Ghazal aapki SamaatoN men
Na hotey is tarha hargiz meri tahreer ke tukreH
Jo us dil men utar jatey meri Tasweer ke tukreH
Muhabbat qalbe insani pe kuch aoraq likh detee
NaheeN hotey agar is wadiye kashmeer ke tukreH
Lahoo rotey makanoN se sadayeN aa rahee hon gi
yeh kisne ker diye ajdaad ki taameer ke tukreH
JahaN sadiyoN azanon ki sada kano men ayee thee
waheeN per ho gaye allah ki Takbeer ke tukreH
Ghalat dekha tha humne ayena khanaye ulfat meN
Tumharey paoon choomengey meri tahreer ke tukreh
pohanch jatey kabhi jo aasmano ki bulandee tak
PareH hain ab unhee pairoN meN kuch zanjeer ke tukreH
wazahat ker gayee jo rutbaye Aley mohammad ki
Na ker paya koi quraan ki us tafseer ke tukreH
NaheeN samjha hai jo Ehsan - ranjhey -ki mohabbat ko
woh zalim roz ker deta hai apni heer ke tukreH
urdu bandhan ke naam Tarahee Ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Ehsan Raza
- -
- Posts: 46
- Joined: Wed Jan 04, 2006 5:20 am
- Location: Makkah, Saudi-Arabia
- Contact: