
"Chahar Su" ke taza shumare (July,2013) main Pinhan Saheba ki
ghazal dekhi , paDh kar khayal aaya ke kuchh misre pahle bhi nazar
se guzre hain , phir yaad aa geya ke woh Tanwir Phool Saheb ki ghazal
thi jo March,2009 main "Rang-e-adab" main chhapi thi , is ke elawah woh
kai risalon aor akhbaron (jin main monthly "Rabta International" bhi shamil hai)
aor websites par chhap chuki hai. Kai misre mil rahe hain.Tanwir Saheb ki ghazal
ke matla ka pahla misra aur "tamasha-e-ahl-e-sitam" wala misra' to hu-ba-hu
Pinhan Saheba ki ghazal main duhraya geya hai. Maloom naheen yeh ittefaq hai yaa ??