Yaraane mehfil
aadaab.
Sulemaan Areeb kee pichhlee peshkarda ghazal ke hawaale se Naazir Sahib ne dilchasp maloomaat faraaham kee thee. Himayat Ali Saheb kaa bhee zikr kiyaa thaa. Naazir sahib se iltijaa hai k unse mutaaliq mehfil ko kuchh aagaah kareN. Himayat Ali Sahib kee aik ghazal pesh kartaa hooN. ummed hai aap ko pasand aayegee !!
takhattub hai tujhse, khayaal aur kaa hai
ye nukta vafaa meiN baRe ghaur kaa hai
vo khilwat meiN kuchh aur jalwat meiN kuchh hai
karam uskaa mujh par, ajab taur kaa hai
meraa cheHraa bhee, meraa cheHraa naheeN hai
ye eHsaan mujh par, mere daur kaa hai
ye nafraT- muhabbat kaa radde amal hai
k mujh se taqaazaa, tere jor kaa hai
naye daur kee ibtidaa kaa hai zaamin
k dil aaienaa gosha.e zor kaa hai
Karachi meiN bhee moTbar ho rahaa hai
sukhan meiN jo andaaz Lahore kaa hai
regards
PK Swami
ye nukta vafaa meiN baRe ghaur kaa hai... Himayat Ali Shair
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
ye nukta vafaa meiN baRe ghaur kaa hai... Himayat Ali Shair
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake