
aaj jab furSat melne par Urdubandhan ki sair karte karte bazm-e-mushaai'ra maiN puhNche to nazar moHtaram ustaad janaab A.Nazir SaaHib k deye gaye t^araHi misra' par paRee to bawaajod is k k abhi chaNd din pehle hi yahaaN par aek Ghazal post ki thee , mujh se rahaa na gayaa , aur foran likhne beTh gayaa , youN chaNd be-tuke ash'aar waarid howe, jo aap ki nazr kar rahaa hoN


umeed hai k maayos nahiN kareNge !!

(yaad rahe ye Ghazal fori hai aur faqat^ chaNd lamHaat ki taKhleeq hai, lihaaza ........!!


to lejeye Ghazal Hazir hai

:: Urdu Version ::

:: Roman Version ::
1.
jaan paayaa hoN paas aane se
baat banti hai door jaane se !

2.
kaash jaane woh Ghuncha-lab teraa
"phool khilte haiN muskuraane se!"

3.
kyaa qayaamat hai hijr ki saa'at !
raat Dhalti nahiN zamaane sey !


4.
Husn ki t^aba'-e-aatasheeN mat poch !
hoNT jalte haiN bheeg jaane sey!

5.
zindagee ab tu haar jaayegee !
baaz aa mujhko aazmaane sey !

6.
barf dil kii pighalne lagtii hai
un k chehre pe dhoop aane sey ! :P
7.
Koi parwaana jab nahiN maujood
faai'daa kyaa hai dil jalaane se ?

8.
dolat-e-dard kaa suraaGh :Zia: !
milta hai :Meer: key sarhaane se!

.................................................................
abhi abhi moHtaram Janaab-e-Nazir SaaHib ki Ghazal par nazar paRee to un ka bhi aek misra' kuch youh hai k "faai,da kyaa hai jee jalaane se",
laken is k baawajood maiN apna misra' change nahiN kartaa , kyoNke ye Ghazal likhne k baa'd hi unki Ghazal pe nazar paRee thee, maiN un se ma'zirat chaahtaa hoN

shukriya
moKhliS : Zia Baloch 8)