Search found 500 matches

by muhammad_19k
Wed Apr 18, 2007 6:05 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Tamaam Sahr Hi Dushman Hai Kya..........
Replies: 9
Views: 927

Janab Munir Armaan Nasimi SaHeb, aap ki ghazal ke aik aik lafz waqitun dil se niklaa huwaa hai. honaa to yehi chahiaye ke koi bhee na tabdeel kiyaa jaa-aye. jo lafz dil se nikalteN haiN un ka rang judaa hi hotaa hai. laikin ye bhi such hai ke agar ye alfaaz achchay tareeqay se paro-aye jaa sakaiN to...
by muhammad_19k
Wed Apr 18, 2007 2:46 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal
Replies: 4
Views: 318

Janab Qudrat Ali Khan SaHeb, Urdu Bandhan meiN aap ko khush amdeed kehtaa hooN. aap ki ghazal bohat achchhi aor mairi pasandeeda beHr meiN hai. aisi khoobSoorat koshish par bhalaa daad na di jaa-aye kiaa kia jaa-aye? daad qabool kijiaye. na woh jaan rahi na woh dil raha na hi dil ki phir woh lugi ra...
by muhammad_19k
Wed Apr 18, 2007 12:33 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Jab mulaqaat be-irada thi.....Ahmed Faraz
Replies: 3
Views: 473

Janab Muzaffar SaHeb,

aap ki wazaaHat ka shukriya. lafz "tunuk" chooNke "tang" likhaa gyaa hai. issi leeaye woh beHr se Khaarij maaloom huwaa. laikin itne baRay shaair ke sha'er bebeHr naheeN ho saktaa iss leeaye meiN ne dostoaN ki madad li.

mamnoon,
Muhammad K. Siddiqui
by muhammad_19k
Tue Apr 17, 2007 1:49 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Jab mulaqaat be-irada thi.....Ahmed Faraz
Replies: 3
Views: 473

Saraa ji, aisi khooobsoorat ghazal paish karne par shukriyaa qabool kijiaye. kia koi dost is miSra' ki taqtee' kar ke mairi uljhan ko door kar saktaa hai? kuch wo kaafar tang libaad thi is se pehlay aik misra meiN rang ko 21 ke wazn meiN istemaal kiyaa gyaa hai. ye daikhiay Hiddat e jaaN se rang taa...
by muhammad_19k
Tue Apr 17, 2007 1:34 pm
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: Meer-o-Saudaa
Replies: 7
Views: 1983

Janab Yasir SaHeb,

kiyaa ashaar par comments daine ki bhi ijaazat hai?
by muhammad_19k
Tue Apr 17, 2007 9:21 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal _ Zindagi ki inteha
Replies: 13
Views: 1382

Salam Sir, meiN maazirat chahtaa hooN ke aap ki itnee tafseel ke baad bhi meiN in nikaat se ittefaaq karne ki position meiN naheeN. ham donoaN ka zaaviyaa nigaah thoraa muktalif hai. 1. mujhe ub bhi intehaaaye zeest ki tarkeeb ki wajaa se abhaam meHsoos hotaa hai. 4. shaer meiN jo mafhoom aap farmaa...
by muhammad_19k
Tue Apr 17, 2007 2:00 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal - beyfikr kabhi aur kahiN ho nahiN sakta
Replies: 8
Views: 534

Janab Sohail Sahib, aik baar phir mukhtisiran likhne ki muaafi chahtaa hooN. Siddiqui Sahib Assalam o alekum aap nay ghazal peRhi aur pasand ki maiN aap ka mashkur huN jin ashaar nay ibham peda kia un per baat ker laitay haiN ------------------------------------------------------------- Suntay haiN ...
by muhammad_19k
Mon Apr 16, 2007 5:09 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal _ Zindagi ki inteha
Replies: 13
Views: 1382

Salam Sir, my comments are in red text. Siddique Sahib Bohat mamnoon huN keh aap nay ghazal peRhnay ki zehmat ki aur ohir apnay qeemati khayalat say bhi nawaza iss meiN mamnoon hone wali koi baat naheeN. meiN smajhtaa hooN ke dostoaN ko eemaandaaraanaa comments dainaa farz hai. yahan pehlay khayal a...
by muhammad_19k
Sun Apr 15, 2007 7:18 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Mahobbat ne teri kiyaa is kadar bekhabar mujhe
Replies: 2
Views: 203

Janab Achaariyaa SaHeb, aap ki aik bohat achchhi koshish maire saamne hai. wazn o beHr mein masaail haiN. umeed hay ke likhte rahaiN ge to to behtari aati jaa-aye gi. darasal maira khyaal hai aap ko beHr samajhne meiN ghalati ho gayee hai. saHeeH wazn hai. 122/122/122/122------ bus yahaaN tak. haan ...
by muhammad_19k
Sun Apr 15, 2007 6:59 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "mira mukhticar yeh shabaab hai"taza tarhi ghazal
Replies: 2
Views: 110

Janab Hamid Baaqri Saheb Kya hi khoob beHr meiN ghazal likh daali hai aap ne. mubarakbaad qabool kijiaye. ye beHr mujhe sab se ziadaa dilkash lagti hai. meiN hoon kaun,kya haooN,kahaaN hooN maiN,mujhay chaahiye yeh jawaab hai miree zeest miclay hubaab hai,mira mukhticar yeh shabaab hai bohat khoob....
by muhammad_19k
Sun Apr 15, 2007 6:32 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aashnaa the pehle, phir naa-aashnaa hote gaYe!
Replies: 8
Views: 248

Janab Mohtaram o Makkram Sarwar SaHeb, Ghazal par chooNke tabSiraaa aap ki meHfil meiN kar chukaa hooN. iss leeaye baraah e rast us baat par aataa hooN jo aap ke Muzaffar Sb ko likhe huwaa khtaa meiN paRhne ke baad zahn meiN aa-ai. Agar manasib jaaniaye to is ki bhi do lafzi wazahat farmaa dijiaye,...
by muhammad_19k
Sun Apr 15, 2007 6:30 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal - beyfikr kabhi aur kahiN ho nahiN sakta
Replies: 8
Views: 534

Janab Sohail SaHeb, leejiaye aap ki ye ghazal bhi daikh li meiN ne. Beyfikr kabhi aur kahiN ho nahiN sakta Her baat peh ab dil to hazeeN ho nahiN sakta Pehla miSra kia keh rahaa hai kuch khaaS samajh naheeN aai Is bazm ki ronaq kehay ji lo koi din aur Yeh rang kabhi zer e zameeN ho nahiN sakta bohat...
by muhammad_19k
Sun Apr 15, 2007 5:40 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal _ Zindagi ki inteha
Replies: 13
Views: 1382

Janab Sohail Malik SaHeb, aaj aap ki ghazal aor phir is par Yasir SaHeb ka taweel tabSiraa nazar se guzraa. chooNke waqt bhi thaa to socha ke apni bhi khetaa chalooN 1. matlaa meiN Yasir Sb ki tarmeem khoobSoorat hai. laikin mien kab ki takraar se bachne ke leeaye samajhtaa hooN ke aise khe meiN koi...
by muhammad_19k
Sun Apr 15, 2007 4:58 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aashnaa the pehle, phir naa-aashnaa hote gaYe!
Replies: 8
Views: 248

Janab Mohtaram o Makkram Sarwar SaHeb, Ghazal par chooNke tabSiraaa aap ki meHfil meiN kar chukaa hooN. iss leeaye baraah e rast us baat par aataa hooN jo aap ke Muzaffar Sb ko likhe huwaa khtaa meiN paRhne ke baad zahn meiN aa-ai. Agar manasib jaaniaye to is ki bhi do lafzi wazahat farmaa dijiaye, ...
by muhammad_19k
Sun Apr 15, 2007 4:41 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :: kyaa kejiye begam ke haiN armaan ziyaadaa :) ::
Replies: 8
Views: 618

Janab Zia Baloach SaHeb

eemaandaari ki baat hai tamaa ashaar hi bohat pasand aa-aye. laikin ye

maiN kaise bataa'oN k yahaaN kon HaseeN hai ?
make-up ki naheeN hai mujhe pehchaan ziyaadaa !


Janab mat poochiaye.

:clap02: :clap02: :clap02: :clap02:
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.