Search found 26 matches

by Shafeeq
Fri Apr 14, 2006 7:56 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal--"jab na paayi koi daleel-e-shab"
Replies: 2
Views: 249

ek ghazal--"jab na paayi koi daleel-e-shab"

dosto salaam-e-masnoon. mashoor shayar-o-daanishwaar janab-e-Yousuf Kamal ke a'shaar: ghhut ke khud mar gaye andhere bhi jab na mehka koi jameel-e-shab dil giraftaar-e-zulf hai Yousuf ho na jaaye yeh gharq-e-neel-e-shab se mutassir ho kar jo ghazal maine kahi hai pesh-e-khidmat hai. mulaheza ho: jab...
by Shafeeq
Wed Mar 22, 2006 1:40 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tarahi ghazal--"jism baar-e-giraaN na ho jaaye"
Replies: 5
Views: 253

tarahi ghazal--"jism baar-e-giraaN na ho jaaye"

ehl-e-bazm Hazrat Hafeez Hoshiarpuri ka shayr hai: bezubaani zabaaN na ho jaaye raaz-e-ulfath AyaaN na ho jaaye ahbaab ki eik nashist meiN tabA azmaai ke liye "raaz-e-ulfath AyaaN na ho jaaye" ba_taur-e-misrA-e-tarah diya gaya thha. mere dost Dr. Daanish ki khoobsurat ghazal sukhanwaaran-e...
by Shafeeq
Sat Mar 18, 2006 2:47 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal--"humeiN khabar hai ke khud zauq hum meiN kitna
Replies: 6
Views: 405

Mohtarma Sara Saheba, Mukarramii Salem Bashwar Saheb, Mohtaram Naveed Saheb, Janab Munnawar Saheb ASAK ghazal ki pazeerayi ke liye aap hazraat-o-khawateen ka shukrguzaar huN. aap se meri darkhwaast hai ke ijtemayi taur par mera izhaar-e-tashakkur qubool farmayeN. zarrah_nawazi ke liye shukriya wassa...
by Shafeeq
Sat Mar 18, 2006 2:43 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek ghazal--khasta kharab haal huN,batil khayal huN
Replies: 9
Views: 571

Mohtarma Shumaila Saheba, Mukarramii Salem Bashwar Saheb, Janab Sabeeh Saheb aur Mohtarma Sara Saheba
ASAK
daad-o-tahseen ke liye mamnoon huN.
aap se guzarish hai ke ijtemayi taur par shukriyah qubool farmayeN.
wassalaam
Shafeeq Ahmed
by Shafeeq
Wed Mar 15, 2006 12:57 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal--"humeiN khabar hai ke khud zauq hum meiN kitna
Replies: 6
Views: 405

Ghazal--"humeiN khabar hai ke khud zauq hum meiN kitna

dosto ek ghazal pesh-e-khidmat hai. Ghazal humeiN khabar hai ke khud zauq hum meiN kitna thha wagarna faasla dair-o-haram meiN kitna thha yeh baat poochhiye unke sulagte aanchal se asar lahu ka miri chashm-e-nam meiN kitna thha tere khutoot-e-badan ka yeh sab tassaruf hai wagarna zor hamare qalam me...
by Shafeeq
Wed Mar 15, 2006 4:34 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek ghazal--khasta kharab haal huN,batil khayal huN
Replies: 9
Views: 571

mohabbi Yasir Saheb
ASAK
zarrah_nawazi ke liye mamnoon huN. bohat bohat shukriya aap ka.

Shafeeq Ahmed
by Shafeeq
Sun Mar 12, 2006 10:20 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek ghazal--khasta kharab haal huN,batil khayal huN
Replies: 9
Views: 571

Mohtaram Nazir Saheb, Adaab-o-tasleemaat aaj ke daur meiN fardan fardan ghazal ke shayr ko paRHkar khayal aaraai kaun karta hai? haqeeqat tau yeh hai ke aap ki tanqeed mere liye islaah ka darja rakhti hai. ghalti se jo najm maine typing meiN jo nazm kar diya aur is ghalti ki vajeh se shayr ka rang h...
by Shafeeq
Sat Mar 11, 2006 3:40 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek ghazal--khasta kharab haal huN,batil khayal huN
Replies: 9
Views: 571

Ek ghazal--khasta kharab haal huN,batil khayal huN

ehl-e-bazm mere azeez dost hazrat-e-Daanish aur maiN eik hi college meiN angrezi ke ustaaz haiN. aksar-o-beeshtar hum ek hi zameen meiN taba_azmaai karte haiN. ek aisi adna kaavish aap ki khidmat meiN pesh kar raha huN. khasta kharab haal huN,batil khayal huN barbadiyoN ki aap maiN apni misaal huN j...
by Shafeeq
Sun Feb 26, 2006 5:52 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalib ki zameen meiN eik ghazal--a tribute
Replies: 7
Views: 578

Mukurrami Jawed Badayuni Saheb, Mohtaram Khozema Hussaini Saheb aur Janab Ibn-e-Siddique Saheb, Aap hazraat ne meri ghazal mulaheza farmaayi aur fauran se peshtar gul_haa-e-tahseen-o-tauseef se khaaksaar ke mashaam-e-jaaN ko mu'Attar farmaaya jo na sirf meri izzat_afzaai hai balke mustaqbil ki samt...
by Shafeeq
Sun Feb 26, 2006 5:33 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalib ki zameen meiN eik ghazal--a tribute
Replies: 7
Views: 578

mohibbi Nazir saheb, kuch naguzeer masroofiyaat ki bina par haazir-e-bazm na ho saka. aap ne khaaksaar ki ghazal ko baRHi mushfiqaana nazar se dekha, raye qaayam ki aur rush_haat-e-qalam ko supurd-e-bazm kiya.is ke liye aap bajaa taur par mere mukhlisaana shukriye ke mustahaq haiN. aap ne mere do as...
by Shafeeq
Wed Feb 22, 2006 6:36 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalib ki zameen meiN eik ghazal--a tribute
Replies: 7
Views: 578

Ghalib ki zameen meiN eik ghazal--a tribute

ehl-e-bazm aadaab-o-tasleemaat. Ghalib ki zameen meiN (unki barsi ke mauqe par) ghazal kehne ki koshish maine ki thhi. mulaheza farmaiye: denge na bosa keh diya, pher ke muNh zara, ke yuN chheD ke humne le liya bosa-e-na_rava, ke yuN qalb-o-jigar ko thhaam luN teri nazar ke saamne chashm-e-karam ka ...