meri TaraHee Ghazal..........mushairah "January"

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

meri TaraHee Ghazal..........mushairah "January"

Post by jawaid badauni »

Yaraan.e mehfil, aadaab

kisee bhee shayar ya muSannif ki taKhliqaat per Haalat.e zamanah ka aSar paRta hai. iss baar meri Ghazal maujoodah Halaat se kuch ziyadah hi mutaAssir ho gaii hai, jiske liye maAzrat Khuwaah hooN. aaj maiN ne apne dil ki bat kahee hai so Ghazal jaise bhi hai bardasht kar lijiye.

Aapka MuKhliS

Jawaid Badauni



hameN alaam ki bohtat pe rona aaya
"roone waale tujhe kis baat peh roonaa aaya"

paRhke aKhbaar harik baat pe rona aya
qaum aur mulk ke Halaat pe rona aaya

Hadiya.e runj o alam haNs ke kiya hum ne qubool
HaN magar KhushiyoN ki sauGaat per rona aaya

aisa lagta hai zameer unka abhi zindah hai
jinko tareeKh ke SufHaat pe rona aaya

apne Halaat pe ik ashk bahaya nah kabhi
baarha auroN ke Halaat pe rona aaya

jinheN shak hota hai hubbul waTanee per meri
mujhe aisoN ke Khyaalaat pe rona aaya

tum tou haNste hi rahaa karte thEy :Jawaid: miyaN
aaj kya baat hi kis baat pe rona aaya
--------------------------------------------------------------

Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!

Ummeed hai kheriyat se hooN ge. mushae'rah meN aap kee shirkat baae'ic-e-iftekhaar hai. tashreef aawaree ke liye aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN. khush raheeN.

Guzarish#36 ke liye aap ke asha'aar dekhne kee taofeeq milee. sabhee asha'aar aap ke jazbah-e-Hubbul wat^anaee kaa barmalaa iz^haar kar rahe haiN aap ne baRee chabak dastee se Haalaat-e-haaZ^irah kee taSweer kashee kee hai. mulkee siyaasee Haalaat jo keh andohnaak aor qaabil-e-muzammat haiN. Haalaat kee is kashmakash meN shaae'ir kaa Hassaas dil mutaacir huwe baGhaer naheeN reh saktaa. yahee wajah hai keh aap kaa GudaaZ dil-o-dimaaGh Haalaat kee is kasheedagee ke tanazur meN naoHah kunaaN hai. aor kiyooN nah ho keh aap aek Hassaas shaa'ir haiN.


hameN alaam ki bohtat pe rona aaya
"roone waale tujhe kis baat peh roonaa aaya"

Waah! bajaa farmayaa hai.

paRhke aKhbaar harik baat pe rona aya
qaum aur mulk ke Halaat pe rona aaya

beshak!

Hadiya.e runj o alam haNs ke kiya hum ne qubool
HaN magar KhushiyoN ki sauGaat per rona aaya

jee jawaid bhaee yahee Haqeeqat hai.

aisa lagta hai zameer unka abhi zindah hai
jinko tareeKh ke SufHaat pe rona aaya

Waah Waah!

apne Halaat pe ik ashk bahaya nah kabhi
baarha auroN ke Halaat pe rona aaya

Bohot khoob Kiya kehne!

jinheN shak hota hai hubbul waTanee per meri
mujhe aisoN ke Khyaalaat pe rona aaya

Waah Waah!

tum tou haNste hi rahaa karte thEy :Jawaid: miyaN
aaj kya baat hi kis baat pe rona aaya

Bohot khoob Waah!

Jawaid bhaee meree jaanib se is Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: meri TaraHee Ghazal..........mushairah "January&quo

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:Yaraan.e mehfil, aadaab

Assalaam o alaikum
jawaid bhai saahib

kaisay haiN aap?


kisee bhee shayar ya muSannif ki taKhliqaat per Haalat.e zamanah ka aSar paRta hai.

jee...bilkul sahi farmaaya aapnay.

iss baar meri Ghazal maujoodah Halaat se kuch ziyadah hi mutaAssir ho gaii hai, jiske liye maAzrat Khuwaah hooN.


yeh tau bahut acchee baat hai.......aap apnay qalam ka haq ada kar rahay haiN.

aaj maiN ne apne dil ki bat kahee hai so Ghazal jaise bhi hai bardasht kar lijiye.

hum tayyaar haiN....ata keejiye.

Aapka MuKhliS

Jawaid Badauni



hameN alaam ki bohtat pe rona aaya
"roone waale tujhe kis baat peh roonaa aaya"

paRhke aKhbaar harik baat pe rona aya
qaum aur mulk ke Halaat pe rona aaya

Hadiya.e runj o alam haNs ke kiya hum ne qubool
HaN magar KhushiyoN ki sauGaat per rona aaya

aisa lagta hai zameer unka abhi zindah hai
jinko tareeKh ke SufHaat pe rona aaya

apne Halaat pe ik ashk bahaya nah kabhi
baarha auroN ke Halaat pe rona aaya

jinheN shak hota hai hubbul waTanee per meri
mujhe aisoN ke Khyaalaat pe rona aaya

tum tou haNste hi rahaa karte thEy :Jawaid: miyaN
aaj kya baat hi kis baat pe rona aaya
--------------------------------------------------------------

aik mufakkir hi aisee baateN kehsakta hai.

is munfarid kaavish per hamaari dilee daad aur mubarakbaad qubool farmaayeN.

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah.

aapka apna
haamidbaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!

Ummeed hai kheriyat se hooN ge. mushae'rah meN aap kee shirkat baae'ic-e-iftekhaar hai. tashreef aawaree ke liye aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN. khush raheeN.

Guzarish#36 ke liye aap ke asha'aar dekhne kee taofeeq milee. sabhee asha'aar aap ke jazbah-e-Hubbul wat^anaee kaa barmalaa iz^haar kar rahe haiN aap ne baRee chabak dastee se Haalaat-e-haaZ^irah kee taSweer kashee kee hai. mulkee siyaasee Haalaat jo keh andohnaak aor qaabil-e-muzammat haiN. Haalaat kee is kashmakash meN shaae'ir kaa Hassaas dil mutaacir huwe baGhaer naheeN reh saktaa. yahee wajah hai keh aap kaa GudaaZ dil-o-dimaaGh Haalaat kee is kasheedagee ke tanazur meN naoHah kunaaN hai. aor kiyooN nah ho keh aap aek Hassaas shaa'ir haiN.


hameN alaam ki bohtat pe rona aaya
"roone waale tujhe kis baat peh roonaa aaya"

Waah! bajaa farmayaa hai.

paRhke aKhbaar harik baat pe rona aya
qaum aur mulk ke Halaat pe rona aaya

beshak!

Hadiya.e runj o alam haNs ke kiya hum ne qubool
HaN magar KhushiyoN ki sauGaat per rona aaya

jee jawaid bhaee yahee Haqeeqat hai.

aisa lagta hai zameer unka abhi zindah hai
jinko tareeKh ke SufHaat pe rona aaya

Waah Waah!

apne Halaat pe ik ashk bahaya nah kabhi
baarha auroN ke Halaat pe rona aaya

Bohot khoob Kiya kehne!

jinheN shak hota hai hubbul waTanee per meri
mujhe aisoN ke Khyaalaat pe rona aaya

Waah Waah!

tum tou haNste hi rahaa karte thEy :Jawaid: miyaN
aaj kya baat hi kis baat pe rona aaya

Bohot khoob Waah!

Jawaid bhaee meree jaanib se is Ghazal par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Biratharam Muzaffar Saahab
aadaab


Ghazal ki bharpur pazeeraayee ke liye mamnoon hooN. Hasb-e dastoor aap ke kalamaat meri himmat afzaaye ka sabab bane haiN. maiN kafi din tak in chaupaaloN se Gaaib raha. Shadeed zaati maSroofiyaat haaiil theeN ab insha Allah aamad-jaamad rahegee.

Is zameen meN aap ki ghazal abhi dekhi hai Insha Allah jald hi apni aara aapki Khidmat meN irsaal karoonga.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: meri TaraHee Ghazal..........mushairah "January&

Post by jawaid badauni »

haamidbaaqri wrote:
jawaid badauni wrote:Yaraan.e mehfil, aadaab

Assalaam o alaikum
jawaid bhai saahib

kaisay haiN aap?


kisee bhee shayar ya muSannif ki taKhliqaat per Haalat.e zamanah ka aSar paRta hai.

jee...bilkul sahi farmaaya aapnay.

iss baar meri Ghazal maujoodah Halaat se kuch ziyadah hi mutaAssir ho gaii hai, jiske liye maAzrat Khuwaah hooN.


yeh tau bahut acchee baat hai.......aap apnay qalam ka haq ada kar rahay haiN.

aaj maiN ne apne dil ki bat kahee hai so Ghazal jaise bhi hai bardasht kar lijiye.

hum tayyaar haiN....ata keejiye.

Aapka MuKhliS

Jawaid Badauni



hameN alaam ki bohtat pe rona aaya
"roone waale tujhe kis baat peh roonaa aaya"

paRhke aKhbaar harik baat pe rona aya
qaum aur mulk ke Halaat pe rona aaya

Hadiya.e runj o alam haNs ke kiya hum ne qubool
HaN magar KhushiyoN ki sauGaat per rona aaya

aisa lagta hai zameer unka abhi zindah hai
jinko tareeKh ke SufHaat pe rona aaya

apne Halaat pe ik ashk bahaya nah kabhi
baarha auroN ke Halaat pe rona aaya

jinheN shak hota hai hubbul waTanee per meri
mujhe aisoN ke Khyaalaat pe rona aaya

tum tou haNste hi rahaa karte thEy :Jawaid: miyaN
aaj kya baat hi kis baat pe rona aaya
--------------------------------------------------------------

aik mufakkir hi aisee baateN kehsakta hai.

is munfarid kaavish per hamaari dilee daad aur mubarakbaad qubool farmaayeN.

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah.

aapka apna
haamidbaqari

Azeezi Haamid Baaqri Saahab
aadaab

aap se mulaqaat kabhi kabhi hoti hai magar behud luTf andoz hota hooN aap ki guftagoo se. Aaj phir aap ne behud Khuloos ke saath meri ghazal ki pazeeraayee ki hai jiske liye aap ka mamnoon hooN. Allah aap ko shaad.o.aabaad rakhkhe.

Aapka MuKhliS
Jawaid
Post Reply