NAZM=BETEE

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

NAZM=BETEE

Post by najma »

SATHIYO!
AADAAB
aaj ek nazm leka hazir hooN.ye nazm kaee mushairoN meiN farmaaish par bhi suna chukii hooN.nazm to jesii bhji hay, lekin ummeed hay keh iska mauzuu, apko zarooer pasand aeyga.ye nazm aaj ke daur ke ek larzah-khez saanihe se muta,ccar ho kar sar zad huee thii, is meiN aawurd ka dakhl naheeN, ye sarasar aamad hay.
aap bhi dekhiye aurapnii aaraa, se nawaziye. :-)
asaatiza-e-kiraam se islaah ki bhi darkhaast hay. :P :oops:
arz kartii chalooN , keh merii koee betee to naheeN, lekin ek maaN aur betee ke ehsasaat to har dil meiN hote haiN.
ab aap hi ye nazm paRhiye aur bataiyye, kesii lagii :-)



den hay qudrat! tirii, malik! tira eh,saan hay [-o<
chaand see betee ataa kii, jo aziz az jaan hay :grin:
bachpane meiN khel guRyoN ke bohat khele, magar :-)
aaj jo paaee hay guRya, wo miree pehchaan hay :wink:
nau maheene khaab bun,ne meiN jo guzre haiN, na pooch :P
dard jo maiN ne sahay, tera karam, rehmaan! hay [-o<
sadqe waarii ho ke bhaee choomte haiN tere haath :rose
tujh meiN hay abuu ki, aur abbu meiN terii jaan hay :rose
ye dar-o-deewaar haiN sau jaan se tujh par fidaa :grin:
teri aamad se miraa ghar khushyoN ka unwaan hay :rose :rose

aankh se mujhko tasawwur ki ye aata hay nazar :-k
waqt ik raftaar se kis tarha jata hay guzar :roll:

ghuTnoN ke bal chalte chalte tuu kabhi gir jaaey gii :P
girte girte ek din chal kar mire paas aaey gii :wink:
mast hi kar jaaey gii ma,soom see har har ada :grin:
totlee guftaar terii har kisii ko bhaaey gii lol
paRh ke bismillaah, che kalme sikhaaooN gii tujhe :grin:
din meiN sau sau baar un kalmoN ko tuu dohraaey gii :grin:
nursury, school, phir college ka daur_ajaaey gaa :comp
sir balandii paaungii, jab digriyaaN tuu laaey gii =D>
ek din shaadii ke phir paiGhaam, tere aaeiN gay :wink:
mashwara tujh se karooNgii, tuu bohat sharmaaey gii :oops:

ek anjaane khatar se khauf saa aane laga 8-[
fikr ka lamha mire ehsaas pe chaane laga :roll:

chaa rahii hay chaar suu kaisii balaa, hanstii huee :o
maGhribii tehzeeb kii kalii ghataa, uThtee huee :roll:
munh chiRaatii hay hamarii mashriqii tehzeeb ka :(
izzat-o-naamoos ki dhajji har-ik, uRtee huee :roll:
raat ki raanii bhi apnii zaat meiN meh,boos hay :(
chand sikkoN ke liye baazaar meiN biktii huee :o
mar gaee Ghairat se shaaKh-e-gul, jo guzra saaniha :shock:
raat uski hi kalii, be-aab saa motii huee :cry:
lekin aiy lakht-e-jigar! tuu hay mira woh e,timaad 8)
jheel meiN jaise keh ho bas, chaandinii chantii huee :wink:

aaj hay NAJMA, watan kii maaN :-) , tuu kal keh,laaey gii :grin:
sham,a ban ke har andhere ko nigaltii jaaey gii :wink:
:grin:
Attachments
nazm-betee1.gif
nazm-betee1.gif (14.61 KiB) Viewed 807 times
nazm-betee2.gif
nazm-betee2.gif (15.01 KiB) Viewed 807 times
nazm-betee3.gif
nazm-betee3.gif (15.21 KiB) Viewed 807 times
Last edited by najma on Sat May 21, 2005 12:51 am, edited 3 times in total.
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Post by naheedv »

waah Namja ji,

buaht hi hassaas mozoo' aur nihaayat hee umdah andaaz.e.biyaaN!
aap ne vaaqa'ee dil ko choone waalee nazm takhliq kee hai.
meree taraf se dhair saaree daad qubool kijiye!

