Aek Taazah ghazal baraaye islaah /May 14, 2005

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: Aek Taazah ghazal baraaye islaah /May 14, 2005

Post by najma »

dunya wrote:

DoustoN,

Aek ghazal baraye islaah peshe khidmat hei.
Ummeed ke apni islah se navazenge.

Ghazal:

1- Ameer-e-shehr giraftaar hei havas meiN kyaa
nahiN hei kuch bhii faqeeraoN kii dastaras meiN kyaa

2- koii kewaaR khule aasmaaN nazar aaye
hamaari zindagii kaT jaayegii qafas meiN kyaa

3- khudaa jou chaahe tou anhouni hou ke rehti hei
kisi ke haath meiN kyaa hei kisi ke bas meiN kyaa

4- bahaar aayi hei lekin guzar bhii jaayegii
woh mujh ko bhool gaye luTf-e-rang o ras meiN kyaa

5- Yeh khauf kis liye naakaamiy-e-muHabbat kaa
Abeer-e-Husn nahiN hei nafas nafas meiN kyaa

6- azaaN ke saath Sadaa aayi phaRphaRaane kii
phansaa houaa hei parindah koii kalas meiN kyaa

7- acar houaa nah koii tujh pah aah o zaari kaa
nahiN hei baaqii lahoo tere dil kii nas meiN kyaa

8- Bhalaa kisii ko dilaasa bhii kaise dooN :Dunya:
Badal sakegi nah taqdeer sau baras meiN kyaa.

Khair andesh,
Dunya

dunya sahiba!
:grin:
bohat, bohat aur bohat hii khoob, dunya!!!
waah , lutf aagaya :grin:
itne haseen aur murass,a kalam , aur us ke har har she,r par hamari janib se bhar-pur daad qubuul farmaiye :-)

aap se ek guzarish bhi hay keh ''mushairah''-''kalam-e-sukhanwar'' aur khusoosi taur pe ''afkar-e-nau'' meiN aap jese rah-nimaaoN ki kamii mehsoos kii jatii hay.agar aap apne qeematii waqt ka mazeed hissa yahaaN inayat farmaeiN to ham jese nau-mashqoN ki bhi hausla afzaae hogii.aap jese sho,raa ki sarparastii, khusoosii taur pe nau-mashqoN ke liye mish,al-e-raah hay.aap se darkhaast hay keh inki rah-numaaee farmaiye ga.
:-)
khair andesh
najma[/quote]
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Duniya jee
Aap ki ghazal buhat pasand aayii
share karnay ka shukria
zmufti
User avatar
little abbasi
-
-
Posts: 112
Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
Contact:

Post by little abbasi »

SALA/\/\.

AAP KA KALAAM BOHAT BOHAT PASAND AYA HAY SHARE KARNE KA SHUKRIYA.

ATTIQ ABBASI
Post Reply