Search found 116 matches

by farhan
Thu Feb 26, 2009 8:16 am
Forum: Moshaairah
Topic: "tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan
Replies: 4
Views: 909

Re: "tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan

moHtaram A'zeez Farhan saaHib tasleemaat! Ummeed hai baakheriyat hooN ge. rawaaN A'alami mushae'rah meN aap kee shumuliyat dilkhush kun hai. ham sab dostooN ke liye yeh baat bhee qaabil-e-fakhr-o-masarrat hai keh aap sheher-e-mubarak Madeenah Munawwarah se is mushae'rah meN shaamil ho kar arbaab-e ...
by farhan
Thu Feb 26, 2009 8:13 am
Forum: Moshaairah
Topic: "tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan
Replies: 4
Views: 909

Re: "tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan

moHtaram janaab FarHan Aziiz. SaHab salaam arz hai masha Allah bohot hii khoobSoorat duaa'iyaa + Haalaat Haazirah + Haalat e eemaanii ka tazkirah jin dilsoz pur aCr ta'aCCuraat se aap ne bayaan farmaaya hai,uss ke liye bhar poor daad Haazir hai. bohot umdah janaab e aalee kya baat hai kherandesh ...
by farhan
Tue Feb 17, 2009 7:27 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dil ko yooN behlaa rakkhaa hai
Replies: 4
Views: 290

Re: dil ko yooN behlaa rakkhaa hai

Janab.e.MuHtaram Sarwar Raz SaHib,,, As Salaamu Aalaikum Wa Rahmatuallhi Wa barakatuhu,,, aap ki ghazaleen aap ki shaerna azmat ki daleel hoti haiN. ziyadah to maiN kuch arz karne kay layeQ nahiN hooN. bus yeh kehna chahta hooN k aap ki yeh ghazal bahut khoob hai. KHaaS tour per yeh shair mujhay ...
by farhan
Tue Feb 17, 2009 7:18 pm
Forum: Moshaairah
Topic: "tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan
Replies: 4
Views: 909

"tire ishQ ki inteha chahta hooN"...........FarHan

Salaam o RaHmat,,, maah.e.rawaaN k misra.e.tarah per apni tazah tareen ghazal aap ki basaratoon kay hawale! ummid karta hoon k kisi layeq hogi. 1] tamannaooN ki inteha chahta hooN. zaman.o.makaaN ka sira chahta hooN. 2] mire Khaal.o.Khadd meiN tira noor chamke. "tire ishQ ki inteha chahta hooN". 3 ...
by farhan
Sat Feb 07, 2009 4:18 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzaarish#49: tarahi Ghazal
Replies: 4
Views: 715

Re: Guzaarish#49: tarahi Ghazal

Salaam o RaHmat,,, Janaab Musafir ya Nadaan SaHib {MaA'zairat khaw hoon k aap kay naam say waqif nahin hooN} mayra manna hai k ghazal kabhi purani nahin hoti. haan aur baat k yeh bahut pehlay ki likhi hui ho.khair, aap ki ghazal k yeh shair mujhay khas tour per pasand aaya. [yeh maana sabhi dost ...
by farhan
Sat Feb 07, 2009 4:16 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ghazal01
Replies: 2
Views: 246

Re: ghazal01

is tarah se ishq maiN khud ko saza deta raha bewafa ke shehr maiN dars e wafa deta raha bekhabar basti ke baasi bekhabar sote rehe chaandni raatooN maiN ik paagal sada deta raha khud bhi jal jai gaa ik din ye khabar hote hoye surkh angaarooN ko daaman se hawa deta raha ratjagoN ke saath reh ker ...
by farhan
Fri Feb 06, 2009 1:53 pm
Forum: Moshaairah
Topic: "voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota"...by FarHan
Replies: 2
Views: 438

Re: "voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota"...by FarHan

muHtaram FarHaan Sb salaam a'laik ek achhee or pur kaif Ghazal par daad HaaZir hai. (gar qubool oftaNd). Masjib nabwee HaZri ho to mujh nachheez kaa salaam Zaroor a'rZ farmaadeN aHqar Khurshidul Hasan Naiyer Janab Khurshidul Hasan Naiyer SaHib,,, Salaam o RaHmat,,, ummid hai k aap ba.khair o khoobi ...
by farhan
Sat Jan 31, 2009 7:34 pm
Forum: Moshaairah
Topic: "voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota"...by FarHan
Replies: 2
Views: 438

"voh Qatl bhi karte haiN to charcha nahin hota"...by FarHan

Salaam o RaHmat,,, Apni tazah tareen tarahi ghazal aur takheer kay liye mA'ziart kay saath maiN HaZir hooN. ummid karta hooN k nazim.e.mushaira aur ahbaab darguzar say kaam leengaye. takheer ka sabab yeh hai k main in dinoon main bahut hi maSroof raha. ghazal 1] hone ko zamane meiN bhala kiya nahin ...
by farhan
Mon Jan 05, 2009 5:03 pm
Forum: Quran O Hadeec
Topic: Ashoura ke rouze
Replies: 1
Views: 240

Re: Ashoura ke rouze


Janab Salim SaHib,,,

JAZAKUMULLAHU KHAIRA

is mufeed maloomati post kay liye main aap ka shukar guzaar hoon. ALLAH aap ko jaza.e.khair say nawaze. Ameen.

FarHan Aziiz
by farhan
Wed Jun 04, 2008 8:18 pm
Forum: Moshaairah
Topic: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan
Replies: 10
Views: 1081

Re: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan

Mohtaram Farhan Saheb :salaam: Aapki ghazal par mahireen ki rai ke baad mein sirf yeh kehsakta houn ke Ghazal pasand ayee. Walaikum As salam wa Rahmatuallahi wa Barakatuhu,,, sub say pehlay main aap say maA'zirat khaw hooN k main iss taraf bahut takheer say phouncha. mujhay yeh jaan ker khushi hui ...
by farhan
Mon May 26, 2008 3:15 pm
Forum: Moshaairah
Topic: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan
Replies: 10
Views: 1081

Re: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan

moHtaram Farhan SaaHib tasleemaat! :rose Aap kee shirkat mushae'rah kee kaamyaabee kee e'lamat hai. khubSurat kalam dilkash kheyalaat aor HaseeN alfaaz^ kaa intekhaab jo az khud aek fan hai. is par aap ko jis qadar bhee daad-o-taoSeef se nawazaa jae so kam ho gaa. mujhe sabhee asha'aar be Had ...
by farhan
Mon May 26, 2008 3:12 pm
Forum: Moshaairah
Topic: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan
Replies: 10
Views: 1081

Re:

Salam Farhan bhai, aap ke likhte heN, Khawar Bhai,,, Salaam o RaHmat,,, ummid hai mizaaj.girami ba.khair hoNge. 1) Khiyaal yaQeenan saadah hai.aityaraaf karata hooN. aap nay likha{doosra miSra bebeHr lag rahaa hai.} mujhay to nahin laga. bara.e.mahrbani nashaandahi farmayeN to mamnoon rahoonga. 2 ...
by farhan
Mon May 26, 2008 3:11 pm
Forum: Moshaairah
Topic: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan
Replies: 10
Views: 1081

Re:

muHtaram jb. FarHaan Sb salaam o raHmah aap kee ghazal paRhee, pasand aayee. 1} rah.e.zindagii meiN akcer, gam utha utha kay roye. sabhi naQsh.e.arzoo dil say mita mita kay roye. achhaa she'r hai magar meree raaye hai keh aap is ko phirse se dekhleN chooNke maiN khud iSlaaH ke maidaan kaa aadmee ...
by farhan
Wed May 21, 2008 7:22 am
Forum: Moshaairah
Topic: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan
Replies: 10
Views: 1081

Farhan bhai, roz hooN aap ki dua-oN meN ab mujhe ye yaqeen hotaa hai. chaliaye aate heN aap ki ghazal ki taraf, 1} rah.e.zindagii meiN akcer, gam utha utha kay roye. sabhi naQsh.e.arzoo dil say mita mita kay roye.---------------------------------------------------------khayaal bohat saada hai ...
by farhan
Sun May 18, 2008 5:33 am
Forum: Moshaairah
Topic: ::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan
Replies: 10
Views: 1081

::miri dastaan.e.Hasrat voh suna suna kay roye::....FarHan

apni ik tazah TaraHi ghazal aap aHbaab ki nazr karta hooN. mulaHayzah kijea. 1} rah.e.zindagii meiN akcer, gam utha utha kay roye. sabhi naQsh.e.arzoo dil say mita mita kay roye. 2} kabhi raaz dil kay kholo, kabhi yaar hum say bolo. hai tumheeN yeh rooG kaisa,k hameeN haNsa kay roye. 3} kai dil ...