mukhlis
Naheed


aapki daad sir aaNkhoN pe naheed v sahiba!
is hausla-afzaee ke liye mamnoon hooN
khair andesh
najma
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

nazar nahi aa rehi ......................hamesha ki terah..naheedv ji ki ghazal bhi nazar nahi aa rehi
hello
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

waqar_masood wrote:nazar nahi aa rehi ......................hamesha ki terah..naheedv ji ki ghazal bhi nazar nahi aa rehi

oh :o
khuda jane ktya mas,alah hay :?
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtarama Najma SaaHiba, aadaab :)

aap ki kaavish har i'tebaar se mukammal kaavish hai , aur mujhe nazar aarahi hai :)

kaavish har kiHaaz se bahut KhoobSoorat hai , daad qabool kejeye

shukriyaa

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Abbasi
-
-
Posts: 13
Joined: Wed Mar 30, 2005 6:26 pm
Location: Abbottabad
Contact:

Post by Abbasi »

Assalamualaikum

Bahoot Khoob Bahoot hi khobsurat nazam likhkhi hai aur mauzu tu bahoot hi khobsurat chunna hai. Sadda Khush Rahain.

Allah Hafiz

Yousaf Abbasi
Aao ek Sajda Kar Lain Aalam-e-Madhooshi Main
Loug Kehtay Hain Kay Saghar Ko Khudda Yaad Nahi
gurya
nau-waarid
Posts: 4
Joined: Sat Feb 05, 2005 2:41 pm

Re: NAZM=BETEE

Post by gurya »

najma wrote:SATHIYO!
AADAAB
aaj ek nazm leka hazir hooN.ye nazm kaee mushairoN meiN farmaaish par bhi suna chukii hooN.nazm to jesii bhji hay, lekin ummeed hay keh iska mauzuu, apko zarooer pasand aeyga.ye nazm aaj ke daur ke ek larzah-khez saanihe se muta,ccar ho kar sar zad huee thii, is meiN aawurd ka dakhl naheeN, ye sarasar aamad hay.
aap bhi dekhiye aurapnii aaraa, se nawaziye. :-)
asaatiza-e-kiraam se islaah ki bhi darkhaast hay. :P :oops:
arz kartii chalooN , keh merii koee betee to naheeN, lekin ek maaN aur betee ke ehsasaat to har dil meiN hote haiN.
ab aap hi ye nazm paRhiye aur bataiyye, kesii lagii :-)



den hay qudrat! tirii, malik! tira eh,saan hay [-o<
chaand see betee ataa kii, jo aziz az jaan hay :grin:
bachpane meiN khel guRyoN ke bohat khele, magar :-)
aaj jo paaee hay guRya, wo miree pehchaan hay :wink:
nau maheene khaab bun,ne meiN jo guzre haiN, na pooch :P
dard jo maiN ne sahay, tera karam, rehmaan! hay [-o<
sadqe waarii ho ke bhaee choomte haiN tere haath :rose
tujh meiN hay abuu ki, aur abbu meiN terii jaan hay :rose
ye dar-o-deewaar haiN sau jaan se tujh par fidaa :grin:
teri aamad se miraa ghar khushyoN ka unwaan hay :rose :rose

aankh se mujhko tasawwur ki ye aata hay nazar :-k
waqt ik raftaar se kis tarha jata hay guzar :roll:

ghuTnoN ke bal chalte chalte tuu kabhi gir jaaey gii :P
girte girte ek din chal kar mire paas aaey gii :wink:
mast hi kar jaaey gii ma,soom see har har ada :grin:
totlee guftaar terii har kisii ko bhaaey gii lol
paRh ke bismillaah, che kalme sikhaaooN gii tujhe :grin:
din meiN sau sau baar un kalmoN ko tuu dohraaey gii :grin:
nursury, school, phir college ka daur_ajaaey gaa :comp
sir balandii paaungii, jab digriyaaN tuu laaey gii =D>
ek din shaadii ke phir paiGhaam, tere aaeiN gay :wink:
mashwara tujh se karooNgii, tuu bohat sharmaaey gii :oops:

ek anjaane khatar se khauf saa aane laga 8-[
fikr ka lamha mire ehsaas pe chaane laga :roll:

chaa rahii hay chaar suu kaisii balaa, hanstii huee :o
maGhribii tehzeeb kii kalii ghataa, uThtee huee :roll:
munh chiRaatii hay hamarii mashriqii tehzeeb ka :(
izzat-o-naamoos ki dhajji har-ik, uRtee huee :roll:
raat ki raanii bhi apnii zaat meiN meh,boos hay :(
chand sikkoN ke liye baazaar meiN biktii huee :o
mar gaee Ghairat se shaaKh-e-gul, jo guzra saaniha :shock:
raat uski hi kalii, be-aab saa motii huee :cry:
lekin aiy lakht-e-jigar! tuu hay mira woh e,timaad 8)
jheel meiN jaise keh ho bas, chaandinii chantii huee :wink:

aaj hay NAJMA, watan kii maaN :-) , tuu kal keh,laaey gii :grin:
sham,a ban ke har andhere ko nigaltii jaaey gii :wink:
:grin:

bachpane meiN khel guRyoN ke bohat khele, magar :-)
aaj jo paaee hay guRya, wo miree pehchaan hay :wink:


ye shair meray liye likha hai kya????????? :lol: :wink:

mazak bartaraf bohot he acha likha hai ap ne bohot pasand aya
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

naheedv wrote:waah Namja ji,

buaht hi hassaas mozoo' aur nihaayat hee umdah andaaz.e.biyaaN!
aap ne vaaqa'ee dil ko choone waalee nazm takhliq kee hai.
meree taraf se dhair saaree daad qubool kijiye!

mukhlis
Naheed


aapki daad sir aaNkhoN pe naheed v sahiba!
is hausla-afzaee ke liye mamnoon hooN
khair andesh
najma
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

naheedv wrote:waah Namja ji,

buaht hi hassaas mozoo' aur nihaayat hee umdah andaaz.e.biyaaN!
aap ne vaaqa'ee dil ko choone waalee nazm takhliq kee hai.
meree taraf se dhair saaree daad qubool kijiye!

mukhlis
Naheed


aapki daad sir aaNkhoN pe naheed v sahiba!
is hausla-afzaee ke liye mamnoon hooN
khair andesh
najma


is pazeeraaee ke liye behab shukriya naheed v sahiba!
sada khush rahiye
khair andesh
najma
:-)
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

Star Mind wrote:moHtarama Najma SaaHiba, aadaab :)

aap ki kaavish har i'tebaar se mukammal kaavish hai , aur mujhe nazar aarahi hai :)

kaavish har kiHaaz se bahut KhoobSoorat hai , daad qabool kejeye

shukriyaa

moKhliS : Zia Baloch

zia baloch sahib!
aadaab
is pazeeraaee ke liye ham aap ke be-had mamnoon haiN.
bohat shukriya
khush rahiyye
kair andesh
najma
:-)
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

Abbasi wrote:Assalamualaikum

Bahoot Khoob Bahoot hi khobsurat nazam likhkhi hai aur mauzu tu bahoot hi khobsurat chunna hai. Sadda Khush Rahain.

Allah Hafiz

Yousaf Abbasi

bohat bohat shukriya janab Yousaf Abbasi sahib!
aapkii is qadar pazeeraaee ke liye mamnoon hooN
khair abdesh
najma
:-)
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: NAZM=BETEE

Post by najma »

gurya wrote:
najma wrote:SATHIYO!
AADAAB
aaj ek nazm leka hazir hooN.ye nazm kaee mushairoN meiN farmaaish par bhi suna chukii hooN.nazm to jesii bhji hay, lekin ummeed hay keh iska mauzuu, apko zarooer pasand aeyga.ye nazm aaj ke daur ke ek larzah-khez saanihe se muta,ccar ho kar sar zad huee thii, is meiN aawurd ka dakhl naheeN, ye sarasar aamad hay.
aap bhi dekhiye aurapnii aaraa, se nawaziye. :-)
asaatiza-e-kiraam se islaah ki bhi darkhaast hay. :P :oops:
arz kartii chalooN , keh merii koee betee to naheeN, lekin ek maaN aur betee ke ehsasaat to har dil meiN hote haiN.
ab aap hi ye nazm paRhiye aur bataiyye, kesii lagii :-)


