ek Ghazal: ab to ai dil use bhulaa hee de!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

ek Ghazal: ab to ai dil use bhulaa hee de!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-meHfil: aadaab!

UrduAnjuman meN is maah kaa t^araHee miSra' Hasb-e-Zel hai:

"ab to ai dil! ise bhulaa hee de" (Ahamd Faraz)

meree koshish nazr-e-bazm hai. aap kee raaYe aur tabSireh kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
=======================
GHAZAL

daastaaN ab use sunaa hee de
jee meN :Sarwar: hai jo, bataa hee de!

mere Haq meN du,a'a naheeN, nah sahee
kisee Heeleh se bad-du,a'a hee de!

kaun samjhaaYe, kis ko samjhaaYe?
:ab to ai dil! use bhulaa hee de:

be-zabaanee miree zabaaN hai ab
soz-e-shab, aah-e-SubHgaahee de!

kuchh to mil jaaYe teree meHfil se
naa-muraadee ka silsilah hee de!

shaam-e-furqat kee tab saHar ho gee
Husn jab i'shq kee gawaahee de

kho nah jaaYe kaheeN tiree pehchaan
too wafaa kaa Silah jafaa hee de!

dil zamaaneh se uTh gayaa hai ab
kab talak daad-e-kam-nigaahee de?

apnee majbooriyoN peh shaakir hooN
aisee taufeeq yaa Ilaahee! de!

tujh peh :Sarwar: kabhee nah yeh guzre
shaa,i'ree daaGh-e-kajkulaahee de!

===========================================
[/color]
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: ek Ghazal: ab to ai dil use bhulaa hee de!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Qiblah Sarwar A'alam Raz Sarwar SaaHib tasleemaat!

Aap kee tazah Ghazal jo keh AHmad Faraz kee mashhoor-e-zamanah Ghazal kee zameen meN kahee gaee hai. be Had pasand aaee. aap ne baRee saadagee aor ustaadaanah chabak dastee se kaamlete huwe nihayat maozooN aor dilkash asha'aar nikaale haiN. aesee mukhtaSar beHrooN meN nae'e maZ^ameen nikaalnaa gaoyaa lohe ke chane chabaane ke miSdaaq hotaa hai. wajah yeh hai keh asaatizah ne maZ^ameen kee aa'tebaar se u'muma" koee gunjaae'sh baaqee naheeN rakhee hotee isee liye aesee na'ee aor kaamyaab kaawishooN par dilkhoolkar daad denekee Z^aroorat hotee hai. so dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

mazeed kalam bhee e'nayat farmaate raheeN ge isee ummeed ke saath khat^ tamaamkartaa hooN.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: ek Ghazal: ab to ai dil use bhulaa hee de!

Post by Sarwar A. Raz »

qiblah Muzaffar SaaHeb:aadaab!

aap kee Zarrah-nawaazee aur Ghazal kee pazeeraayee kaa mamnoon hooN. maiN ne Faraz kee is zameen meN pooree Ghazal naheeN dekhee hai. sach to yeh hai keh maiN ne un kaa bohat hee kam kalaam dekhaa hai. so kisee mauqe' se yahaaN yaa kaheeN aur un kee yeh Ghazal i'naayat kar deejiYe gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: ek Ghazal: ab to ai dil use bhulaa hee de!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »


Qiblah Sarwar SaaHib aadaab a'rZ^ hai!

mere paas Faraz marHoom kee yeh Ghazal maojood hai .so aap bhee dekh leejiye. yeh un kee kitaan :janaaN janaaN: se naqal kar raha hooN.is ke kul cheh she'er haiN.

Ghazal

har dawaa dard ko baRhaa hee de!
ab to ae dil use bhulaa hee de!

luTne wale se yooN GureeZ nah kar
kiyaa khabar woh tujhe dua'aa hee de!

jin ke chehre peh meree aaNkheeN haiN
woh mujhe t^a'an-e-kam nigaahee de!

yeh bhee ek shewah-e-rafaaqat hai
jaane waalooN ko raastaa hee de!

jaaN kanee ke a'zaab se niklooN
Aakhree teer bhee chalaa hee de!

Ab to jaese :Faraz: baad-e-muraad
Zindagee kaa diyaa bujhaa hee de!

Wassalam
Muzaffar
[/size][/color][/center]
afzalshah
-
-
Posts: 30
Joined: Wed Oct 22, 2008 1:09 am

Re: ek Ghazal: ab to ai dil use bhulaa hee de!

Post by afzalshah »

qabil-e-ehtiraam aitebaar-e-adab
janaab sarwer a.raaz sahib!
assala'mu alai'kum wa rahma tullah
allah aapki umr daraaz karay aor aapka saaya ahbaab-e-urdu ban'dhan per hamaisha qaim-o-daim rakkhay
[aameen]
janab ki ghazal nazar say guzri aik aik she'r ko baar baar paRha dil khush ho gaya
khayaal-o-fikr ki chaashni naseeb huii
ghazal ki taa;reef kay liye lafzoN ki kami zaroor hay khuloos ki kami nahiN lihaaza mairi jaanib say bohut bohut daad-o-tehseen qubool kiji'ye

talib-e-ilm
afzal shah
Post Reply