:: Jaan paayaa hoN paas aane se :-) guz# 4

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: Jaan paayaa hoN paas aane se :-) guz# 4

Post by Star Mind »

moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :-)

aaj jab furSat melne par Urdubandhan ki sair karte karte bazm-e-mushaai'ra maiN puhNche to nazar moHtaram ustaad janaab A.Nazir SaaHib k deye gaye t^araHi misra' par paRee to bawaajod is k k abhi chaNd din pehle hi yahaaN par aek Ghazal post ki thee , mujh se rahaa na gayaa , aur foran likhne beTh gayaa , youN chaNd be-tuke ash'aar waarid howe, jo aap ki nazr kar rahaa hoN :lol: :lol:
umeed hai k maayos nahiN kareNge !! :wink:
(yaad rahe ye Ghazal fori hai aur faqat^ chaNd lamHaat ki taKhleeq hai, lihaaza ........!! :lol: :lol: )

to lejeye Ghazal Hazir hai :-)

:: Urdu Version ::
Image

:: Roman Version ::

1.
jaan paayaa hoN paas aane se
baat banti hai door jaane se ! :wink:

2.
kaash jaane woh Ghuncha-lab teraa
"phool khilte haiN muskuraane se!" :grin:

3.
kyaa qayaamat hai hijr ki saa'at !
raat Dhalti nahiN zamaane sey ! :cry: :cry:

4.
Husn ki t^aba'-e-aatasheeN mat poch !
hoNT jalte haiN bheeg jaane sey! :shock:

5.
zindagee ab tu haar jaayegee !
baaz aa mujhko aazmaane sey ! :twisted:

6.
barf dil kii pighalne lagtii hai
un k chehre pe dhoop aane sey ! :P

7.
Koi parwaana jab nahiN maujood
faai'daa kyaa hai dil jalaane se ? :evil:

8.
dolat-e-dard kaa suraaGh :Zia: !
milta hai :Meer: key sarhaane se! :-)
.................................................................

abhi abhi moHtaram Janaab-e-Nazir SaaHib ki Ghazal par nazar paRee to un ka bhi aek misra' kuch youh hai k "faai,da kyaa hai jee jalaane se",
laken is k baawajood maiN apna misra' change nahiN kartaa , kyoNke ye Ghazal likhne k baa'd hi unki Ghazal pe nazar paRee thee, maiN un se ma'zirat chaahtaa hoN :oops:

shukriya

moKhliS : Zia Baloch 8)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Post by Anmol »

:grin:
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

zia saHib

salaam arz hai

huzoor !! aap ki raftaar teiz hai, aur maiN sust.gaam, aap "jet plane" uRaa rahe haiN, aur maiN abhi tak "laila-e-sukhan" ke saath mehmal nasheeN hooN aur zaahir hai, ooNT ki raftaar to "jet plane" se aahista hi hogi :grin: :lol

mazaaq bar.taraf, aap ki ye ghazal bhi pasand aayee ;), maiN bhi aap ko pakaR pakaR ker daad de rahaa hooN ;)

maqta bhi khoob hai, meer ki ustaadi apni jaga, magar ham kia kareN ;), ham ne to saare hathiyaar ghalib ke aage Daal diye haiN ;)

mera maqta kuch yooN hota:

daulat-e-dard mil gayee hai nabeel
she'r ghalib ka gungunaane se :grin: ;)


khush raheN

aur isi taraH apna kalaam hameN sunaate raheN, kam az kam maiN paRh ker thakne vaaloN meiN se nahiN :lol
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: :: Jaan paayaa hoN paas aane se :-) guz# 4

Post by najma »

Star Mind wrote:moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :-)

aaj jab furSat melne par Urdubandhan ki sair karte karte bazm-e-mushaai'ra maiN puhNche to nazar moHtaram ustaad janaab A.Nazir SaaHib k deye gaye t^araHi misra' par paRee to bawaajod is k k abhi chaNd din pehle hi yahaaN par aek Ghazal post ki thee , mujh se rahaa na gayaa , aur foran likhne beTh gayaa , youN chaNd be-tuke ash'aar waarid howe, jo aap ki nazr kar rahaa hoN :lol: :lol:
umeed hai k maayos nahiN kareNge !! :wink:
(yaad rahe ye Ghazal fori hai aur faqat^ chaNd lamHaat ki taKhleeq hai, lihaaza ........!! :lol: :lol: )

to lejeye Ghazal Hazir hai :-)

:: Urdu Version ::
Image

:: Roman Version ::

1.
jaan paayaa hoN paas aane se
baat banti hai door jaane se ! :wink:

2.
kaash jaane woh Ghuncha-lab teraa
"phool khilte haiN muskuraane se!" :grin:

3.
kyaa qayaamat hai hijr ki saa'at !
raat Dhalti nahiN zamaane sey ! :cry: :cry:

4.
Husn ki t^aba'-e-aatasheeN mat poch !
hoNT jalte haiN bheeg jaane sey! :shock:

5.
zindagee ab tu haar jaayegee !
baaz aa mujhko aazmaane sey ! :twisted:

6.
barf dil kii pighalne lagtii hai
un k chehre pe dhoop aane sey ! :P

7.
Koi parwaana jab nahiN maujood
faai'daa kyaa hai dil jalaane se ? :evil:

8.
dolat-e-dard kaa suraaGh :Zia: !
milta hai :Meer: key sarhaane se! :-)
.................................................................

abhi abhi moHtaram Janaab-e-Nazir SaaHib ki Ghazal par nazar paRee to un ka bhi aek misra' kuch youh hai k "faai,da kyaa hai jee jalaane se",
laken is k baawajood maiN apna misra' change nahiN kartaa , kyoNke ye Ghazal likhne k baa'd hi unki Ghazal pe nazar paRee thee, maiN un se ma'zirat chaahtaa hoN :oops:

shukriya

moKhliS : Zia Baloch 8)

zia baloch sahib!
apki ye ek hi nishast meiN likhi gaee ghazal bohat khoob hay.hamesha ki tarah ye bhi bohat pasand aaee.waah kya baat hay.
allaah kare zor-e-qalam aur ziyadah
khair andesh
najma
:-)
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Ibn-e-siddique wrote:zia saHib

salaam arz hai

w/salaam , Amjad SaaHib :)

huzoor !! aap ki raftaar teiz hai, aur maiN sust.gaam, aap "jet plane" uRaa rahe haiN, aur maiN abhi tak "laila-e-sukhan" ke saath mehmal nasheeN hooN aur zaahir hai, ooNT ki raftaar to "jet plane" se aahista hi hogi :grin: :lol

ye kyaa janaab, maana k aaj kal GhazloN ki barsaat horahee hai, magar Huzoor sab hi jaante haiN k miqdaar se zyaada may'aar ki ihmiyyat hoti hai, jo aap k paas hai aur hamaare paas nahiN !! :oops: :cry: :cry:

mazaaq bar.taraf, aap ki ye ghazal bhi pasand aayee ;), maiN bhi aap ko pakaR pakaR ker daad de rahaa hooN ;)

jee , woh to ham dekh hi rahe haiN :lol: :lol:
wese abhi to maiN aek aur Ghazal postne waala hoN , use bhi to dekhnaa hai abhi aap ko !! :lol: :lol:


maqta bhi khoob hai, meer ki ustaadi apni jaga, magar ham kia kareN ;), ham ne to saare hathiyaar ghalib ke aage Daal diye haiN ;)


mera maqta kuch yooN hota:

daulat-e-dard mil gayee hai nabeel
she'r ghalib ka gungunaane se :grin: ;)


shukriya SaaHib :)

waah janaab waah , maan gaye aakhir ustaad to ustaad hi hotaa hai :wink:


khush raheN

aur isi taraH apna kalaam hameN sunaate raheN, kam az kam maiN paRh ker thakne vaaloN meiN se nahiN :lol

jee, aap na thakne ka wa'da karchuke haiN , to ham bhi musalsal sunaane ka wa'da karte haiN aap se :lol: :lol:

Huzoor, aap ki zarra-nawaazi hai sab , warna ham aur hamaari gahzal kis qaabil !! :oops: . bahut bahut shukriya :-)

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: :: Jaan paayaa hoN paas aane se :-) guz# 4

Post by Star Mind »

najma wrote:

zia baloch sahib!
apki ye ek hi nishast meiN likhi gaee ghazal bohat khoob hay.hamesha ki tarah ye bhi bohat pasand aaee.waah kya baat hay.
allaah kare zor-e-qalam aur ziyadah
khair andesh
najma
:-)

Najma SaaHiba, aadaab :)

Huzoor, ye aap ki zarra-nawaazi hai , warna Ghazal maiN aisee koi baat nahiN :oops:
aap ki HauSla-afzaaii keleye bahut shukrguzaar hoN aap ka . aap hamesha meeri Haqeer see kaavishoN ko is tarah saraahtee haiN , ab maiN kyaa bataaoN k mere paas to alfaaz nahiN , jis ne aap ka shukriyaa adaa karsakoN !! :roll:
bahut bahut shukriya :)

moKhliS : Zia Baloch :grin:
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: :: Jaan paayaa hoN paas aane se :-) guz# 4

Post by Star Mind »

sara_j wrote:
Star Mind wrote: :: Roman Version ::

1.
jaan paayaa hoN paas aane se
baat banti hai door jaane se ! :wink:

hmmm......acha ab samjhe!

kyaa samjheN ? :roll: :oops:

2.
kaash jaane woh Ghuncha-lab teraa
"phool khilte haiN muskuraane se!" :grin:

bohat khoob expression hai! mubarak!

jee , zarra-nawaazi hai aap ki . bahut bahut shukriya :-)


3.
kyaa qayaamat hai hijr ki saa'at !
raat Dhalti nahiN zamaane sey ! :cry: :cry:

:-) kya aap safar se wapas aagaye hain ye aane se pehle hi
is souch mein doob gaye hain?

jee safar se waapis aaoN to phir hijr kaisa ? :oops: :lol:
aisee koii baat nahiN , inshaa Allah , jald waapis aajaaoNga :wink:


4.
Husn ki t^aba'-e-aatasheeN mat poch !
hoNT jalte haiN bheeg jaane sey! :shock:

waah! bohat khoob!

shukriya janaab shukriyaa :)

5.
zindagee ab tu haar jaayegee !
baaz aa mujhko aazmaane sey ! :twisted:

:-)

6.
barf dil kii pighalne lagtii hai
un k chehre pe dhoop aane sey ! :P

waah! zabardast! :-)

kyaa kenye janaab , ham to aap ki daad ki mu'tarif hi hogaye :-)
bahut bahut shukriya :)


7.
Koi parwaana jab nahiN maujood
faai'daa kyaa hai dil jalaane se ? :evil:

:lol: very nice!

shukriya , janaab :grin:


8.
dolat-e-dard kaa suraaGh :Zia: !
milta hai :Meer: key sarhaane se! :-)

Bohat khoob Zia saahib!

shukriya Saraa SaaHiba :grin:
.................................................................

moKhliS : Zia Baloch 8) [/b]
:shock: :roll: 8) bohat aankhein mal mal dekhi phir sabke jawaabat dekh ker yaqeen aya ke haan waqai ye tou sitara-e-zehn hain ghazal ka andaaz aur rang waqai un jaise hi hain :grin:


:oops: , ab kyaa kareN Saara SaaHiba, aap to TehreN ustaani , ham to abhi nau-mashq haiN , zaahir hai hamaari Ghazal is sey behtar to nahiN hogee na !! :lol: :lol: :oops:


Zia saahib salaam,

umeed ke apka safar bohat acha guzra hoga. ghazal ke ashaar bohat pasand aaye, jo taazgi aur shokhi apke ashaar mein milti hai unhe parh ker dil khush hojata hai. daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara


Saraa SaaHiba, w/salaam :-)


jee , bahut achcha GUZAR RAHAA HAI (abhi tak waapasi nahiN hoii hai :cry: ) inshaa Allah jadl waapis aajaaoNga :-)
Huzoor , yaqeen jaaneye mujhe to woh lutf GHALIB ka kalaam paRh kar bhi nahiN aataa jo aap k dil-nasheen comments paRh kar aataa hai :wink:
aap ki zarra-nawaazi keleye maiN aap kaa tah-e-dil se shukr-guzaar hoN :-) . bahut bahut shukriya :-)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: :: Jaan paayaa hoN paas aane se :-) guz# 4

Post by Anmol »

Star Mind wrote:moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :-)

Tasleemaat. :grin:

aaj jab furSat melne par Urdubandhan ki sair karte karte bazm-e-mushaai'ra maiN puhNche to nazar moHtaram ustaad janaab A.Nazir SaaHib k deye gaye t^araHi misra' par paRee to bawaajod is k k abhi chaNd din pehle hi yahaaN par aek Ghazal post ki thee , mujh se rahaa na gayaa , aur foran likhne beTh gayaa , youN chaNd be-tuke ash'aar waarid howe, jo aap ki nazr kar rahaa hoN :lol: :lol:
umeed hai k maayos nahiN kareNge !! :wink:

Hum ne pehle kabhi aap ko mayoos kia hay? :wink:

(yaad rahe ye Ghazal fori hai aur faqat^ chaNd lamHaat ki taKhleeq hai, lihaaza ........!! :lol: :lol: )

to lejeye Ghazal Hazir hai :-)

:: Roman Version ::

1.
jaan paayaa hoN paas aane se
baat banti hai door jaane se ! :wink:

:roll:

2.
kaash jaane woh Ghuncha-lab teraa
"phool khilte haiN muskuraane se!" :grin:

:-) Bohot khoobsoorat sher.

3.
kyaa qayaamat hai hijr ki saa'at !
raat Dhalti nahiN zamaane sey ! :cry: :cry:

:cry: :cry: nice sher.

4.
Husn ki t^aba'-e-aatasheeN mat poch !
hoNT jalte haiN bheeg jaane sey! :shock:

5.
zindagee ab tu haar jaayegee !
baaz aa mujhko aazmaane sey ! :twisted:

Waah kya tevar heN is sher ke. :twisted:

6.
barf dil kii pighalne lagtii hai
un k chehre pe dhoop aane sey ! :P

Very nice.

7.
Koi parwaana jab nahiN maujood
faai'daa kyaa hai dil jalaane se ? :evil:

8.
dolat-e-dard kaa suraaGh :Zia: !
milta hai :Meer: key sarhaane se! :-)

Bohot khoob. :-)

Zia ji, bohot khoobsoorat ghazal inaayat ki aap ne. Bohot pasand aayi. :-)

.................................................................

shukriya

moKhliS : Zia Baloch 8)
Post Reply