dunya wrote:
DoustoN,
Aek ghazal baraye islaah peshe khidmat hei.
Ummeed ke apni islah se navazenge.
Ghazal:
1- Ameer-e-shehr giraftaar hei havas meiN kyaa
nahiN hei kuch bhii faqeeraoN kii dastaras meiN kyaa
2- koii kewaaR khule aasmaaN nazar aaye
hamaari zindagii kaT jaayegii qafas meiN kyaa
3- khudaa jou chaahe tou anhouni hou ke rehti hei
kisi ke haath meiN kyaa hei kisi ke bas meiN kyaa
4- bahaar aayi hei lekin guzar bhii jaayegii
woh mujh ko bhool gaye luTf-e-rang o ras meiN kyaa
5- Yeh khauf kis liye naakaamiy-e-muHabbat kaa
Abeer-e-Husn nahiN hei nafas nafas meiN kyaa
6- azaaN ke saath Sadaa aayi phaRphaRaane kii
phansaa houaa hei parindah koii kalas meiN kyaa
7- acar houaa nah koii tujh pah aah o zaari kaa
nahiN hei baaqii lahoo tere dil kii nas meiN kyaa
8- Bhalaa kisii ko dilaasa bhii kaise dooN :Dunya:
Badal sakegi nah taqdeer sau baras meiN kyaa.
Khair andesh,
Dunya
dunya sahiba!
bohat, bohat aur bohat hii khoob, dunya!!!
waah , lutf aagaya
itne haseen aur murass,a kalam , aur us ke har har she,r par hamari janib se bhar-pur daad qubuul farmaiye
aap se ek guzarish bhi hay keh ''mushairah''-''kalam-e-sukhanwar'' aur khusoosi taur pe ''afkar-e-nau'' meiN aap jese rah-nimaaoN ki kamii mehsoos kii jatii hay.agar aap apne qeematii waqt ka mazeed hissa yahaaN inayat farmaeiN to ham jese nau-mashqoN ki bhi hausla afzaae hogii.aap jese sho,raa ki sarparastii, khusoosii taur pe nau-mashqoN ke liye mish,al-e-raah hay.aap se darkhaast hay keh inki rah-numaaee farmaiye ga.
khair andesh
najma[/quote]