moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :)
ab choNkeh ham "SUFFER" se waapas aagaye haiN , is leye sochaa k Khaail haath naa aayeN , balke kuch nahiN to aek a'dad KhoobSoorat Ghazal k saath Hazir hoN , taa k aHbaab ki nazreN hamaare chehre par safar ki thakan na dekh paayeN , balke un ki nigaaheN agar socheN yaa dekheN to us KhoobSoorat GHAZAL ko hi .......!! :D
waaziH rahe k yahaaN KHOOBSOORAT k woh ma'aani nahiN jo aap soch rahe haiN , yahaaN is muraad "TUK-BANDI" hai
aur is beHr maiN ye hamaari pehlee kaavish bhi hai ....... is leye zaraa iHtiyaat se paRheyega !
daad to mujhe yaqeen hai k aap deNge hi !! kyoN ? bajaa farmaayaa na ham ne ? :D
aap bhi sochte hoNge ye baar baar kehne ki kyaa zaroorat hai k "Hasb-e-ma'mool aap k ta'accuraat ka intezaar rahyegaa !" hai na ? ab aap ye mat kaheye k phir hameN baar baar daad dene ki kyaa zaroorat hai
to lejeye Ghazal Haazir hai :-
::: Urdu Version :::
::: Roman Version :::
1.
dil maiN nihaaN rahoN k nazar se a'yaaN rahoN ?
tuu hii bataa mujhe k maiN aaKhir kahaaN rahoN ?
2.
ik lamHa-e-Hayaat hai , woh bhi dhowaaN dhowaaN ! :smt120
us par naSeeb kehta hai maHv-e-fuGhaaN rahoN !
3.
merii bhi just-joo hai kesii dil k dasht maiN !
yaa rab ! nigaah-e-yaar se kab tak nihaaN rahoN ?
4.
ahl-e-junoN ki bazm ho yaa majlis-e-Khirad !
meHfil sajaaoN yaar ki , maiN to jahaaN rahoN ! :D
5.
siHraa maiN koi Qais na jaNgal maiN Heer hai
koii maqaam-e-shauq nahiN hai, kahaaN rahoN ?
6.
meHfil ki aabroo hoN to phir ay nigaah-e-shauq !
ban kar chiraaGh-e-Husn ka kyoN kar dhuwaaN rahoN ?
7.
Jis baaGh maiN u'roos-e-bahaaraaN ka QaSr hai
dil mera chaahtaa hai , maiN bhii wahaaN rahoN ! :D
8.
sheereeN lisaan hoN , dil-e-aadam ki shaan hoN
Urdu zabaan hoN , to kiyoN be-zabaaN rahoN ?
aap ne do sar waale saaNp to sune hi hoNge , ab do maqta;oN waali Ghazal bhi dekh lejeye
maqta; no 1;
9.
:Meer-o-Firaaq-o-Ghaalib-e-sheereN: bayaaN ki tarH
aise suKhan kahoN k :Zia: jaavidaaN rahoN !
maqta' no 2;
samjhaaye kon aa k :Zia: ko jahaan maiN
kambaKht chaahtaa hai , sadaa hii jawaaN rahoN ! :C
........................................................................................
Hasb-e-ma'mool asaatiza ki rahnumaaii aur aHbaab ki HauSla-afzaaii darkaar hai :D bahut bahut shukriya
moKhliS : Zia Baloch
::: Dil maiN nihaaN rahoN k nazar se a'yaaN rahoN ? :::
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
::: Dil maiN nihaaN rahoN k nazar se a'yaaN rahoN ? :::
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- little abbasi
- -
- Posts: 112
- Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
- Contact:
moHtarama Saara Jabeen SaaHiba, aadaab :)sara_j wrote:Waah zia saahib,
bohat khoob ghazal kahi hai aapne, sabhi ashaar bohat pasand aaye kya kehne saahib aapke! zor e qalam aur ziyada.
sara
aap ne Ghazal ki ta'reef maiN jis fayyazi se kaam liyaa hai , mere paas shukriyaa k alfaaz nahiN ! bahut bahut shukriya
moKhliS: Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Najma SaaHiba, aadaab :)najma wrote:waah zia baloch sahib
aaj-kal to aamad pe aamad horahii hay masha allaah.khair to hay?
har sher khoob, har khayal umdah waah waah waah
aap ko poorii hi ghazal pe dilii daad pesh karte haiN ham.
qubool farmaiye
Huzoor, aamad ka sislila to jaari hai , aap ko meeri Haqeer kaavish jis tarah se pasand aayee hai us keleye maiN aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN , bahut bahut shukriya
moKhliS: Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch