Search found 483 matches

by Mahtab Qadr
Thu Feb 15, 2007 11:36 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :: Valentine's Day ke Havaale se aek nazm ! ::
Replies: 6
Views: 447

Bradar e Aziz Zia Assalam Alaikum wa rahma Aapki nazm apni kaifiatoN ke aitebaar se nihayat purasar nazm kahi ja sakti hai. aur andaaz e bayaan ki khoobsurti lahje ki rawaani aap ko aik kaamyaab shayer balke fikri safar mai apni manziloN ko choone wala shayer tasleem karwaarahi hai. is had tak aap ...
by Mahtab Qadr
Wed Jan 31, 2007 9:25 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dukh
Replies: 15
Views: 1540

Nadir Khan sahib , aur Tahira Masood sahiba baat nikle gi to phir door talak jaayegi............................balke jaarahi hai. chand ashaar isi hawaale se......mukhtalif shora ke mulahiza farmaiN.. diloN ka dard tatoolo yahi hai raah e najaat larazte kaNpte hoNtoN ka ehteraam karo hai dil ke lye...
by Mahtab Qadr
Sun Jan 28, 2007 9:20 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dukh
Replies: 15
Views: 1540

Tahera ji ki nazm bahut pasand aai, zaher hai aik shayer aik qalamkar apne atraaf ke haalaat ki akkasi hi kar sakta hai aur karna chahaiye. jahaN tak dukhoN ka taalluq hai Nadir khan sahib ne bhi bilkul sahi farmaya , dukh aur dard e dil hi to Allaama Iqbal ki zaban mai yoN bayan kiye jasakte haiN k...
by Mahtab Qadr
Sat Jan 20, 2007 10:33 am
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal # 25..........Sara Jabeen
Replies: 7
Views: 1778

saara ji
salam e masnoon
ghazal ka har sher bahut khoosurat hai. is murassa ghazal ke lye mubarakbaad

Mahtab
by Mahtab Qadr
Sun Jan 14, 2007 8:47 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aek taazah ghazal apne imtiHan ke liye - -- - Abdullah Nazir
Replies: 1
Views: 204

Mohatram Abdullah bhai salaam e masnoon Aapki ye taaza ghazal bahut pasand aai. aap apna imtehan leiN ya na leiN hameiN to aapki har ghazal kamil aur khooobsurat lagti haiN. zameen yaqeenan choti hone ke sabab sher kahna asaan na tha par asaatizah ko is se kia .. aap ki fikr o fan par jo girift hai ...
by Mahtab Qadr
Mon Jan 08, 2007 10:00 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii
Replies: 6
Views: 676

Umdah ghazal

Raji sahiba Assalam alaikum Bahut umdah zameen mai aik khoobsurat ustaazana tarz ki ghazal par dili mubarakbaad . nafeer-e-SubHa bajaao keh shab tamaam hoovii Ghalaaf-e-marg haTaao keh shab tamaam hoovii wah wah bahut khoob taveel shab kee masaafat ke saakinooN se kaho safar se lauT bhi aaho keh sha...
by Mahtab Qadr
Wed Jan 03, 2007 10:47 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Voh SheH Jou Un-ke Labon Per Hai...........Ghazal
Replies: 2
Views: 617

Janab Jaweed Akhtar Hyderabadi sahib Assalam Alaikum wa rahma .. aap ki khoobsurat ghazal nazar nawaaz huvi Sara Jabeen sahiba ki karamfarmai ke sabab. warna ye kalaam hameiN kahiN aur parhne ko kahaN milta, baharhaal aapki ghazal pasand aai. shukria. aik do bateiN agar tab e shayer par giraN na guz...
by Mahtab Qadr
Wed Dec 06, 2006 6:23 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Maah Dec. ke muntakhab shayar.........Makhdoom Mohiuddin
Replies: 11
Views: 3289

sara sahiba Assalam alaikum wa rahma Darasl mai ne makhdoom ka zamana paya zaroor hai laikin apni kamsini ke sabab urdu mahfiloN tak meri rasaai na thi aur jab hosh aaya tab bhi Makhdoom ki chand aik khoobsurat nazmoN aur ghazloN ke alaawa kuch na parh saka jiski bunyaadi wajah unka ishteraakiat pas...
by Mahtab Qadr
Tue Dec 05, 2006 6:38 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Maah Dec. ke muntakhab shayar.........Makhdoom Mohiuddin
Replies: 11
Views: 3289

sara jabeen sahiba , aap ne to kamaal kardia , wah wah bahut umda tasveereiN banai haiN Makhdoom ki ghazloN ki.
by Mahtab Qadr
Mon Nov 13, 2006 5:47 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Nazr e Saani ke baad...shiyaar aNkhoN mai
Replies: 9
Views: 778

bahut shukria , aapka bhi ke aapne ghazal ko saraha aur waqai sarwar sahib ka shukria ke un ki ghazal ke sabab sab aNkheiN dikhnaane lage, phir aapne meri aNKheiN nahi dekheiN to mera kia qusoor.
by Mahtab Qadr
Sun Nov 12, 2006 8:18 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :: yeh chaman dhuvaaN dhuvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
Replies: 4
Views: 497

Bradar e Azeez Zia Baloch sahib , salaam e masnoon
Aapki pesh e nazar parhkar aisa laga ke ghazal ka har sher ,shayer ki mashshaq , ustaadana shan lye huve hai. kisqadar mushkil radeef aapne muntakhab kia. bahut khooob
shukria
Mahtab
by Mahtab Qadr
Wed Nov 08, 2006 7:22 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Nazr e Saani ke baad...shiyaar aNkhoN mai
Replies: 9
Views: 778

Behad Shukria Abdullah bhai , aap ki qeemti aara mere lye hamesha mishal e raah rahi haiN ,
shukria
Niazmand

Mahtab
by Mahtab Qadr
Tue Nov 07, 2006 6:11 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Nazr e Saani ke baad...shiyaar aNkhoN mai
Replies: 9
Views: 778

Mohatram Abdullah bhai , Salaam e masnoon Aapki mohabbatoN ka mai pahle hi mushtaq o muatarif hoN. aap ne meri aik choti si koshish par apni raye se nawaaza aur daad di , mai behad mamnoon hoN aapka. Aap ne sahi farmaaya ke dil ka kaarobaar bahut uljhi huvi shaye hai, jafa ka dard bhi mazeed uljha d...
by Mahtab Qadr
Mon Nov 06, 2006 9:09 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Nazr e Saani ke baad...shiyaar aNkhoN mai
Replies: 9
Views: 778

Ghazal nazr e saani ke baad tarameem ke sath pesh e khidmat hai. mulahiza farmaiye.
shukria
Mahtab
by Mahtab Qadr
Mon Nov 06, 2006 6:46 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Nazr e Saani ke baad...shiyaar aNkhoN mai
Replies: 9
Views: 778

sab se pahle ye batadoN ke ye ghazal online kahi gai thi jab Sarwar Raz sahib ki ghazal parhi to Comp. par hi baithe huve likh maari thi , aur mai chahta bhi yahi tha ke kuch sakht tanqeedeiN aaiN is par islye bila nazr e saani ke post kardi ghazal. isay aap uzr e lang bhi samajh sakti ahiN. ya naac...