Search found 80 matches

by Brijinder
Fri Oct 07, 2011 9:08 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Ik pagal nazm pagal samaajoN kay naam
Replies: 1
Views: 4517

Ik pagal nazm pagal samaajoN kay naam

Ik pagal nazm pagal samaajoN kay naam


Raakh barsaygi aasmaanoN say
Fizaa main bhar jaygi qabroN ki haddiaN
Apna hi lahu bahayga dariya dariya
NiklayNgay naNgay jism murdoN kay juloos

Kuttay roaiNgay muhN aflaaq pay dhar kar
Aur raqs karyNgi siyaaroN ki hookaiN
Aankh barsa karygi naalioN kay ...
by Brijinder
Tue Aug 30, 2011 11:56 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Dard-e-tanhai
Replies: 0
Views: 3536

Dard-e-tanhai

Dard-e-tanhai

NaghmaiN hazar dil main sunaauN kis ko
Haasil kay pursihar jalway dikhaauN kisko?

Nazae ki dhudh maiN hai tamaam basti
Hosh qaraar-e-jurm khuda bani hai pasti

Fitoor ka aalam har zehan pay bana hai
Naqash-e-pa kuhan kay aur un pay hi chalna hai

Jisay daykhiay kal main jee raha hai ...
by Brijinder
Mon Jul 18, 2011 8:50 am
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Nietzsche-my nazm
Replies: 0
Views: 3602

Nietzsche-my nazm


Nietzsche

Siyaah hai raat bahut sar chupayay baitha hai mahtaab kahiN aasmaanoN main
Woh door door tak haiN afsurda-nasheeN sitaaroN kay lashkar
KahkashaN Saari sharmsaar si huee firti hai


Woh pashymaN sa khra hai Tamm_dun ki na-deeda aankhoN ka swaal
KhwaaboN pay jhapat rahay haiN ...
by Brijinder
Fri Jun 10, 2011 9:34 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Hadd-e-fikr say aagay
Replies: 0
Views: 3719

Hadd-e-fikr say aagay

Hadd-e-fikr say aagay


Swaal haiN jwaab haiN
Khwaab khwaab khwaab haiN
Halaal na haraam hai
Afqaar kay saraab haiN

Hyaat la-jwaab hai
Aur sabko na-gwaar hai
Hyaat la-hadood hai
Par rooh girftaar hai

Hyaat khud maqaam hai
Aur aadmi khwaar hai
Khwaab bhi yaqeen haiN
Yaqeen bhi to khwaab haiN ...
by Brijinder
Fri May 27, 2011 8:42 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Takhian-2
Replies: 0
Views: 3382

Takhian-2

TalkhiaaN

Tu mujh pe karay sang ki baarish
MaiN zubaN bhi hilauN to gunahgaar banuN
MaiNney banaaya aazaadi ko ahud apna
Teri tamn_na ki maiN tera ahalkaar banuN

Meri takhleeq meiN nahiN jo shokhioN ke dum
To teri nazar meiN koi sukhnwar hi nahiN
MaiN afkaar ki hudd se guzar jaaney ka huiN ...
by Brijinder
Tue May 17, 2011 9:27 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Talkhiaan
Replies: 1
Views: 4223

Talkhiaan

----------------------------------------

----------------------------------------


TalkhiaN


Tujhay aayaa na jo falak choonay ka andaaz
Gunaah bana di gayiN parvaazaiN meri
Ab mera qasoor hai kya teray ahsaas ki ghurbat
Jo dabaatay ho balaNd aawaazaiN meri?

Jab tu mehfiloN maiN ho mast ...
by Brijinder
Sun May 08, 2011 11:26 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: bekhudi
Replies: 0
Views: 3426

bekhudi

Bekhudi

Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi
Khud hi jawaab aur swaalaat hai zindagi

Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat
Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat

Kuch jaani anjaani raahon pay
UmroN kay qaafilay
Ghardish-e-doraaN main pinha manzilaiN
Kabhi manzil ka pa laina
Phir us say ukta ...
by Brijinder
Wed Apr 27, 2011 8:27 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: GharoN ko makaan bantay daikha hai
Replies: 1
Views: 4153

GharoN ko makaan bantay daikha hai

Gharon ko makaan bantay daikha hai
RishtoN ko dukaan bantay daikha hai

Bhartay haiN jo pyaar ka dam har waqt
Pal maiN unhaiN haivaan bantay daikha hai

Kartay haiN jo bathkoN main tehzeeb-o-adab ki baatain
Ghar kay band kamroN main unhaiN shaitaan bantay daikha hai

Awaaz ab uthaaiN apnay aisay ...
by Brijinder
Tue Apr 19, 2011 5:07 am
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Keemiya
Replies: 0
Views: 3789

Keemiya

KEEMIYA

Khuda bhi sochta tha ik din Banaa kar yeh saari khudaai
Ki kaisay ik fikr nay rach di Yeh tamaam tilsmee sachaai

Ki kaisay khwaabgaahoN ko ghumaan-e-yaqeeN honay lagaa
Magar khwaabgaahoN ki haqeeqat bhi haqeeqat hai
Yeh traadeed ka dilfaryeb fasoon
Sadaaqat bhi fasaanaa hai,fasaanaa bhi ...
by Brijinder
Sat Apr 09, 2011 7:48 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Chand gali to utra hoga
Replies: 0
Views: 3343

Chand gali to utra hoga

Chand gali to utra hoga
Mujhse shayud rootha hoga

Zahar pyalaa de kar mujhko
Kuch to wo bhi tarpa hoga

Chupke chupke poNcha hoga
AaNkh se gar kuch tapka hoga

Usne khat to bheja hoga
Mujh tak hi na pahuNcha hoga

NeeNd uRa kar meri wo bhi
Shub bhar chatt par tehla hoga
by Brijinder
Tue Mar 15, 2011 11:01 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Shab-e-furqat main tu agar ayay
Replies: 0
Views: 3391

Shab-e-furqat main tu agar ayay


Shab-e-furqat main tu agar ayay
sehra main samandar utar ayay

Sangdil koi mila na tujh sa
hum to daikh sara shehar ayay

Dard mera to laga ab sonay
Naya aur koi nashtar ayay

Waqt-e-rukhsat aur kasam yeh hai
aankh main ashq na nazar ayay

Umr bhar rahi hasrat "Sagar"
Apni ulfat ki bhi sehar ayay ...
by Brijinder
Tue Mar 08, 2011 2:52 am
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Alvida
Replies: 1
Views: 4315

Alvida

Dedicated to the women on the Women's day:

ALVIDA


Na tujh pay jafa ka koi ilzaam
Ma maiN apni ulfat pay sharamsaar
Tagaful na peshaymaani na koi shiqayat
Bus zindagi ko dekha apnay apnay andaz say humnay

MaiN ishq ko samjhta hooN zindgi ka muqaddar
Tunay muqaddar ko bus zindagi samjha
MaiN jin ...
by Brijinder
Tue Jan 18, 2011 7:44 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Khush-amdeed
Replies: 0
Views: 3773

Khush-amdeed

KHUSh-AMDEED

Teri aamad ab na banay shayud bayus-e-visaal na sahi
Na ho ab girft maiN meri shayud tera jamaal na sahi
Na ho ab naseeb mujhay teray hoNthoN ki haraarat shayud
Na uthaiN ab teray dil maiN shayud meray khyaal na sahi

Na sahi teri aamad maiN nihaaN ab meray khwaaboN ki taabeer
Na sahi ...
by Brijinder
Sun Dec 26, 2010 3:10 am
Forum: Nacri Kalaam
Topic: DangoN main Jab say daikha ik toota hua khwaab
Replies: 1
Views: 4137

DangoN main Jab say daikha ik toota hua khwaab

DangoN meiN jab se daikha ik masla hua khwaab
Boseeda saaqi,berang maiqada aur kaRwi hai shraab

Mujhay aayaa na swaal bhi puchnay ka sha_ur
Aur sab yahaaN liyay phirtay haiN jwaabon ki Qitab

Mujhsay puchtay ho to jagaao khud meiN junooN aisa
Patjhar meiN bhi jo karay koshish-e-fasl-gulaab ...
by Brijinder
Fri Dec 03, 2010 6:54 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Waqt ki aankh say daikho to yeh bahut puraani lagti hai
Replies: 1
Views: 4180

Waqt ki aankh say daikho to yeh bahut puraani lagti hai

Waqt Ki aankh se deykho tu yeh baat Puraani lagti hai
Teray meray Piyar ki baatein ab aik kahani lagti hai

Meray Dil ki ragh ragh mein wo lahoo ban k behti hai
Larki Jo Nadaan kabhi aur kabhi Siyaani lagti hai

Ahad-e wafa per mein nay guzara jeewan apna tanha tamaam
Hairan Diloun ko shayd yeh ...