Search found 43 matches

by Steve Almas
Tue Nov 18, 2008 12:43 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Merey Sath Chal
Replies: 5
Views: 838

Re: Merey Sath Chal

mohtaram steve saheb



To mila to dil ko sakoon he
Mera ishq beshak janoon he
To nahein to jeney mein kiya maza
Merey sath chal merey sath chal

mujhe bhi yeh ashaar baht pasnd aaye

der aaye dorst aaye

Sonu Ji
Der Ayed Drust Ayed wali baat pasand aayi
Samjha keh aapka ishara Dil ke sakoon ki ...
by Steve Almas
Tue Nov 18, 2008 12:28 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Merey Sath Chal
Replies: 5
Views: 838

Re: Merey Sath Chal

To mila to dil ko sakoon he
Mera ishq beshak janoon he
To nahein to jeney mein kiya maza
Merey sath chal merey sath chal

Aapka ye andaaz-e-kalaam bhi bohat pasand ayaa.
Daad aur mubarakbaad qubool farmaye.

Aapka mukhlis
Salem Bashwar

Janab Salem Saheb
Adab
Iss bar apki mushkil ko nazr mein ...
by Steve Almas
Fri Nov 14, 2008 6:21 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Merey Sath Chal
Replies: 5
Views: 838

Merey Sath Chal

Aik aour taza kalam ke sath hazir hooa hoon, umeed he pasand aaye ga.

http://img.photobucket.com/albums/v475/salmas/MereySathChal.gif

Merey ajnabi merey aashna
Merey sath chal merey sath chal
Aa qadam se merey qadam mila
Merey sath chal merey sath chal

Kabhi rastey they juda juda
na tha ...
by Steve Almas
Thu Nov 13, 2008 3:26 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Fasana Baney Ga
Replies: 4
Views: 493

Re: Fasana Baney Ga

Kathan ho ga phir dharhkanon ka tasalsal
Yeh dil dard ka jab thikana baney ga

Masha'Allah......

Behad shaandaar aur haseen ghazal hai... Daad qobool karein.... !!
Mohtrami Munir-Armaan Saheb
Bohat shukriya, karam, meherbani
Khoobsoorat Dad ke liye :grin: :grin:
Khair Andesh
Steve Almas
by Steve Almas
Thu Nov 13, 2008 5:45 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Fasana Baney Ga
Replies: 4
Views: 493

Re: Fasana Baney Ga

Mohtarami Steve Almas Saheb


Girein gi wahan bijliyan dekh lena
Woh jis shakh per aashiana baney ga

Bohat achchi ghazal kahi aapne. Meri dili daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Mukhlis
Salem Bashwar

Salem Saheb
Ghazal ki pasandeedgi ka purkhuloos shukriya qabool kijiye.
Aainda bhi hoslaafzai ...
by Steve Almas
Sat Nov 08, 2008 7:11 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Fasana Baney Ga
Replies: 4
Views: 493

Fasana Baney Ga

Nayi Ghazal pesh-e-khidmat he. Umeed ha passand aaye gi
Mukhlis
Steve Almas
http://img.photobucket.com/albums/v475/salmas/Fasana.gif

Mera Ishq ik din fasana baney ga
Khaber kiya thi dushman zamana baney ga
Girein gi wahan bijliyan dekh lena
Woh jis shakh per aashiana baney ga
Jiye ga bhala ...
by Steve Almas
Tue Nov 04, 2008 6:05 pm
Forum: Moshaairah
Topic: GuZarish#45 1/10/08 ke liye t^araHee miSra'!
Replies: 4
Views: 1117

Re: GuZarish#45 1/10/08 ke liye t^araHee miSra'!

Azeezan-e-Mahfil
Apni aik adna si koshash pesh kerne ki ju'rat kr raha hoon. Umeed kerta hoon keh pasand aayegi
Arsa ke ba'ad mehfil mein hazir hooa hoon, kuch purani yadon ko daman mein liye, iss umeed per keh shayed uoon puraney dost ahbab se phir mulaqat ho. Agar parhney ka moa'qa miley to yaad ...
by Steve Almas
Sat Oct 29, 2005 2:36 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Munajat
Replies: 9
Views: 1065

Munajat

Roman meiN apni munaajaat likhne ke liye shukriyah. Mazaameen bahut achche heiN, jinke liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Pahle sheAr ke doosre miSreA meiN Harf meem ke ba'd wawo nahiN hei. Is liye behtar hei ke aap us miSreA ko yooN kardeN:

khudaa karde muAaaf aek ik khaTaa ko ...
by Steve Almas
Mon Oct 24, 2005 8:00 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Munajat
Replies: 9
Views: 1065

Munajat

MuHtarami
Steve Almas Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki kahi houi munaajaat paRhne ki koushish meiN kaamyaab nah housakaa kiyunkeh image file khul nahiN saki. Agar is ke saath Roman meiN bhii likhkhaa houaa houtaa tou aasaani houjaati. Aajkal Aaam Taur per yehi mushkil pesh aarahi hei.

Ummeed ...
by Steve Almas
Mon Oct 24, 2005 12:16 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Munajat
Replies: 9
Views: 1065

Munajat

Almas ji,

adaab arz hai.

sach kaha aapne Allah ta'ala zaroor naraaz hogaye hain.... aapka kalaam bohat asar angaiz hai aur hum sab bhi duago hain un sab bhai behanon aur bachon ke liye.

aapki tehreer bohat pasand aayi aapne to sab hi ka zikr kiya hai. bohat khoob!

isi mauzzu per Dr. Baland ...
by Steve Almas
Sun Oct 23, 2005 2:35 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Munajat
Replies: 9
Views: 1065

Munajat

Almas ji

slaam-e-khuloos

aap ki nazm paRhee aur peRhatee hi ga'ee

aap ne Haqeeqat meN doob ker bohat khoobsurtee se likhaa hai

aik nehaayat pur acar teHreer aur pur acar andaaz

Allah es maiN ki ga'ee tamaam duaaiN qabuul fermaaey.aameen

Jazakomullaho Khairaa kaceeran kaceeraa

wassalam ...
by Steve Almas
Sun Oct 23, 2005 2:35 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Munajat
Replies: 9
Views: 1065

Munajat

Almas ji

slaam-e-khuloos

aap ki nazm paRhee aur peRhatee hi ga'ee

aap ne Haqeeqat meN doob ker bohat khoobsurtee se likhaa hai

aik nehaayat pur acar teHreer aur pur acar andaaz

Allah es maiN ki ga'ee tamaam duaaiN qabuul fermaaey.aameen

Jazakomullaho Khairaa kaceeran kaceeraa

wassalam ...
by Steve Almas
Wed Oct 19, 2005 6:11 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Munajat
Replies: 9
Views: 1065

Munajat

Taslemaat
Pakistan aour India mein zalzalay ki bepanah tabahi mein merney walon per jo qiymat guzri us ka andaza lagana mushkil he, lekin bachney walon ke chehray iss baat ki gawahi zaroor hein keh unhon ne moat ko barhey qareeb se dekha he. Unhein ke uthey haath meri is nazm ke wajood ka ba'iss ...
by Steve Almas
Mon Aug 29, 2005 5:44 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Jurm-e-Dosti
Replies: 12
Views: 1850

almas ji,

tasleemat.

wah! bohat hi khoobsurat ghazal kahi..........sabhi ashaar bohat pasand aaye aur chehre per muskurahat si chaah gayi.......

khaas jab ye shair paRhi:

"tere aane se itna tou hua mehfil huii raushan
vagarna dil jale dil jala ker roshni karte...."

bohat bhala laga ye shair ...
by Steve Almas
Thu Aug 25, 2005 3:00 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Jurm-e-Dosti
Replies: 12
Views: 1850

MuHtarami
Steve Almaas Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi khaskar tarmeem shudah Haalat meiN. Bahut hii achche mazaameen heiN aur saare ashAar bahut hii dilkash heiN.

Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiyhe.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Mohtram Nazir Saahib ...