garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!
dosto: aadaab!
ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
===========================
GHAZAL:
garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN
waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN
baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?
ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!
jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!
un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!
hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!
dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:
tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
_________________

- Attachments
-
- Garmee-e-shuoqkoSarwarAlamSarwar.jpg (104.73 KiB) Viewed 787 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Re: garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!
mukarramii_o_moHtaramii janaab-e-Sarwar saaHib,
assaalaam_o_'alaikum,
ummeed hai ki aapke mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
aapkii Ghazal paRhii aur paRh kar hamesha kii taraH be_saaKhta muNh se "waah_Waah" niklii. bahot lutf aayaa paRh kar. aapkii ustaadaanah shaai'rii ka to maiN roz-e-awwal se hii maddaaH rahaa huN. aapkii shaai'rii meN mujhe puraanoN ka 'aks nazar aataa hai. is Ghazal kii aasaan zabaan aur aalaa bayaan hii Khoobii hai. aapne nihaayat hii aasaan zabaan meN aalaa Khayaal pesh kiye haiN. merii taraf se DheroN mubaarak_baadeN, gar qubool uftaad.
go ki har she'r hii Khoob haiN magar Khoob_tar kii talaash karuN to yeh kaar qadre mushkil ho jaayega. phir bhii koshish karta huN. mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye:
waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN
hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!
dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:
tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!
aapke agle kalaam kaa intezaar rahegaa be-sabrii ke saath.
share karne ka shukria,
faqat Khaak_saar,
Hashmat

- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut achchi ghazal hei
MuHtarami
SARWAR A. RAZ SARWAR Saahib
Purkhuloos Tasleemaat o iHtiraam, :)
MaiN urdubandhan meiN aapka istiqbaal karchukaa hooN aur aap jaisi shakhsiyat kaa is mehfil meiN hounaa, urdu adab ki khidmat ke saadiq jazbeh kii takeed kartaa hei. Mujhe behad khushee hei ke aap se mustafeed houne kaa mauqaA moyassar aataa rahegaa.
Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Hamaishah kii tarah bahut hii khoobsoorat aur dilkash hei.
Khaksaar kii daad aur mubarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!
Sarwar Raz wrote:dosto: aadaab!
ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
===========================
GHAZAL:
garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN
bajaa farmaaya Huzoor!
ishq tu kabhi bhi kiyaa jaasaktaa hai .
bas zaraa maqaam ka khayaal rakhna chaaheye
bahut khoob !
waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN
lo, karlo baat !, bhala is se baRh kar bhi, koi kamaal hai
yahi tu aap ka kamaal hai Huzoor!
bahut u'mdah !
baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?
kaash k ham aap k leye kuch karsakte , is silsile maiN
magar Huzoor! yeh tu maHbaabaoN ki fiT^rat hai. aur fiT^rat tu itni aasaani se nahiN badalti na
bahut khoob !
ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!
khoob farmaayaa janaab!
kuch be-zoq aise bhi haiN , k shaai'ree ko FAJOL samajhte haiN
aise log yaa tu be-His hote haiN , yaa phir Dil se Pedal
bahut u'mda !
jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!
haaN yeh bhi bajaa farmaayaa aap ne
bahut khoob!
un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!
16 aane sach Huzoor !
bahut u'mdaa !
hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!
kyaa kehne Huzoor !
dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:
waah jee waah ! kyaa khoob tashbeeh paish ki hai aap ne
wallah mazaa aagaya :-D
tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
achcha tu aap nazuk-mizaaj haiN . wese hameN pehle ma'loom nahiN tha k aap nazuk-mizaaj bhi haiN . magar Huzoor is nazuk khayaali ka kamaal tu dekheye kitni khoobSoorat ghazaleN takhleeq keye jaarahi hai . bahut khoob!
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Sara SaaHebah:aadaab!
aap ke Hukm kee ta'meel meN Urdubandhan meN HaaZ^ir ho gayaa aur aap kee daad se masroor bh`ee huwaa. shukriyah! maiN dua'a-go hooN keh aap kee yeh meHfil ph`oole-ph`ale aur is ke Zarie' Urdu kee Khidmat hotee rahe.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
aap ke Hukm kee ta'meel meN Urdubandhan meN HaaZ^ir ho gayaa aur aap kee daad se masroor bh`ee huwaa. shukriyah! maiN dua'a-go hooN keh aap kee yeh meHfil ph`oole-ph`ale aur is ke Zarie' Urdu kee Khidmat hotee rahe.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Hashmat SaaHeb: tasleem!
aap kee i'naayaat kaa mamnoon hooN keh itne achh`e alfaaz^ meN is naacheez ko yaad kiyaa hai. Ghazal kaisee hee th`ee aap kee daad to yaqeena" dil-Khushkun th`ee! maiN is muHabbat ke liYe mamnoon-o-mutashakkir hooN.

mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab a'rZ^ hai!
yeh meHfil bh`ee doosree meHfiloN kee t^araH Khoob jaa rahee hai. aur kyoN nah jaaYe? aaKhir is ko aap jaisoN kee sarparastee bh`ee to HaaSil hai!
ab itnee meHfileN ho gayee haiN keh ham sab ko naYe logoN ko talaash kar ke in meN laanaa chaahiYe. woh waqt door naheeN hai- bal.k shaayad aa bh`ee gayaa hai!- jab yeh sochnaa ho gaa keh kis bazm meN kaise aur kitnaa HiSSah liyaa jaaYe. yeh Urdu ke liYe achh`ee baat hai.
maiN koshish karooN gaa ke gaahe gaahe yahaaN aataa rahooN aur bazm kee sar-garmiyoN se mustafeed hotaa rahooN.

a'zeezam Zia SaaHeb:aadaab!
aap to har jagah apnee munfarid shaan se naz^ar aate haiN! yeh fan mujh` ko bh`ee sikh`aa deN!
Ghazal kee paZeeraayee ke liYe mamnoon hooN aur us se ziyaadah aap ke liYe dua'a-go! Allah kare zor-e-qalam aur ziyaadah!

- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!
Mohatram Sarwar SahibSarwar Raz wrote:dosto: aadaab!
ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
===========================
GHAZAL:
garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN
waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN
baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?
ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!
jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!
un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!
hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!
dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:
tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
_________________
aap ki is murassa ghazal ko parhkar behad lutfandooz hone ka mauqa mila waqai is choti bahar mai bhi itni paidaar ghazal aapka hi hissa hai.
garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN
waah ,ishq har mausam mai ishq hi hota hai ..
waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN
bahut khoob
baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?
zaraa , bahut lutf deraha hai , wah wah
ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!
beshak shayeri mai us waqt tak koi wabaal nahi jab tak..apne mahbooob ki tareef mai zameen o asman ke qalabe milaate huve hadoN ko paar na kar jaiN.:)
jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!
un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!
wah wah
hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!
bahut khoob
dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:
boo e gul lajawab hai , wah
tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal na
waqai aisa hi lagta hai magar....tabahhur e ilmi ke sabab kabhi kabhi maujeiN qabu se nikal jaiN to bardasht karlia jaata hai . :)
shukria
Mahtab Qadr
Wah Sarwar sahab..aap ki ye ghazal najaane kaise nazar se bach nikli thi..aaj paRhi..bahut bahut pasand aayi...aap ke amoomi rang se haT ke lagi magar bahut pasand aayi...ek ek sher qabil-e-taareef hai isliye kisi ek ko chun na saki aur poori ghazal hi quote kar Daali...bahuuuuuuuut dher saari daad haazir hai is ghazal par :DSarwar A. Raz wrote:
garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN
waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN
baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?
ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!
jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!
un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!
hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!
dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:
tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai