukhlis:Raushan Jahan
haNstee rahiye muskuraatee rahiye
Allah aapko duniyaa o aaKhirat kee KhushiyaaN aur izzatteN Ataa farmaa'ey
mamnoon
محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا
muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Ismail Ajaz Khayaal
(خیال)
- ismail ajaz
- -
- Posts: 436
- Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm
Re: " jaise taSweer lagaa de ko'ee deewaar ke saath "
janaab moHtaram HASAN AATISH SaaHebHasan Aatish wrote:Khayal saheb Keya kahnay Bohat bohat daad hazir hai.
zarrah nawaazee hai aapkee ,Allah aapko sadaa Khush rakkhe dunyaa o aaKhirat kee izzateN Ataa farmaa'ey
mamnoon
محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا
muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Ismail Ajaz Khayaal
(خیال)