Search found 62 matches

by Munawwar
Tue Jun 26, 2007 5:47 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: Raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee...
Replies: 3
Views: 342

Ghazal: Raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee...

'Azeez dosto, BaRe dinoN ba'd ek ghazal kahne kee furSat milee. Ummeed hai ke aap sabkee pasandeedagee ke laaiq hogee. Pesh-e-khidmat hai ghazal: Raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee to soch shehr meN kyaa teri aabroo hotee? na tere dil meN tamannaa-e-rang-o ...
by Munawwar
Tue Jan 02, 2007 10:02 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: MaahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa
Replies: 2
Views: 308

Janaab Abdullah Naazir SaaHab, Aadaab aur saal-e-nau mubaarak! Aapkee 'inaayat kaa shukr adaa karne meN kuchh der ho gayee jiske liye maiN mu'azrat khwaah huN. Aapne ghazal paRhee aur meree hauSlah afzaaee kee jiske liye maiN aapkaa beHad mamnoon huN. Ummeed hai ke isee andaaz meN aap mustaqbil meN ...
by Munawwar
Fri Dec 29, 2006 9:59 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: MaahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa
Replies: 2
Views: 308

Ghazal: MaahoN ke ba'd deta hai mauqa' jo deed kaa

Dosto Is koshish meN lagaataar rahtaa huN ke mauqa' milte hi kuchh fikr-o-mashq karooN, aur kuchh TooTee phooTee see ban jaaye to bazm meN pesh kar dooN. Isee koshish kaa nateejah hai ke ek ghazal banee hai jo shaayad yahaaN pesh karne ke laayaq hai. Aap hameshah kee taraH meree is ma'moolee see ...
by Munawwar
Tue Dec 19, 2006 8:07 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish #24 ke muta'liq meree tarHee ghazal
Replies: 8
Views: 881

Janaab-e-Mahataram Abdullah Naazir Saahab, Aadaab! Aapkaa kin alfaaz meN shukr adaa karooN? Aapne der se hi sahee, par jis andaaz se meree ghazal par tabSirah likhaa, uske liye maiN aapkaa tah-e-dil se mamnoon huN. Aapne jin baatoN kee taraf nishaan dehee farmaayee hai maiN un par ghaur karooNgaa ...
by Munawwar
Mon Dec 18, 2006 5:50 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish #24 ke muta'liq meree tarHee ghazal
Replies: 8
Views: 881

Janaab Abdul Hadi SaaHab,

Zarrah nawaazee kaa shukriyah! Ummeed hai ke mustaqbil meN bhee inaayat farmaate raheNge

Aapkaa mamnoon
Munawwar
by Munawwar
Fri Dec 15, 2006 11:03 am
Forum: Anjuman
Topic: Shair ka jawab shair main dejeye
Replies: 637
Views: 101871

samajhtee hai ye duniyaa keh huaa maiN gharq-e-dariyaa, par
inheeN amwaaj ke markaz meN Saahil mil gayaa mujhko.

Bhaswar Dasgupta Munawwar
by Munawwar
Fri Dec 15, 2006 10:38 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish #24 ke muta'liq meree tarHee ghazal
Replies: 8
Views: 881

Azeezah Sara jee Aapkaa beHad mamnoon huN ke aapne meree ghazal aur meree bak bak, donoN hee kee pasandeedagee farmaayee. Yeh aapkee zarrah nawaazee hi hai. Ab agar Janaab Naazir SaaHib bhee ek dafa' yeh ghazal dekh leN aur do chaar besh qeematee jumle is par farmaa deN, to maiN samajh jaauN ke mere ...
by Munawwar
Tue Dec 12, 2006 3:48 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish #24 ke muta'liq meree tarHee ghazal
Replies: 8
Views: 881

Janaab Muhammad Khawar Saahab, Mujhe pehlee baar aapse mukhaatib hone kaa mauqa' mil rahaa hai. Mujhe baRee khushee huee ke aap ne meree ghazal par apne besh qeematee khayaalaat se mujhe aagaah kiyaa, aur meree madad karne kee koshish bhee kee. "yeh kaisaa rashk hai ke aasmaaN ne parindoN ke jalaaye ...
by Munawwar
Tue Dec 12, 2006 12:40 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish #24 ke muta'liq meree tarHee ghazal
Replies: 8
Views: 881

Guzarish #24 ke muta'liq meree tarHee ghazal

Azeez Dosto BaRe dinoN ba'd aap logoN se mukhaatib ho sakaa huN. Ham naukree peshah logoN ko furSat naam kee cheez kam hi miltee hai, aur agar "furSat" kee kamaaee meN lag jaaye to paisoN kee kamaayee ruk jaayegee. Bas, ummeed pe Haazir huaa huN ke aap log mujhe bhoole naheeN hoNge. Agar bhool gaye ...
by Munawwar
Mon Sep 18, 2006 5:18 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: Jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge
Replies: 4
Views: 319

Mayank jee,

Namashkaar!
Aapkaa bahut bahut shukriyah ke aapne ghazal pasand kee aur meree himmat afzaaee kee.
Jee Theek hai, aataa rahuNgaa.

Aapkaa bahut bahut shukriyah
Munawwar
by Munawwar
Mon Sep 18, 2006 5:16 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: Jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge
Replies: 4
Views: 319

Sara jee Aadaab! Ghazal pasand karne kaa bahut bahut shukriyah. Kucch din ghair HaaZir rahaa, kyuNke meree aaNkhoN meN iritis ho gayaa thaa. Computer par kaam karne se sakht mana'hee thee. Khair, waapas aakar achhaa lag rahaa hai. Jee zaroor, jald jald aanaa kyaa, apnaa ghar yaheeN basaa letaa huN ...
by Munawwar
Sun Sep 17, 2006 5:18 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: Jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge
Replies: 4
Views: 319

Ghazal: Jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge

Azeez dosto, Ek taveel a'rse ke ba'd aapkee khidmat meN HaaZir ho sakaa huN. Ijaazat deN to is ta'kheer ke e'waz meN ek baRee hi mushkil zameen pe likhi gayee ghazal pesh karne ki jurrat karooNgaa. jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge jab dil hoN dhaRakte to yeh mushtaaq bhi hoNge dildaar ...
by Munawwar
Sun Jul 09, 2006 7:07 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: dil wo parwarda-e-mamnooN hai jafaa kaaron kaa
Replies: 1
Views: 169

Ghazal: dil wo parwarda-e-mamnooN hai jafaa kaaron kaa

Dosto, Mujhe yeh bataate hue dilee musarrat ho rahee ke meree ghazal ko mehfil-e-mushaaira (mushaira.org) ke guzishtah maah ke mushaaire meN doyam qaraar diyaa gayaa hai. Meree ghazal ke i'laawah Janaab Haamid Baaqeree SaaHab kee ghazal ko bhi doyam qaraar diyaa gayaa hai. Ya'nee donoN ghazloN meN ...
by Munawwar
Wed Jun 14, 2006 7:35 am
Forum: Moshaairah
Topic: TarHee Ghazal (Guzaarish 18)
Replies: 9
Views: 813

Mahtaram Haamid Baaqeree Saahab,

Tah-e-dil se aapkaa mamnoon huN Janaab, ke aapne ghazal paRhee aur pasandeedgee farmaayee. Mustaqbil meN bhi naacheez par i'naayat farmaayeN.

Shukriyah,
Munawwar
by Munawwar
Tue Jun 13, 2006 9:28 am
Forum: Moshaairah
Topic: TarHee Ghazal (Guzaarish 18)
Replies: 9
Views: 813

Hassan Bashir ji,
Jee, mujhe bhi ummeed hai ke aap se mulaaqaat hotee rahegee.:-)

BeHad khushee hai ke aapko naacheez kee ghazal pasand aayee. Ummeed hai ke mustaqbil meN bhi aap mujhpar inaayat farmaayeNge.

Shukriyah,
Munawwar