::: Dil maiN nihaaN rahoN k nazar se a'yaaN rahoN ? :::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

::: Dil maiN nihaaN rahoN k nazar se a'yaaN rahoN ? :::

Post by Star Mind »

moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :)

ab choNkeh ham "SUFFER" se waapas aagaye haiN , is leye sochaa k Khaail haath naa aayeN , balke kuch nahiN to aek a'dad KhoobSoorat Ghazal k saath Hazir hoN , taa k aHbaab ki nazreN hamaare chehre par safar ki thakan na dekh paayeN , balke un ki nigaaheN agar socheN yaa dekheN to us KhoobSoorat GHAZAL ko hi .......!! :D

waaziH rahe k yahaaN KHOOBSOORAT k woh ma'aani nahiN jo aap soch rahe haiN , yahaaN is muraad "TUK-BANDI" hai :lol: :lol:

aur is beHr maiN ye hamaari pehlee kaavish bhi hai ....... is leye zaraa iHtiyaat se paRheyega ! :lol:

daad to mujhe yaqeen hai k aap deNge hi !! kyoN ? bajaa farmaayaa na ham ne ? :D

aap bhi sochte hoNge ye baar baar kehne ki kyaa zaroorat hai k "Hasb-e-ma'mool aap k ta'accuraat ka intezaar rahyegaa !" hai na ? ab aap ye mat kaheye k phir hameN baar baar daad dene ki kyaa zaroorat hai :evil:

to lejeye Ghazal Haazir hai :-

::: Urdu Version :::

Image

::: Roman Version :::

1.
dil maiN nihaaN rahoN k nazar se a'yaaN rahoN ?
tuu hii bataa mujhe k maiN aaKhir kahaaN rahoN ? :roll:

2.
ik lamHa-e-Hayaat hai , woh bhi dhowaaN dhowaaN ! :smt120
us par naSeeb kehta hai maHv-e-fuGhaaN rahoN ! :cry:

3.
merii bhi just-joo hai kesii dil k dasht maiN !
yaa rab ! nigaah-e-yaar se kab tak nihaaN rahoN ? :cry:

4.
ahl-e-junoN ki bazm ho yaa majlis-e-Khirad !
meHfil sajaaoN yaar ki , maiN to jahaaN rahoN ! :D

5.
siHraa maiN koi Qais na jaNgal maiN Heer hai :(
koii maqaam-e-shauq nahiN hai, kahaaN rahoN ? :evil:

6.
meHfil ki aabroo hoN to phir ay nigaah-e-shauq !
ban kar chiraaGh-e-Husn ka kyoN kar dhuwaaN rahoN ? :evil:

7.
Jis baaGh maiN u'roos-e-bahaaraaN ka QaSr hai
dil mera chaahtaa hai , maiN bhii wahaaN rahoN ! :D

8.
sheereeN lisaan hoN , dil-e-aadam ki shaan hoN
Urdu zabaan hoN , to kiyoN be-zabaaN rahoN ? :evil:

aap ne do sar waale saaNp to sune hi hoNge , ab do maqta;oN waali Ghazal bhi dekh lejeye :lol:

maqta; no 1;

9.
:Meer-o-Firaaq-o-Ghaalib-e-sheereN: bayaaN ki tarH
aise suKhan kahoN k :Zia: jaavidaaN rahoN ! :-)

maqta' no 2;

samjhaaye kon aa k :Zia: ko jahaan maiN
kambaKht chaahtaa hai , sadaa hii jawaaN rahoN ! :C :lol:

........................................................................................
Hasb-e-ma'mool asaatiza ki rahnumaaii aur aHbaab ki HauSla-afzaaii darkaar hai :D bahut bahut shukriya

moKhliS : Zia Baloch :-)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

waah zia baloch sahib
aaj-kal to aamad pe aamad horahii hay masha allaah.khair to hay? :grin:
har sher khoob, har khayal umdah waah waah waah
aap ko poorii hi ghazal pe dilii daad pesh karte haiN ham.
qubool farmaiye
:-)
User avatar
little abbasi
-
-
Posts: 112
Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
Contact:

Post by little abbasi »

SALA/\/\.

WAH BOAHT KHOOB JI.

ATTIQ ABBASI
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

sara_j wrote:Waah zia saahib,

bohat khoob ghazal kahi hai aapne, sabhi ashaar bohat pasand aaye kya kehne saahib aapke! zor e qalam aur ziyada.

sara
moHtarama Saara Jabeen SaaHiba, aadaab :)

aap ne Ghazal ki ta'reef maiN jis fayyazi se kaam liyaa hai , mere paas shukriyaa k alfaaz nahiN ! bahut bahut shukriya

moKhliS: Zia Baloch :-)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

najma wrote:waah zia baloch sahib
aaj-kal to aamad pe aamad horahii hay masha allaah.khair to hay? :grin:
har sher khoob, har khayal umdah waah waah waah
aap ko poorii hi ghazal pe dilii daad pesh karte haiN ham.
qubool farmaiye
:-)
Najma SaaHiba, aadaab :)

Huzoor, aamad ka sislila to jaari hai , aap ko meeri Haqeer kaavish jis tarah se pasand aayee hai us keleye maiN aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN , bahut bahut shukriya

moKhliS: Zia Baloch :-)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

little abbasi wrote:SALA/\/\.

WAH BOAHT KHOOB JI.

ATTIQ ABBASI
w/salaam

Abbasi SaaHib,

zarra-nawaazi keleye tah-e-dil se mamnoon hoN :)

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply