Aek seedhi saadah Taazah Ghazal: Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Aek seedhi saadah Taazah Ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-bazm-e-sukhan,

PurkhulooS tasleemaat, :rose

Apni aek maAmooli sii seedhi saadah ghazal lekar Haazir houaa hooN. Ummeed ke aap apni giraNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge. Shukriyah.

GHAZAL roman meiN:

apne hi dil ko tou veeraanah banaa rakhkhaa hei
jaan-e-man jab se tujhe sar pah chaRhaa rakhkhaa hei

laakh dastak dooN, koiee poochne waalaa hi nahiN
kaun kehtaa hei keh darwaazah khulaa rakhkhaa hei

koie tou faiSlah-kun lamHa-e-deedar bhi hou
be-acar waAda o iqraar meiN kyaa rakhkhaa hei

meri deevaanagiy-e-shauq bhalaa kyaa kam thii
tuu ne kuch aur bhi deewaanah banaa rakhkhaa hei

teri hii dain heiN be-aasraa ashkaoN ke guhar
daaman-e-dil meiN jinheN maiN ne chupaa rakhkhaa hei

touRlo apne dikhaawe kaa taAlluq mujh se
be-vafaayi kaa agar naam vafaa rakhkhaa hei

ai zameeN tere liye meri jabeeN HaaZir hei
aasmaanaoN ke liye dast-e-duAaa rakhkhaa hei

dekhkar Haal miraa, pooch rahe heiN rehrau
MaiN hooN yaa aapkaa naqsh-e-kaf-e-paa rakhkhaa hei

Kyaa bataauN keh hei kyaa shaan-e-takhalluS :Nazir:
Ik diyaa apni hii turbat pah jalaa rakhkhaa hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Attachments
ab_bo_7_f.JPG
ab_bo_7_f.JPG (88.15 KiB) Viewed 618 times
Last edited by Abdullah Nazir on Mon Jan 30, 2006 3:08 am, edited 1 time in total.
Image
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Aek seehi saadah Taazah Ghazal: Abdullah Nazir.

Post by Shummu »

WEBMASTER wrote:
laakh dastak dooN, koiee poochne waalaa hi nahiN
kaun kehtaa hei keh darwaazah khulaa rakhkhaa hei

meri deevaanagiy-e-shauq bhalaa kyaa kam thii
tuu ne kuch aur bhi deewaanah banaa rakhkhaa hei

teri hii dain heiN be-aasraa ashkaoN ke guhar
daaman-e-dil meiN jinheN maiN ne chupaa rakhkhaa hei

touRlo apne dikhaawe kaa taAlluq mujh se
be-vafaayi kaa agar naam vafaa rakhkhaa hei

ai zameeN tere liye meri jabeeN HaaZir hei
aasmaanaoN ke liye dast-e-duAaa rakhkhaa hei

dekhkar Haal miraa, pooch rahe heiN rehrau
MaiN hooN yaa aapkaa naqsh-e-kaf-e-paa rakhkhaa hei

Kyaa bataauN keh hei kyaa shaan-e-takhalluS :Nazir:
Ik diyaa apni hii turbat pah jalaa rakhkhaa hei.
wah wah saada hone ke bawajood bahut umda ghazal se nawaaza hai aapne Nazir sahab..dili daad pesh hai..khaaskar quoted ashaar bahut pasand aaye :-)

ek sawaal tha.... lafz 'rehrau' ke kya maayne hain??


Adaab,
Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
ramishjaan
-
-
Posts: 7
Joined: Tue Jan 24, 2006 10:55 pm
Location: germany
Contact:

Re: Aek seehi saadah Taazah Ghazal: Abdullah Nazir.

Post by ramishjaan »

AOA muhtram nazir sahib bazm ki rahon me pehli mulaqat he ap se ap ki ghazal parhi janab jo husn is ki sadgi me he wahhhh bohat khob meri janib se dili dad qabol ki jiye ga . maqte ne to huari bisrato ko jakar sa liya bohat hi umda maqata atta kiya he . waslam ramishjaan
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut Shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


SHUMMU,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

Aapko meri maAmooli si ghazal ke bahut saare ashAar pasand aaye jiske liye maiN aapka beHad shukrguzaar hooN.

Aap ne likhkhaa hei:

wah wah saada hone ke bawajood bahut umda ghazal se nawaaza hai aapne Nazir sahab..dili daad pesh hai..khaaskar quoted ashaar bahut pasand aaye

ek sawaal tha.... lafz 'rehrau' ke kya maayne hain??


Aap ne lafz "rehrau" ke maAni daryaaft kiye heiN. DaraSl yeh lafz "raahrau" kii takhfeef shudah shakl hei. Iske maAni heiN raah per chalne waala/waali. meraa miSraA jis meiN yeh lafz isteAmal houaa hei wo yooN hei:
dekhkar Haal miraa, pooch rahe heiN rehrau ;/u]

Is meiN yeh kahaa gayaa hei (meraa Haal dekhkar, raastah chalne waale pooch rahe heiN). Ummeed ke aapke sawaal kaa tashafi bakhsh javaab de sakaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »




MANZOOM DAAD.O.TAHSEEN


saadaa ashAAr men kya husn chupa rakhkha hai
kaise batlaaoN keh in sheroN meN kya rakhkha hai

ek ek sher nazar aata hai ek ek ghazal
yAAni her sher meN ghazaloN ka maza rakhkha hai

yeh lub.o.lahja yeh andaaze takallum SaHab
fikr meN husn-e taGhazzul bhi mila rakhkha

wazn yaksaaN hai to me'yaar-e suKhaN bhi yaksaaN
yooN to har she'r se har she'r juda rakhkha hai

waah kya kahna yeh “be aasra ashkoN ke guhar”
dil ke daaman meN jinhen sub se chupa rakhkha hai

waah kya baat hai kardee hai jibeeN nazr-e zimeeN
aasmanoN ki taraf haath uTha rakhkha hai

fikr-e "NaZir" ka yeh andaaz to dekho “Jawaid”
ik chiraaGh apni hi turbat peh jalaa rakhkha hai


Jawaid Badauni
Muscat - Oman

Last edited by jawaid badauni on Mon Jan 30, 2006 10:52 am, edited 1 time in total.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Bahut bahut Shukriyah

Post by Shummu »

WEBMASTER wrote:
SHUMMU,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

Aapko meri maAmooli si ghazal ke bahut saare ashAar pasand aaye jiske liye maiN aapka beHad shukrguzaar hooN.

Aap ne likhkhaa hei:

wah wah saada hone ke bawajood bahut umda ghazal se nawaaza hai aapne Nazir sahab..dili daad pesh hai..khaaskar quoted ashaar bahut pasand aaye

ek sawaal tha.... lafz 'rehrau' ke kya maayne hain??


Aap ne lafz "rehrau" ke maAni daryaaft kiye heiN. DaraSl yeh lafz "raahrau" kii takhfeef shudah shakl hei. Iske maAni heiN raah per chalne waala/waali. meraa miSraA jis meiN yeh lafz isteAmal houaa hei wo yooN hei:
dekhkar Haal miraa, pooch rahe heiN rehrau ;/u]

Is meiN yeh kahaa gayaa hei (meraa Haal dekhkar, raastah chalne waale pooch rahe heiN). Ummeed ke aapke sawaal kaa tashafi bakhsh javaab de sakaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.



Bahut shukriya wazaahat farmaane ka..mujhe lag raha tha keh yahi meaning hogi uski....ab confirm ho gaya hai... :-)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

jawaid badauni wrote:


MANZOOM DAAD.O.TAHSEEN


saadaa ashAAr men kya husn chupa rakhkha hai
kaise batlaaoN keh in sheroN meN kya rakhkha hai

ek ek sher nazar aata hai ek ek ghazal
yAAni her sher meN ghazaloN ka maza rakhkha hai

Yeh lub.o.lahja yeh andaaze takallum SaHab
fikr meN husn-e taGhazzul bhi mila rakhkha

wazn yaksaaN hai to me'yaar-e suKhaN bhi yaksaaN
yooN to har she'r se har she'r juda rakhkha hai

waah kya kahna yeh “be aasra ashkoN ke guhar”
dil ke daaman meN jinhen sub se chupa rakhkha hai

waah kya baat hai kardee hai jibeeN nazr-e zimeeN
AasmanoN ki taraf haath uTha rakhkha hai

fikr-e "NaZir" ka yeh andaaz to dekho “Jawaid”
Ik chiraaGh apni hi turbat peh jalaa rakhkha hai


Jawaid Badauni



wah wah wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh kya munfarid andaaz hai daad dene ka Jawaid bhai...waAllah mazaa aa gaya...sochiye jab mujhe is qadar mazaa aaya hai to nazir bhai ko kitna aayega jab woh ye paRhenge...............bahuuuuuuuuuuuut umdagi se aap ne ek eke sher likha hai......mind blowing...................... 8)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badyuni SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat, :-)

MaiN aapka beHad shukrguzaar hooN ke aap ne nah keh Sirf ghazal kii pazeerayi kii balkeh manzoom madH saraayi se bhii navaazaa.

Aapke kahe houe ashAar paRhkar mujhe yeh qaul yaad aayaa "jauhari ko hi jauhar ki pehchaan houti hei". WaaqaAi aapki fikr o nazar qaabil-e-daad hei. Aap ne bahut achche ashAar kahe heiN.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Mon Jan 30, 2006 4:37 pm, edited 1 time in total.
Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »


Mohtarmee Nazir Sahab

Shukriya kis baat ka main ne haq goii se kaam liya hai.

Aaap ne mujhe PM ke zareeye kuch ashAAr se bhi nawazah hai magar nah jane kyooN woh ashAAr yahaN nahin pesh farmaye. MaiN Khood se to yeh jisarat nahiN kar sakata magar meri raaye hai un ashAAr ko yahaN irsaal farmaaiye members is "tarahee" guftgoo se bohat mahzooz hoNge.

Aapka Mukhlis
Jawaid
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


S H U M M U

Aap ne bilkul bajaa farmaayaa ke Jawaid Badauni SaaHib ne meri ghazal per jo manzoom tabSirah kyaa hei bahut hii dilkash hei jisko paRhkar mujhe khushi hougi.

Jawaid bhaayi mere taAalluq se bahut sakhi heiN aur hameshah kuch nah kuch iHsaan farmaate rehte heiN. Unkaa her tabSirah mere liye aek adabi niAmat ke baraabar houtaa hei. Jin ibaarataoN yaa ashAaar meiN khulooS-e-dil shaamil houtaa hei, unke kyaa kehne. Mujhe bahut khushi houii ke Jawaid bhaayi ne bahut hii achcha manzoom tabSirah kahaa aur likhkhaa hei. Allah unko jazaaye khair de.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Shummu wrote:
jawaid badauni wrote:


MANZOOM DAAD.O.TAHSEEN


saadaa ashAAr men kya husn chupa rakhkha hai
kaise batlaaoN keh in sheroN meN kya rakhkha hai

ek ek sher nazar aata hai ek ek ghazal
yAAni her sher meN ghazaloN ka maza rakhkha hai

Yeh lub.o.lahja yeh andaaze takallum SaHab
fikr meN husn-e taGhazzul bhi mila rakhkha

wazn yaksaaN hai to me'yaar-e suKhaN bhi yaksaaN
yooN to har she'r se har she'r juda rakhkha hai

waah kya kahna yeh “be aasra ashkoN ke guhar”
dil ke daaman meN jinhen sub se chupa rakhkha hai

waah kya baat hai kardee hai jibeeN nazr-e zimeeN
AasmanoN ki taraf haath uTha rakhkha hai

fikr-e "NaZir" ka yeh andaaz to dekho “Jawaid”
Ik chiraaGh apni hi turbat peh jalaa rakhkha hai


Jawaid Badauni



wah wah wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh kya munfarid andaaz hai daad dene ka Jawaid bhai...waAllah mazaa aa gaya...sochiye jab mujhe is qadar mazaa aaya hai to nazir bhai ko kitna aayega jab woh ye paRhenge...............bahuuuuuuuuuuuut umdagi se aap ne ek eke sher likha hai......mind blowing...................... 8)

Summu SaHibah, Aadaab

Bohat bohat shukriya.

Main zara rawish se haTkar unkee ghazal ki pazeeraaii karna chaaahta tha. Iss tarah roz kuch na kuch kahte rahne se mashq-e sukhan bhi jari rahtee hai, warna mere ashAAr meN koii Khas fun ka muzaahirah nahiN hai.

Ek baar phir aap ka shukriya.

MuKhlis
Jawaid
Post Reply