garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!

Post by Sarwar A. Raz »

dosto: aadaab!

ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.

Sarwar A. Raz :Sarwar:

===========================
GHAZAL:

garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN

waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN

baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?

ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!

jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!

un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!

hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!

dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:

tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!

Sarwar A. Raz :Sarwar:

_________________
Attachments
Garmee-e-shuoqkoSarwarAlamSarwar.jpg
Garmee-e-shuoqkoSarwarAlamSarwar.jpg (104.73 KiB) Viewed 832 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Re: garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!

Post by Hashmat Usmani »

mukarramii_o_moHtaramii janaab-e-Sarwar saaHib,

assaalaam_o_'alaikum,

ummeed hai ki aapke mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

aapkii Ghazal paRhii aur paRh kar hamesha kii taraH be_saaKhta muNh se "waah_Waah" niklii. bahot lutf aayaa paRh kar. aapkii ustaadaanah shaai'rii ka to maiN roz-e-awwal se hii maddaaH rahaa huN. aapkii shaai'rii meN mujhe puraanoN ka 'aks nazar aataa hai. is Ghazal kii aasaan zabaan aur aalaa bayaan hii Khoobii hai. aapne nihaayat hii aasaan zabaan meN aalaa Khayaal pesh kiye haiN. merii taraf se DheroN mubaarak_baadeN, gar qubool uftaad.

go ki har she'r hii Khoob haiN magar Khoob_tar kii talaash karuN to yeh kaar qadre mushkil ho jaayega. phir bhii koshish karta huN. mujhe yeh ash'aar bahot pasand aaye:


waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN

hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!

dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:

tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!


aapke agle kalaam kaa intezaar rahegaa be-sabrii ke saath.

share karne ka shukria,

faqat Khaak_saar,

Hashmat
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut achchi ghazal hei

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
SARWAR A. RAZ SARWAR Saahib



Purkhuloos Tasleemaat o iHtiraam, :)



MaiN urdubandhan meiN aapka istiqbaal karchukaa hooN aur aap jaisi shakhsiyat kaa is mehfil meiN hounaa, urdu adab ki khidmat ke saadiq jazbeh kii takeed kartaa hei. Mujhe behad khushee hei ke aap se mustafeed houne kaa mauqaA moyassar aataa rahegaa.

Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Hamaishah kii tarah bahut hii khoobsoorat aur dilkash hei.

Khaksaar kii daad aur mubarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!

Post by Star Mind »

Sarwar Raz wrote:dosto: aadaab!

ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.

Sarwar A. Raz :Sarwar:

===========================

GHAZAL:

garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN


bajaa farmaaya Huzoor!
ishq tu kabhi bhi kiyaa jaasaktaa hai :grin: .
bas zaraa maqaam ka khayaal rakhna chaaheye :wink:
bahut khoob !


waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN


lo, karlo baat !, bhala is se baRh kar bhi, koi kamaal hai :evil:
yahi tu aap ka kamaal hai Huzoor! :twisted:
bahut u'mdah !


baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?


kaash k ham aap k leye kuch karsakte , is silsile maiN :(
magar Huzoor! yeh tu maHbaabaoN ki fiT^rat hai. aur fiT^rat tu itni aasaani se nahiN badalti na :twisted:
bahut khoob !


ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!


khoob farmaayaa janaab!
kuch be-zoq aise bhi haiN , k shaai'ree ko FAJOL samajhte haiN :evil:
aise log yaa tu be-His hote haiN , yaa phir Dil se Pedal :lol:
bahut u'mda !


jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!


haaN yeh bhi bajaa farmaayaa aap ne :grin:
bahut khoob!


un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!

16 aane sach Huzoor !
bahut u'mdaa !


hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!


kyaa kehne Huzoor !

dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:


waah jee waah ! kyaa khoob tashbeeh paish ki hai aap ne :!:
wallah mazaa aagaya :-D


tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!

Sarwar A. Raz :Sarwar:



achcha tu aap nazuk-mizaaj haiN :roll: . wese hameN pehle ma'loom nahiN tha k aap nazuk-mizaaj bhi haiN :grin: . magar Huzoor is nazuk khayaali ka kamaal tu dekheye kitni khoobSoorat ghazaleN takhleeq keye jaarahi hai :wink: . bahut khoob!

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Sara SaaHebah:aadaab!

aap ke Hukm kee ta'meel meN Urdubandhan meN HaaZ^ir ho gayaa aur aap kee daad se masroor bh`ee huwaa. shukriyah! maiN dua'a-go hooN keh aap kee yeh meHfil ph`oole-ph`ale aur is ke Zarie' Urdu kee Khidmat hotee rahe.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Hashmat SaaHeb: tasleem!

aap kee i'naayaat kaa mamnoon hooN keh itne achh`e alfaaz^ meN is naacheez ko yaad kiyaa hai. Ghazal kaisee hee th`ee aap kee daad to yaqeena" dil-Khushkun th`ee! maiN is muHabbat ke liYe mamnoon-o-mutashakkir hooN.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab a'rZ^ hai!

yeh meHfil bh`ee doosree meHfiloN kee t^araH Khoob jaa rahee hai. aur kyoN nah jaaYe? aaKhir is ko aap jaisoN kee sarparastee bh`ee to HaaSil hai!

ab itnee meHfileN ho gayee haiN keh ham sab ko naYe logoN ko talaash kar ke in meN laanaa chaahiYe. woh waqt door naheeN hai- bal.k shaayad aa bh`ee gayaa hai!- jab yeh sochnaa ho gaa keh kis bazm meN kaise aur kitnaa HiSSah liyaa jaaYe. yeh Urdu ke liYe achh`ee baat hai.

maiN koshish karooN gaa ke gaahe gaahe yahaaN aataa rahooN aur bazm kee sar-garmiyoN se mustafeed hotaa rahooN.

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

a'zeezam Zia SaaHeb:aadaab!

aap to har jagah apnee munfarid shaan se naz^ar aate haiN! yeh fan mujh` ko bh`ee sikh`aa deN!

Ghazal kee paZeeraayee ke liYe mamnoon hooN aur us se ziyaadah aap ke liYe dua'a-go! Allah kare zor-e-qalam aur ziyaadah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: garmee-e-shauq ko zawaal naheeN!

Post by Mahtab Qadr »

Sarwar Raz wrote:dosto: aadaab!

ek Ghazal pesh kar rahaa hooN. raaYe kaa intiz^aar rahe gaa.

Sarwar A. Raz :Sarwar:

===========================
GHAZAL:

garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN

waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN

baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?

ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!

jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!

un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!

hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!

dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:

tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!

Sarwar A. Raz :Sarwar:

_________________
Mohatram Sarwar Sahib
aap ki is murassa ghazal ko parhkar behad lutfandooz hone ka mauqa mila waqai is choti bahar mai bhi itni paidaar ghazal aapka hi hissa hai.

garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN
waah ,ishq har mausam mai ishq hi hota hai ..

waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN
bahut khoob

baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?
zaraa , bahut lutf deraha hai , wah wah

ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!
beshak shayeri mai us waqt tak koi wabaal nahi jab tak..apne mahbooob ki tareef mai zameen o asman ke qalabe milaate huve hadoN ko paar na kar jaiN.:)

jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!

un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!
wah wah

hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!
bahut khoob

dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:
boo e gul lajawab hai , wah

tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal na
waqai aisa hi lagta hai magar....tabahhur e ilmi ke sabab kabhi kabhi maujeiN qabu se nikal jaiN to bardasht karlia jaata hai . :)

shukria


Mahtab Qadr
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Sarwar A. Raz wrote:

garmee-e-shauq ko zawaal naheeN
i'shq paaband-e-maah-o-saal naheeN

waaqif-e-soz-o-saaz-e-hastee hooN
aur mujh` meN koyee kamaal naheeN

baat-be-baat dil dukh`aate ho
tum ko meraa Zaraa Khayaal naheeN?

ham se ch`ooTe Ghazal to kyaa ch`ooTe
shaa,i'ree hai koyee wabaal naheeN!

jaisee dair-o-Haram meN miltee hai
maikadeh meN koyee micaal naheeN!

un se mil kar mile haiN Gham itne
ab jo ch`ooTe to kuch` malaal naheeN!

hijr kee laZZateN haiN aur maiN hooN
Khwaahish-e-garmee-e-wiSaal naheeN!

dar-badar hooN maiN jaise boo-e-gul
:waapasee kaa koyee sawaal naheeN:

tum jo naazuk-mizaaj ho :Sarwar:
be-kamaalee hai yeh, kamaal naheeN!

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Wah Sarwar sahab..aap ki ye ghazal najaane kaise nazar se bach nikli thi..aaj paRhi..bahut bahut pasand aayi...aap ke amoomi rang se haT ke lagi magar bahut pasand aayi...ek ek sher qabil-e-taareef hai isliye kisi ek ko chun na saki aur poori ghazal hi quote kar Daali...bahuuuuuuuut dher saari daad haazir hai is ghazal par :D

shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply