yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!
aaj hee ek naz^m ("shab-gaZeedah saHar") huyee hai jo pesh kar rahaa hooN. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh` diYe haiN. mumkin hai keh kisee ko Z^aroorat ho.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================
SHAB-GAZEEDAH SAHAR
shab-gaZeedah hai saHar, us peh yeh tanhaayee hai!
zindagee kh`eeNch ke mujh` ko kahaaN le aayee hai?
dil giraaN-Haal, jigar soKhtah , lab haiN Khaamosh!
doosroN kee Khabar ab aur nah hee apnaa hosh!
i'shq Hairaan-o-pareshaan hai HirmaaN-bar-dosh!
Husn aur us kee ra,o'onat! keh hai ikraam-farosh!
waqt ne kar diyaa har lamHah-e-guZaraaN bad-hosh!
zindagee Hasrat-e-naakaam kee hai Halqah-bagosh!
har Khudaa apnee Khudaayee ke nashe meN madhosh!
ab yahaaN koyee naheeN gosh-bar-aawaaz-e-sarosh!
aur aise meN tiree yaad chalee aayee hai!
=========================
shab-gaZeedah = raat kee kaaTee (maaree) huyee
giraaN-Haal = buree Haalat meN
soKhtah = jalaa huwaa
HirmaaN = Gham, ranj
dosh = kandh`aa
HirmaaN-bardosh = kandh`oN par Gham kaa bojh` liYe
ra,o'onat = Ghuroor (=arrogance)
ikraam-farosh = apnee muHabbat faroKht karne waalaa
lamHah-e-guZaraaN = guZartaa huwaa waqt
Halqah = bundah (ring)
Halqah-bagosh = kaan meN kisee ke naam kaa bundah pehne (=us kaa Ghulaam)
gosh-bar-aawaaz = aawaaz par kaan lagaaYe
sarosh = farishtah
naz^m: shab-gaZeedah saHar
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
naz^m: shab-gaZeedah saHar
- Attachments
-
- nz-shabgazeedahsahar.gif (11.03 KiB) Viewed 408 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Tue Apr 12, 2005 1:07 pm, edited 1 time in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:

janaab sarwar a r :sarwar: sahib!
assalam-o-alaikum
hasb-e-maa,mool aap ka ye kalaam bhi umdah hay.bohat khoob aamad hay.
daad qubool kijiye ga
ek arz hay:
maiN wazahat tio naheeN kar saktii, lekin zehn meiN kaheeN yuuN ubharta hay keh
shab-gaZeedah hai saHar, us peh yeh tanhaayee hai!
zindagee kh`eeNch kar mujh` ko kahaaN le aayee hai?
(zindagii kh,eeNch kar) meiN(''kar'' ki bajaey''ke'' ho to mujhe adaaigii meiN mazeed sahoolat mehsoos huee)
plz ise tanqeed na jaaniyega, sirf apnii ma,loomaat meIn izafa chah,tee hooN.
kalaam be-had pasand aayaa hay, ek baar phir dilii daad qubool farmaiyye
khair andesh
najma

- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Re: naz^m: shab-gaZeedah saHar
waaaaaaaaaaaaaaaaaaah zabardast!!!!!Sarwar Raz wrote:yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!
aaj hee ek naz^m ("shab-gaZeedah saHar") huyee hai jo pesh kar rahaa hooN. aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. mushkil alfaaz^ ke ma'nee likh` diYe haiN. mumkin hai keh kisee ko Z^aroorat ho.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================
SHAB-GAZEEDAH SAHAR
shab-gaZeedah hai saHar, us peh yeh tanhaayee hai!
zindagee kh`eeNch kar mujh` ko kahaaN le aayee hai?
dil giraaN-Haal, jigar soKhtah , lab haiN Khaamosh!
doosroN kee Khabar ab aur nah hee apnaa hosh!
i'shq Hairaan-o-pareshaan hai HirmaaN-bar-dosh!
Husn aur us kee ra,o'onat! keh hai ikraam-farosh!
waqt ne kar diyaa har lamHah-e-guZaraaN bad-hosh!
zindagee Hasrat-e-naakaam kee hai Halqah-bagosh!
har Khudaa apnee Khudaayee ke nashe meN madhosh!
ab yahaaN koyee naheeN gosh-bar-aawaaz-e-sarosh!
aur aise meN tiree yaad chalee aayee hai!
=========================
shab-gaZeedah = raat kee kaaTee (maaree) huyee
giraaN-Haal = buree Haalat meN
soKhtah = jalaa huwaa
HirmaaN = Gham, ranj
dosh = kandh`aa
HirmaaN-bardosh = kandh`oN par Gham kaa bojh` liYe
ra,o'onat = Ghuroor (=arrogance)
ikraam-farosh = apnee muHabbat faroKht karne waalaa
lamHah-e-guZaraaN = guZartaa huwaa waqt
Halqah = bundah (ring)
Halqah-bagosh = kaan meN kisee ke naam kaa bundah pehne (=us kaa Ghulaam)
gosh-bar-aawaaz = aawaaz par kaan lagaaYe
sarosh = farishtah
=D>
alfaaz kaa intekhaab aur bohat ache mazaameen nikaale heN aap ne
daad Hazir hai.
khush rehiay
wassalam
live and let live
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Najma SaaHebah:aadaab!
daad aur tabSireh kaa shukriyah. tanqeed kaa Haq sab ko baraabar kaa hai aur aap kee tanqeed se mujh` ko koyee taraddud naheeN hai! "kar" ke bajaaYe :ke: kiyaa jaa saktaa hai. bal.k maiN kiye detaa hooN. tajweez ke liYe mamnoon hooN.
Sarwar A. A. Raz "Sarwar"
daad aur tabSireh kaa shukriyah. tanqeed kaa Haq sab ko baraabar kaa hai aur aap kee tanqeed se mujh` ko koyee taraddud naheeN hai! "kar" ke bajaaYe :ke: kiyaa jaa saktaa hai. bal.k maiN kiye detaa hooN. tajweez ke liYe mamnoon hooN.
Sarwar A. A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Tahira SaaHebah:aadaab!
naz^m kee pasandeedagee aur daad kaa dilee shukriyah qubool keejiYe. aap kee :aaNkheN: waalee Ghazal dekh`ee th`ee. daad yaheeN diYe detaa hooN. waqt milaa to us par shaayad likh`ooN!

mukarramee Najm SaaHeb: aadaab!
naz^m kee paZeeraayee kaa dilee shukriyah qubool keejiYe. aap kee :lut^f: waalee Ghazal dekh`ee th`ee aur us kee takmeel kaa muntaz^ir hooN!