guRya
ye nazm ham ne sbhi achii achii aur pyarii pyarii bachiyoN k liye likhi hay.tum bhi un meiN yaqeenanshamil ho, aur wese bhi tumhara to naam hi GURYA hay. :lol:
sada khush raho
:-)
bohat shukriya :grin:



den hay qudrat! tirii, malik! tira eh,saan hay [-o<
chaand see betee ataa kii, jo aziz az jaan hay :grin:
bachpane meiN khel guRyoN ke bohat khele, magar :-)
aaj jo paaee hay guRya, wo miree pehchaan hay :wink:
nau maheene khaab bun,ne meiN jo guzre haiN, na pooch :P
dard jo maiN ne sahay, tera karam, rehmaan! hay [-o<
sadqe waarii ho ke bhaee choomte haiN tere haath :rose
tujh meiN hay abuu ki, aur abbu meiN terii jaan hay :rose
ye dar-o-deewaar haiN sau jaan se tujh par fidaa :grin:
teri aamad se miraa ghar khushyoN ka unwaan hay :rose :rose

aankh se mujhko tasawwur ki ye aata hay nazar :-k
waqt ik raftaar se kis tarha jata hay guzar :roll:

ghuTnoN ke bal chalte chalte tuu kabhi gir jaaey gii :P
girte girte ek din chal kar mire paas aaey gii :wink:
mast hi kar jaaey gii ma,soom see har har ada :grin:
totlee guftaar terii har kisii ko bhaaey gii lol
paRh ke bismillaah, che kalme sikhaaooN gii tujhe :grin:
din meiN sau sau baar un kalmoN ko tuu dohraaey gii :grin:
nursury, school, phir college ka daur_ajaaey gaa :comp
sir balandii paaungii, jab digriyaaN tuu laaey gii =D>
ek din shaadii ke phir paiGhaam, tere aaeiN gay :wink:
mashwara tujh se karooNgii, tuu bohat sharmaaey gii :oops:

ek anjaane khatar se khauf saa aane laga 8-[
fikr ka lamha mire ehsaas pe chaane laga :roll:

chaa rahii hay chaar suu kaisii balaa, hanstii huee :o
maGhribii tehzeeb kii kalii ghataa, uThtee huee :roll:
munh chiRaatii hay hamarii mashriqii tehzeeb ka :(
izzat-o-naamoos ki dhajji har-ik, uRtee huee :roll:
raat ki raanii bhi apnii zaat meiN meh,boos hay :(
chand sikkoN ke liye baazaar meiN biktii huee :o
mar gaee Ghairat se shaaKh-e-gul, jo guzra saaniha :shock:
raat uski hi kalii, be-aab saa motii huee :cry:
lekin aiy lakht-e-jigar! tuu hay mira woh e,timaad 8)
jheel meiN jaise keh ho bas, chaandinii chantii huee :wink:

aaj hay NAJMA, watan kii maaN :-) , tuu kal keh,laaey gii :grin:
sham,a ban ke har andhere ko nigaltii jaaey gii :wink:
:grin:

bachpane meiN khel guRyoN ke bohat khele, magar :-)
aaj jo paaee hay guRya, wo miree pehchaan hay :wink:


ye shair meray liye likha hai kya????????? :lol: :wink:

mazak bartaraf bohot he acha likha hai ap ne bohot pasand aya
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Post by khurram_shaikh »

Assalaam o alekum,



bahooot khoob bahoot hi umdeh kalaam share kiyaa aapnien daad qabool karien khush rahien
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
User avatar
little abbasi
-
-
Posts: 112
Joined: Tue Apr 19, 2005 4:24 pm
Contact:

Post by little abbasi »

SALA/\/\.

WAH BOHAT BOHAT KHOOB NAZAM LIKHKHI HAY SHARE KARNE KA BOHAT SHUKRIYA.

ATTIQ ABBASI
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

sara_j wrote:najma ji,

wah waah! kya khoob aapne beti per nazm likhi, bohat khoob!

bohat hi dil ko moh lene wali tehreer hai.

dhair saari daad qubool keejiye.

sara


is hauisla afzaaeee ka shukriya sara j sahiba!
sada khush rahiye
:-)
Post Reply