EK GHAZAL=SUNTE HAIN, RAQEEBON SE MULAAQAAT KARO HO

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarama
Najma Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat, :oops:

Mujhe tou achchi TaraH se nazar aarahi hei aur beHad pasand aayii.

Pahle souchaa ke is ghazal per tafseeli tabsirah karuN aur uski aek copy bhii apne computer per naql karlii. Raftah raftah aek aek sheAr paRhtaa gayaa. Bahut hii luTf aayaa. Bahut hii khoobsoorat aur dilkash ghazal hei.
Is liye yeh mukhtasar saa tabSirah pesh karne per majboor hougayaa.

Meri jaanib se dili daad aur mubaarakbaad qubool farmayiye. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhii aapko isi TaraH daste_e_kamal Haasil rahegaa.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

irfan abid wrote:najma sahiba, aadaab!

aap kii Ghazal pasand aayii. daad qubuul farmaaiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfanabid sahib
aadaab
ghazal ki pasandeedgii ke liye mamnoon hooN.
khair andesh
najma
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

saathiyo!
aadaab
aap meiN se kuch saathii hamarii ghazal ko urdu
hamarre kuch saathiyoN, khusuusi taur pe waqar sahib najm sahib aur khurram ko hamari ye ghazal urdu meiN nazar nahii aasakii, lihaza ab ham, un ke hukm ki ta,meel meiN, ise roman meiN bhi pesh kar rahay haiN.
:grin:

sunte haiN, raqeeboN se mulaaqaat karo ho
phir jee ko jalane ki wohii baat karo ho

mazloom ko soolii pe chaRhaa dete haiN haalaat
aiy dosto! kya shikwa-e-haalaat karo ho

karne ko maiN wa,doN pe yaqeeN kalooN tumhaare
har roz magar tum to naee baat karo ho

is darjah sulagte huey mausim meiN bhi logo!
zIndah ho agar tum, to karamaat karo ho

jannat se nikaale huey insaan ke beTo!
dunyaa ko bhi dunyaa-e-kharaabaat karo ho

apnoN ki sii chaahat hay na GhairoN ki sii nafrat
dunya se niraalii hii har-ik baat karo ho

saawan ka guzartaa hua baadal tha wo NAJMA!
tum jis ke liye ash,koN ki barsaat karo ho

NAJMA ANSAR NAJMA
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

sunte haiN, raqeeboN se mulaaqaat karo ho
phir jee ko jalane ki wohii baat karo ho
wahh..waah kia hi khusboorat andaaz hay
karne ko maiN wa,doN pe yaqeeN kalooN tumhaare
har roz magar tum to naee baat karo ho
agreed...100 percent agreed..very nice..daad qubool kejay..

saawan ka guzartaa hua baadal tha wo NAJMA!
tum jis ke liye ash,koN ki barsaat karo ho

buhut khoob...buhut khoob

najma ji ham to arz ker saktay hein ilteja ker saktay hein.hamari mein hukum denay ka damm kehan..aap nay hamari arz mani..ham aap kay mamnoon hein baqee reha keh ghazal ..to ji bus samjhyeee ham behek hi gaye parh ker.kia khubsoporat zameen hay..radeef ka to jawab nahi ..

accha ik baat mujhay samjhayee gaa

jannat se nikaale huey insaan ke beTo!
dunyaa ko bhi dunyaa-e-kharaabaat karo ho

yehan aap nay likha dunyaa e kharbaat...meray zehen mein ik lafz aya tha kharafaat..yani dunyaa e kharafaat... yeh meri na samjhi hay keh mein aisa soch betha..lekin kia agar yeh lafz yehan ata to ziada khubsoorat nahi tha.mein na wazn say waqif hoon na soray assraar o rumooz say mein nay sirf ik aam aur adna si baat kahi hay.ghazal majmoyee taur per buhut classsic hay.dheeeroon daad qubool kejay .

wassalam

niaz mand

waqar masood
hello
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

waqar sahib!

is bhar pur pazeeraaee ke liye bohat shukriya :-)
barkhurdar!
aap jo bhi farmaiyye, ham use hukm ka hi darja dete haiN.aap hi kii hausla-afzaaee ne hameiN kuch mazeed kene ki quwwat dii hay.aap ki ham qadr karte haiN.
aap ne farmaya====
((yehan aap nay likha dunyaa e kharbaat...meray zehen mein ik lafz aya tha kharafaat..yani dunyaa e kharafaat... yeh meri na samjhi hay keh mein aisa soch betha..lekin kia agar yeh lafz yehan ata to ziada khubsoorat nahi tha.mein na wazn say waqif hoon na soray assraar o rumooz say mein nay sirf ik aam aur adna si baat kahi hay.ghazal majmoyee taur per buhut classsic hay.dheeeroon daad qubool kejay .))

arz hay keh
khurafaat ke ma.nii haiN==be-hoodah bateN
aur
kharaabaat ke ma,nii haiN==jooey-khanah
==shraab-khanah
==fa,haashii ka aDDa

ab aap ma,nii ke farq se dekh lijiyey keh yahaaN adam ke beToN ke liye kya lafz ziyada mauzooN hay.
yaqeen hay ke ab aap samajh gaey hongay hamara mo,aqqaf. :-)
tabadila-e-khayal ke liye be-had mamnoon hooN.
bohat shukriya
sada khush rahiye
:-)
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

najma wrote:waqar sahib!

:lol: :lol: aap ki baat samajh gia lekin her shair ka apna bhi ik nuqta e nazar bhi hota hay . mein shair to nahi hoon lekin bus dil mein ik khayal aya tha is terah keh agar mein is mafhoom mein kuch likhta to yeh lafz(kharafaat) use kerta beherhaal aap nay jo soch ker likha woh bilkul theek hay .aap ka shukria keh aap nay apnay khayal ki wazaahaat ker di.umeed hay aeenda bhi aap kay ilm o hunur say mustafeed honbay ka moqa milay ga.shukria

wassalam
hello
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

waqar_masood wrote:

bohat shukriya waqar masood
isi tarah tabadla-e-khayal se ham bohat kuch seekhte haiN.
khush rahiye
:-)
User avatar
little abbasi
-
-
Posts: 112
Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
Contact:

Post by little abbasi »

SALA/\/\.

AAP KE GHAZAL BOHAT PASAND I HAY SHARE KARNE KA BOHAT SHUKRIYA.

ATTIQ ABBASI
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

little abbasi wrote:SALA/\/\.

AAP KE GHAZAL BOHAT PASAND I HAY SHARE KARNE KA BOHAT SHUKRIYA.

ATTIQ ABBASI

aap ka bhi bohat bohat shukriya attiq!
sada khush rahiye
:grin:
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

Hashmat Usmani wrote:
waqar_masood wrote:ghazalk nazar hi nahi a rehi mujhay
hellooo...JOIN the CLUB :lol: :lol: :lol: :lol: :lol:

:roll:
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

sara_j wrote:mazloom ko sooli pe charhaate hain halaat
aye dosto! kya shikwa'e halaat karo ho!

wah wah najma ji bohat khoob! bohat umdah ghazal kahi hai aapne.

is darja sulagte hue mausam mein bhi logo!
zinda ho agar tum to karaamat karo ho!

very beautiful!

saawan ka guzarta hua baadal tha voh Najma!
tum jiske liye ashkoN ki barsaat karo ho!

awesome! awesome!

waah Najma ji aapki ghazal bohat pasand aayi aur quoted shair humne baar baar parhe maza lete hue. dhair saari daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

sara

bohat shukriya sara jsahiba!

itniipazeeraaaee k qabil kahaaN haiN haam :oops:
lekin aapki is hausla afzaa tehreer ne hameN taqwiyyat bakhshii

khush rahiye

:-)
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: EK GHAZAL=SUNTE HAIN, RAQEEBON SE MULAAQAAT KARO HO

Post by Anmol »

najma wrote:sunte haiN, raqeeboN se mulaaqaat karo ho
phir jee ko jalane ki wohii baat karo ho

karne ko maiN wa,doN pe yaqeeN kalooN tumhaare
har roz magar tum to naee baat karo ho

saawan ka guzartaa hua baadal tha wo NAJMA!
tum jis ke liye ash,koN ki barsaat karo ho

NAJMA ANSAR NAJMA
Adaab, Najma Ji!

Aap ki is ghazal ka to rang hi juda hay, bohot lutf aaya paRh kar. Sabhi ashaar ache heN, lekin quoted ashaar zyada pasand aaye, daad aur mubarakbaad pesh hay.

:-)
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: Bahut khoob

Post by najma »

WEBMASTER wrote:

MuHtarama
Najma Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat, :oops:

Mujhe tou achchi TaraH se nazar aarahi hei aur beHad pasand aayii.

Pahle souchaa ke is ghazal per tafseeli tabsirah karuN aur uski aek copy bhii apne computer per naql karlii. Raftah raftah aek aek sheAr paRhtaa gayaa. Bahut hii luTf aayaa. Bahut hii khoobsoorat aur dilkash ghazal hei.
Is liye yeh mukhtasar saa tabSirah pesh karne per majboor hougayaa.

Meri jaanib se dili daad aur mubaarakbaad qubool farmayiye. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhii aapko isi TaraH daste_e_kamal Haasil rahegaa.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

MuHtarama A.Nazir Sahib

aadaab

isqadar pazeeraaee aap se hasil huee hay.ye aapki zarrah-nawazii hay.

ham be-had mamnoon haiN aap ke

khair andesh

najma
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: EK GHAZAL=SUNTE HAIN, RAQEEBON SE MULAAQAAT KARO HO

Post by najma »

Anmol wrote:
najma wrote:sunte haiN, raqeeboN se mulaaqaat karo ho
phir jee ko jalane ki wohii baat karo ho

karne ko maiN wa,doN pe yaqeeN kalooN tumhaare
har roz magar tum to naee baat karo ho

saawan ka guzartaa hua baadal tha wo NAJMA!
tum jis ke liye ash,koN ki barsaat karo ho

NAJMA ANSAR NAJMA
Adaab, Najma Ji!

Aap ki is ghazal ka to rang hi juda hay, bohot lutf aaya paRh kar. Sabhi ashaar ache heN, lekin quoted ashaar zyada pasand aaye, daad aur mubarakbaad pesh hay.

:-)

anmol

tum ne itnaa pasand kiya hay, shukriya kehne ko alfaaz kahaaN se laaeiN?

bahar haal tumhari is hausla afzaee k liye ham be-had mamnoon haiN

sada khush raho

:-)
Post Reply