AADAAB
aaj ek nazm leka hazir hooN.ye nazm kaee mushairoN meiN farmaaish par bhi suna chukii hooN.nazm to jesii bhji hay, lekin ummeed hay keh iska mauzuu, apko zarooer pasand aeyga.ye nazm aaj ke daur ke ek larzah-khez saanihe se muta,ccar ho kar sar zad huee thii, is meiN aawurd ka dakhl naheeN, ye sarasar aamad hay.
aap bhi dekhiye aurapnii aaraa, se nawaziye.

asaatiza-e-kiraam se islaah ki bhi darkhaast hay. :P

arz kartii chalooN , keh merii koee betee to naheeN, lekin ek maaN aur betee ke ehsasaat to har dil meiN hote haiN.
ab aap hi ye nazm paRhiye aur bataiyye, kesii lagii

den hay qudrat! tirii, malik! tira eh,saan hay [-o<
chaand see betee ataa kii, jo aziz az jaan hay

bachpane meiN khel guRyoN ke bohat khele, magar

aaj jo paaee hay guRya, wo miree pehchaan hay

nau maheene khaab bun,ne meiN jo guzre haiN, na pooch :P
dard jo maiN ne sahay, tera karam, rehmaan! hay [-o<
sadqe waarii ho ke bhaee choomte haiN tere haath :rose
tujh meiN hay abuu ki, aur abbu meiN terii jaan hay :rose
ye dar-o-deewaar haiN sau jaan se tujh par fidaa

teri aamad se miraa ghar khushyoN ka unwaan hay :rose :rose
aankh se mujhko tasawwur ki ye aata hay nazar

waqt ik raftaar se kis tarha jata hay guzar

ghuTnoN ke bal chalte chalte tuu kabhi gir jaaey gii :P
girte girte ek din chal kar mire paas aaey gii

mast hi kar jaaey gii ma,soom see har har ada

totlee guftaar terii har kisii ko bhaaey gii lol
paRh ke bismillaah, che kalme sikhaaooN gii tujhe

din meiN sau sau baar un kalmoN ko tuu dohraaey gii

nursury, school, phir college ka daur_ajaaey gaa :comp
sir balandii paaungii, jab digriyaaN tuu laaey gii =D>
ek din shaadii ke phir paiGhaam, tere aaeiN gay

mashwara tujh se karooNgii, tuu bohat sharmaaey gii

ek anjaane khatar se khauf saa aane laga

fikr ka lamha mire ehsaas pe chaane laga

chaa rahii hay chaar suu kaisii balaa, hanstii huee

maGhribii tehzeeb kii kalii ghataa, uThtee huee

munh chiRaatii hay hamarii mashriqii tehzeeb ka

izzat-o-naamoos ki dhajji har-ik, uRtee huee

raat ki raanii bhi apnii zaat meiN meh,boos hay

chand sikkoN ke liye baazaar meiN biktii huee

mar gaee Ghairat se shaaKh-e-gul, jo guzra saaniha

raat uski hi kalii, be-aab saa motii huee

lekin aiy lakht-e-jigar! tuu hay mira woh e,timaad 8)
jheel meiN jaise keh ho bas, chaandinii chantii huee

aaj hay NAJMA, watan kii maaN


sham,a ban ke har andhere ko nigaltii jaaey gii

