Search found 138 matches

by Anmol
Fri Nov 03, 2006 3:48 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN(Taaza ghazal)
Replies: 14
Views: 1572

Salam ahl-e-bazm! :) Aaj ek arse baad apni nayi sanjeeda ghazal post kar rahi hoon...urduduniya ke mushaire ke liye aakhri din mein likhi hai...isliye zyaada waqt na de saki ise..yahan isi ummeed ke saath pesh kar rahi hoon ke aap log meri kami beshiyon ki nishaandehi kar dein aur aur apni aara se ...
by Anmol
Fri Aug 11, 2006 12:17 pm
Forum: Moshaairah
Topic: "ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei".....guz
Replies: 6
Views: 413

Re: "ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"....

sara_j wrote:1. kahiN peh zehn kahiN kaa khayaal houtaa hei
yehi to naghma-e-dil kaa kamaal houtaa hei

2. kaTi hei umr hamaari khuli faZaa meiN magar
"ab aek saans bhi lenaa muHaal houtaa hei"
Dear Sara,

Bohot pyaari ghazal kahi hai. Meri jaanib se DheroN daad pesh hai.

:-)
by Anmol
Fri Aug 11, 2006 12:13 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Gazal (Guz. 18)
Replies: 10
Views: 881

Re: Gazal (Guz. 18)

Door hooN manzil se maiN armaan bhi manzil ka hai Aasra ab jo bhi hai bus jazba-e kaamil ka hai MaiN tiree janib nah dekhooN zid hai mere zahn ki Aur tira daaman na choRooN yeh taqaZah dil ka hai Mil gaya humko bhi duniya meN shahaadat ka maqaam Ek to ehsaan hum per baazoo.e qaaatil ka hai Mustaqil...
by Anmol
Thu Aug 10, 2006 11:51 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Meree tarahee ghazal (Guzarish # 20)
Replies: 10
Views: 1024

Re: Meree tarahee ghazal (Guzarish # 20)

rahee aaNkhoN meN sadaa raahguzar ki Surat ghar se yuun nikle nah dekhi kabhi ghar ki Surat Waah... Ham se mat poochh raaste ghar ke Ham musaafir haiN zindagi bhar ke .....(Mohsin Naqwi) kya ajab shaKhS hai woh, shams ki maaniNd mizaaj aur sitam yeh keh nazar aaye qamar ki Surat Waah bohot Khoob. W...
by Anmol
Thu Aug 10, 2006 11:41 pm
Forum: Moshaairah
Topic: guz#19
Replies: 8
Views: 703

Re: guz#19

5. kiyoN mirri qismat badalti hi nahiN Aye falak yeh Kaj ravi achchi nahiN 7. Dil chura kar le gayyi bas ik nazar Yeh tirri jadoogari achchi nahiN 10. kaaNch ke rangeen sapne mat saja Chor de Sheesha gari achchi nahiN 11. ruk na jaaye soch ka behta safar Zehn ki aaloodgi achchi nahiN Waah Zarqa Ji,...
by Anmol
Thu Aug 10, 2006 11:36 pm
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal (20)
Replies: 13
Views: 1226

Adaab, Amjad SaaHib! Ik taveel arSe ke baad aap ki koi ghazal paRhna naSeeb hua hai. Nihaayat khoobsoorat khayalaat aur dilkash bayaan hai, har sher hi apni tareef aap karwa raha hai. :rose aaina saaz ke aisi ho hunar ki soorat nazar aa jaaye jo andar ke bashar ki soorat Waah bohot umda matla hai. ...
by Anmol
Sun Jun 04, 2006 11:50 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: mere chashm-e-tar kee zubaaN tum nah samjhe
Replies: 5
Views: 338

Adaab Raji Sis,

Waah bohot khoob ghazal kahi hay aap ne. Har sher umda hay. Daad pesh hay.
by Anmol
Mon Dec 05, 2005 5:27 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalib ke miSreA per TaraHi ghazal: Abdullah Nazir.
Replies: 9
Views: 510

Re: Shukriyah

Anmol SaaHibah, Purkhuloos Tasleemaat, Apni ghazal per aapka giraaNqadr tabSirah paRhkar bahut khushi houi. TafSeeli Taur per likhne ke liye shukriyah qubool farmaaiye. Aap ne "cheerah dasti" ke maAni daryaaft kiye heiN. Iske mani heiN (ghalbah, girift, zour, Hukm) aur english meiN iske m...
by Anmol
Mon Dec 05, 2005 5:24 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Replies: 8
Views: 431

Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Adaab, Hamid Sahib!

Aap ne ghazal ki pazeerayi ki, us k dard aur jazbaat ko mehsoos kia, behad shukria.


:-)
by Anmol
Mon Dec 05, 2005 5:23 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Replies: 8
Views: 431

Re: bahut khoob

Respected Nazir Sahib, adaab!

Aap ki janib se daad paa k yaqeen ho gaya k waqai ghazal is laaiq thi k pasand ki jati. Bohot shukria itni hosla'afzayi karne ka.

:-)
by Anmol
Mon Dec 05, 2005 5:21 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Replies: 8
Views: 431

Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Dear Sara,

tumhari muhabbat hay k meri aam si shaayri ko pasand karti ho, aur paRhna chahti ho. Ghazal ki pazeerayi k liye behad mamnoon huN.

:-)
by Anmol
Mon Dec 05, 2005 5:19 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Replies: 8
Views: 431

Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Adaab, Amjad Sahib!

Ghazal per aap ka pur'lutf tabsara bohot accha laga. Aainda bhi yuNhi hosla'afzayi karte rahiyye. :-)

shukria.
by Anmol
Mon Nov 21, 2005 3:00 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Replies: 8
Views: 431

Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Adaab, Bohot din se koi kalaam share nahiN kia tha, aaj Sara ne farmayish ki to yuN maiN apni aik ghazal liye chali ayi. Taza kalaam to bohot din se nahiN likha. Ye ghazal 6 months pehle ki hay, lekin ab ja k post ki hay internet per. Aap sab ke tassuraat ka intizaar rahega. :-) Ghazal: Dil meiN Has...
by Anmol
Sun Nov 20, 2005 6:35 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalib ke miSreA per TaraHi ghazal: Abdullah Nazir.
Replies: 9
Views: 510

Re: Ghalib ke miSreA per TaraHi ghazal: Abdullah Nazir.

Adaab, Nazir Sahib! Kese mizaaj heN? Dil rahegaa aur nah uski cheerah-dasti aek din "be-Sadaa houjaayegaa yeh saaz-e-hasti aek din Cheera'dasti se kya muraad hay? :? Ik zaraa sii khush-naSeebi per hei kiyuN itnaa gharoor Tum ko le Doobe nah apni khud-parasti aek din Waah waah, bohot hi khoob. ...
by Anmol
Sun Nov 20, 2005 6:30 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ik choti si koshish
Replies: 8
Views: 444

Bohot khoob, janaab. Daad qubool kijiye.