Search found 44 matches

by nigaah
Thu Sep 01, 2005 3:43 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Replies: 16
Views: 1543

Janab Abdullah Nazir sahab

is hosla afzaai ka bay hud shukriya .....aap nay Ghazal ko saraah diya...qadr maiN izaafa ho gaya mere kalaam ki.....nawazish

Nigaah
by nigaah
Thu Sep 01, 2005 3:37 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Replies: 16
Views: 1543

Re: Bahut achci ghazal kahi hei aap ne

irfan barabankwi wrote:mohtaramah
NIGAH SAAHIABH
tasleemat

wah kamal hai. bahut hi achhi ghazal aapney pesh ki hai. meri bahut bahut daad qubool kareiN.

khair andaish

irfan barabankwi

Shukriya....Irfan sahab....aap ke alfaaz ke liye bohut mamnoon hooN...

Nigaah
by nigaah
Sun Aug 28, 2005 8:25 am
Forum: Moshaairah
Topic: :: zamaane ! dekhtaa jaa be-basee se ! ::
Replies: 8
Views: 692

Re: :: zamaane ! dekhtaa jaa be-basee se ! ::

Yaaraan-e-meHfil, aadaab ! moHtaram Abd-ul-laah Nazir k deye gaye KhoobSoorat t^araHee misra' par sab ki GhazleN paRh aaKhir kaar mujh se rahaa nahiN gayaa ! aur aek naa kaam koshish maiN ne bhi kar hi Daali, so woh Haaazir-e-Khidmat hai ! Ji janab..... aap ek Ghazal maiN 15, 20 ashaar likhnay ...
by nigaah
Sat Aug 27, 2005 1:03 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Replies: 16
Views: 1543

Re: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8

Assalam alaikum kafi taveel arsay baad aap sab say muKhtaib hooN .... waja taaleemi masroofiyaat haiN jin say inshaAllah November main kaamyaabi ke sath faraaGhat naseeb hogi.... tab tak isi tarah taveel Ghair haaziri ke sath ek nikammay bachay ki tarah forum per aaya karooNgi....aaj tou ghar ka ...
by nigaah
Sat Aug 27, 2005 12:59 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Replies: 16
Views: 1543

oh achcha u mean "mauzoo" ..theek theek ab samajh gayi..:) sorry han....mujhe smajhne mein ghalti hui...thanx for the clarification!:) aray aray....ye sorry worry kia hota hai...... AISA HI KIA KARAIN .... jab bhi koi baat waazeh na ho Khaas tor say meri shaairi maiN ...thik hai na ?..:) mujhay ...
by nigaah
Sat Aug 27, 2005 12:50 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Replies: 16
Views: 1543

Nigaah SaaHiba, ham ne Nasir Kamzi k isee matla' se muta'accir ho kar isee Khyaal ko apne andaaz maiN bayaan karne ki koshish kii hai mere Khyaal maiN is maiN koi buraayee nahiN hai ? ji janab hargiz koi buraai nahiN hai....:)...aur shaairi maiN tou aisa hota hi hai.....ke ek hi Khayaal muKhtalif ...
by nigaah
Sat Aug 27, 2005 12:40 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Replies: 16
Views: 1543

zmufti wrote:Nigah jee
aap ki ghazal buhat pasand aayii
yeh sher buhat acha laga
mujhay ye poochna tah zindagi say
"yehi tera rawayya hai sabhi say...?"
take care
zarqa

bohut shukriya Zarqa....

aap ko shair pasand aaya.... samjhiye qadr baRh gai is ki :)...

Nigaah
by nigaah
Thu Aug 25, 2005 6:26 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Replies: 16
Views: 1543

Quote: badal bethay thay wo mauzoo achaanak muhabbat tak jab aaya, dil lagi say sher bahut umda hai magar is mein shuturgurbah hai.... ise aise theek kar lijiye... badal baiThaa tha woh mauzoo achaanak muhabbat tak jab aaya,dil lagii se!! ya aise.. badal baiThe the woh mauzoo achaanak muhabbat tak ...
by nigaah
Thu Aug 25, 2005 11:14 am
Forum: Moshaairah
Topic: Khata hoti hai saahib aadmi say ...Guz # 8
Replies: 16
Views: 1543

aaKhir kaar aap aa hi gayeeN ! bohut Khushee hoi aap ko itne a'rSe baaa'd dekh kar ! , ham intezaar kareNge , kyoNke aap ki taHreeroN maiN ham apne zaqu ka a'ks dekhte haiN ji janab!...aaKhir kaar maiN aahi gai buray waqt ki tarah...:).....aap ke aala zauq ko taskeen ponhchaaye ...ye hamaari ...
by nigaah
Thu Aug 25, 2005 10:43 am
Forum: Moshaairah
Topic: "Khata hoti hai saheb aadmi se" guz#8
Replies: 9
Views: 767

Assalam alaikum

aap ki Ghazal achi lagi....Khaas tor say maqtaa jaan-e-Ghazal hai...

ujaale ko janam de gee siyaahee
saHar phooTe gee "Zarqaa" teeragee se!

bohut umda....daad qubool kijye...

Nigaah
by nigaah
Thu Aug 25, 2005 10:35 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guz#8--'khataa hoti hai Saahib aadmii se'
Replies: 18
Views: 1710

Shumaila Saahiba bohut arsay baad muKhatib honay ka mouqa mila...:)...umeed hai Kheiryat say hoNgi aap..... aur janaaaaab!... aap ke matlay tou bas....hum paRhtay haiN aur Parhtay hi chalay jaatay haiN kaiee baar....kahaN say lay aati haiN ye matloN ki bahaar aap ? :)....aaj raaz bata hi dijye ...
by nigaah
Thu Aug 25, 2005 10:26 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHi Ghazal Guz.8 ke miSreA per: Abdulqayyum Sahil, jeddah
Replies: 8
Views: 672

Saahil Sahab aap ki ghazal ke mazaameen pasand aaye ..... maiN dholooN hath apni zindagi say tumheiN fursat nahi jalwahgari say wah ....shadeed khafgi ka izhaar hai....:).... bakheri bhi nahi haiN shab ne zulfeiN charag-e-dil jalay haiN sham hi say bohut Khoob.... albatta ek shuba hai...."jalay hai ...
by nigaah
Thu Aug 25, 2005 9:58 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guz: 8 meri kawish
Replies: 15
Views: 1398

Uzma Sahiba... bohut acha laga aap ko yahaN bhi jalwa afroz dekh kar...:)..... Ghazal bohut achi lagi.... behr ki jaanib tawajju tou dila hi chukay haiN ehbaab..... ye kami tou mashq say az Khud behter hoti chali jaye gi....albatta Khayaalat ki zameen zarKhaiz hai.... is ki aabyaari karti rahiye ...
by nigaah
Thu Aug 25, 2005 9:45 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHi Ghazal - -- - (Guz.8). Abdullah Nazir.
Replies: 11
Views: 1003

Janab Abdullah Nazir Sahab bay hud Khubsoorat kalaam ....aur andaaz-e-bayaaN bohut bay saaKhta hai..... ajee say are tak ....ka andaaz bohut bhala hai......ashufta ravi say behak jaanay ki misaal bhi bohut munfarid hai...... munh chiRa kar chalay jaanay wali tarkeeb nay bhi baRa lutf diya.....aur is ...
by nigaah
Thu Aug 25, 2005 9:17 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi
Replies: 12
Views: 1169

Janab Irfan Sahab aap ki Ghazal say ashaar muntaKhab karnay maiN hum naakaam rahay ....kiuNke koi shair bhi aisa nahiN tha jisay choR kar aagay baRh jaya jaata..... wahi zinda rahega sar-khushi se jo samjhauta karega zindagi se miri ghairat Talab karti nahiN kuchh nibahey ja rahi hai tishnagi se ye ...