anta_aksharii...gaanoN kii bait_baazii

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

anta_aksharii...gaanoN kii bait_baazii

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

:idea: ham she'roN kii bait_baazii ka khel to khel hii rahe haiN, lihaaza sochaa ki ab ek laRii gaanoN kii bait_baazii [anta_aksharii: ant=end; akshar=Harf] kheli jaaye. kia Khayaal hai? aap Indian ya Pakistanii filmoN ke gaane QOUTE kar sakte haiN. THEEK? :-)

maiN ne yeh baat NOTE kii hai ki jis qism kii "bait-baazii" kaa khel ham khel rahe haiN us meN urdu ke Huroof-e-tahajjii iste'maal karte haiN...yeh baat hai to munaasib magar is meN ek mushkil dar_pesh aatii hai...aur vo yeh hai ki hamaare diye gaye she'roN kaa Khaatima chand Huroof par hii hote haiN, masalan YE, ALIF, NOON, HE [majhoola] aur kisi Had tak VAAO, is taraH khel meN dil_chaspii baaqii nahiiN rahtii.

:idea: is noqs ko raf'a karne ke liye maiN ne ek tarkeeb sochii hai. aur vo tarkeeb hai:

she'r ke jawaab meN aap jo bhii she'r deNge vo AAKHRI lafz ke AAKHIRI Harf se shur'uu hone ke bajaaye she'r ke PAHLE lafz ke PAHLE Harf se shur'uu hogaa, masalan:

she'r:

kia se kia ho gaya, be_vafaa! tere pyaar meN
chaahaa kia, kia milaa! be_vafaa! tere pyaar meN

ab agla she'r diye gaye she'r ke aaKhirii lafz ke aaKhirii Harf Harf-e-"NOON" se shur'u hone ke bajaaye she'r ke pahle lafz ke pahle Harf se shur'u hogaa. ya'nii Harf-e-"KAAF". Theek?

so, lets get ROLLING:

pahle gaane ke bol haiN:


aane se uske aaye bahaar
jaane se uske jaaye bahaar
baRi mastaanii hai merii meHbooba
merii zindagaanii hai merii meHbooba


gulukaar: MoHammad Raf'ii
film: Jeene Kii Raah


agla naGhma Harf-e- "ALIF" se marHamat farmaayeN. shukria
Last edited by Hashmat Usmani on Tue Jul 05, 2005 2:07 am, edited 2 times in total.
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

OOPS!!! :roll: :roll: :roll:

jo RULES maiN ne bataaye haiN us Hisaab se yeh anta_aksharii hamesha 'ALIF" se hii hotii rahegii... :-k

chaliye maiN ne RULES Theek kar diyaa hai...ab se aapko agla gaanaa pahle lafz ke aaKhirii Harf se denaa hogaa. Theek?
:lol: :mrgreen: =D>

aapke naGhme ke pahle lafz "AAJ" kaa aaKhirii Harf thaa "JEEM", so Harf-e-"JEEM" se agle gaane ke bol shur'u hote haiN:

jab jab bahaar aayii, aur phool muskuraaye
mujhe tum yaad aaye, mujhe tum yaad aaye


mere gaane ke pahle lafz "JAB" ka aaKhirii Harf hai "BE" so, agla gaanaa Harf-e-"BE" se dijiiye. shukria.
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

Harf-e-"DAAL" se yeh gaanaa:

dard-e-dil, dard-e-jigar, dil meN jagaayaa aapne
pahle to maiN shaair thaa, 'aashiq banaayaa aap ne


ittafaaqan, agla naGhna bhii Harf-e-"DAAL" se hii. :lol:
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

lafz-e-"DhuunDho" meN aaKhirii lafz URDU ke Hisaab se "VAAO" hai, is liye:

Harf-e-"VAAO" se gaanaa:


vahaaN kaun hai tiraa? musaafir jaayegaa kahaaN?
dam le le ghaRii bhar! yeh chhaiNyaaN paayegaa kahaaN!!


gulu-kaar: S.D. Burman
film: Guide


agla naGhma Harf-e-"NOON" se
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

mere mai'Hbuub! tujhe merii moHabbat kii qasam
phir mujhe nargisii aaNkhoN kaa sahaaraa de de


guluu_kaar: MoHammad Raf'ii
film: Mere Mai'Hboob


aglaa gaanaa Harf-e-"YE" se
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

chhoTi "he" se:

ham_dam mere! maan bhii jaao, kahna mere pyaar kaa
are halkaa, halkaa...surKh laboN pe...rang to hai iqraar kaa


guluu_kaar: MoHammad Raf'ii
Film: mere sanam


agla gaanaa Harf-e-"meem" se
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

na na kar ke pyaar mujhi se kar baiThiiN
karna thaa inkaar, magar iqraar mujhii se kar baiThiiN
:wink: :-)

gulu_kaar: Lata Mangeshkar
Film: Professor


Harf-e-"ALIF" se
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

sara_j wrote:
Hashmat Usmani wrote:na na kar ke pyaar mujhi se kar baiThiiN
karna thaa inkaar, magar iqraar mujhii se kar baiThiiN
:wink: :-)

gulu_kaar: Lata Mangeshkar
Film: Professor


Harf-e-"ALIF" se
gaane ke sahi bol likhiye please.

awaara hoon....awaara hoon

yaa gardish mein asmaan ka taara hoon.
oh :o to kia gaane ke bol Ghalat the? :o chaliye koii baat nahiiN...kia farq paRta hai! ;)

Harf-e-"ALIF" se naGhmaa Haazir hai:


aa jaa! aaii bahaar! dil hai be_qaraaroN meN
Raaj Kumaar! tire bin rahaa na jaaye, aa jaa!


gulu_kaarah: Lata Mangeshkar
Film: raaj Kumaar


agla naGhma Harf-e-"ALIF" se hii!
Image
User avatar
rahmed25682
-
-
Posts: 126
Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
Location: Karachi
Contact:

Post by rahmed25682 »

Salam Dosto ...

ALIF say gana paish hay ...

IK HASEEN SHAAM KO DIL MERA KHO GAYA

Singer : M.Rafi

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
Kab Say HooN , Kia BataaooN Jahan-e-Kharab Main
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

Harf-e-"KAAF" se gaanaa pesh-e-Khidmat hai:

kabhii kabhii mire dil meN Khayaal aataa hai
ki jaise tujhko banaayaa gayaa hai mere liye


agla gaanaa Harf-e-"YE" se plz
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

Saara aapko shaayad yaad nahiiN ... ham agla gaanaa diye gaye gaane ke pahle lafz ke aaKhiri Harf se dete haiN...yaad aayaa?

to aapkaa pahla lafz thaa YEH to mujhe aaKhirii Harf ya'nii Harf-e-"chhoTi he" se gaanaa pesh-e-Khidmat hai:


ham aapakii aa.Nkho.n me.n, is dil ko basaa de.n to
ham muu.Nd ke palako.n ko, is dil ko sazaa de.n to
ham aapakii aa.Nkho.n me.n, is dil ko basaa de.n to


guluu_kaarah: Asha Bhosle
Film: Pyaasaa


agla gaanaa Harf-e-"MEEM" se
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

lafz-e-"mere" ke aaKhirii Harf "YE" se gaanaa Haazir-e-Khidmat hai:

yuNhii tum mujh se baat kartii ho
yaa koii pyaar kaa iraada hai
adaayeN dil kii jaantaa hii nahiiN
miraa ham_dam bhii kitnaa saadaa hai


guluu-Kaar: MoHammad Raf'ii AUR Lata Mangeshkar
Film: Maryaada [?]


agla gaanaa Harf-e-"YE" se plz.
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

huii shaam unkaa Khayaal aa gayaa
vohii zindagii kaa savaal aa gayaa


guluu_kaar: MoHammad Raf'ii
Film: Mere Hamdam Mere Dost


aglaa naGhmaa Harf-e-"YE" se plz
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

huye haiN tum pe 'aashiq ham, bhalaa maano, buraa maano!
yeh chaahat ab naa hogii kam, bhalaa maano, buraa maano!!


guluu_kaar: MoHammad Raf'ii
Film: Mere Sanam


agla naGhma Harf-e-"YE" se plz
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

dost dost naa rahaa
pyaar pyaar naa rahaa
zindagii hameN teraa
ai'tabaar naa rahaa,
ai'tabaar naa rahaa


guluu_kaar: Mukesh
Film: Sangam


agla gaanaa Harf-e-"TE" se, plz.
Image
Post Reply