Search found 25 matches

by manu1979
Mon Jan 23, 2023 3:37 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Raste bhi gulaab dete hai
Replies: 0
Views: 270

Raste bhi gulaab dete hai

Dosto bahut saal baad yaha aana hua, maufee chahta hoon , ek nayi ghazal le kar haazir hua hoo, ek dum simple si hai...kuchh dino pehle raste se jaa raha tha to sadak/ raste par gulab pada mila , maine utha liya aur kuchh likha hai,
Gaur farmaiyega

रास्ते भी गुलाब देते है
होसलो को रुआब देते है

ढल ...
by manu1979
Tue Mar 15, 2016 3:01 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain
Replies: 2
Views: 858

Re: Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain

shukriya nafeesa jee aap ka.
by manu1979
Mon Mar 17, 2014 10:51 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain
Replies: 2
Views: 858

Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain

Dosto.n kaafee arse ke baad ek ghazal paise-khidmat mai hai, behr kuchh is tarah hai 1222/1222/1212. insallah pasand aaye to qubool farmaiyega, aur ye naacheez aap ki raay ka muntziir bhi rahega agar koi ghalti bhi nazar aaye to bataaiyega zaroor

Meri aankkho me jo chhuupe savaal hain
Mahobbat ...
by manu1979
Sun Nov 30, 2008 10:41 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jaata nahee
Replies: 2
Views: 448

zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jaata nahee

Zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jata nahee
Vaqt ke kyun ghaanv marham koii bhar pata nahee

Husn chhal hai,ek bh’ram hai bas nazar ka,ishq men
Chaut khaane par bhi kyun sach yeh nazar aata nahi

Umrabhar maine bahaaye ashq ke dariyaa kaii
Yaad men jis kii, vo mere zakhm sehlaata nahi


jab se ...
by manu1979
Mon Apr 14, 2008 5:55 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN
Replies: 5
Views: 836

Re: kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN

Salam 'azeezan,

aek mukhtalif andaaz ki koshish Haazir e khidmat hai aor aap ki raa-aye ki ashad zaroorat hai.


Khawar.


1.
kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN
in badalte huway Haalat pe mucbat socheN

2.
ham bhalaa janeN hi kyaa taaqat e parwaz abhi
din nikal aa-aye agar raat pe ...
by manu1979
Sun Apr 13, 2008 5:48 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Nazm.......!!
Replies: 8
Views: 2220

Re: Nazm.......!!

Assalam-o-alaikum,

aek nazm jo apne haaliya safar ke tassuraat per likhi.

Nazam.........!!

"Deccan" ki bahaareiN vo gali koocha o bazaar
bachpan ki sabhi yadeN huuweeN taza phir ik baar

abaad ghar aadha tha tou veeraaN bhi tha aadhaa
deevaareN sisaktee huwee veeraan sa kamraa

awaaz mere ...
by manu1979
Sun Apr 13, 2008 5:30 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Jab se dekha tumhe toh khuda kar chale
Replies: 3
Views: 564

Re: Jab se dekha tumhe toh khuda kar chale

Urdubandhan ke sabhii dosto.N ko manu kaa aadaab. Aaj badi muddat ke baad kuchh likhane ka man banaaya hai,aur vp bhi apni ek puraani kaavisih ko ghazal men tabdiil kar ke piash kar raha hoon.Aap sabhee dosto.N se iltiijaa hai kii is ghazal ko padh kar apnii qeemati raay se ise nawaaze.Maine is ...
by manu1979
Sat Jan 19, 2008 7:56 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Jab se dekha tumhe toh khuda kar chale
Replies: 3
Views: 564

Jab se dekha tumhe toh khuda kar chale

Urdubandhan ke sabhii dosto.N ko manu kaa aadaab. Aaj badi muddat ke baad kuchh likhane ka man banaaya hai,aur vp bhi apni ek puraani kaavisih ko ghazal men tabdiil kar ke piash kar raha hoon.Aap sabhee dosto.N se iltiijaa hai kii is ghazal ko padh kar apnii qeemati raay se ise nawaaze.Maine is ...
by manu1979
Sat Jan 19, 2008 7:44 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal-Gam mire phir zab^t mera aazmaane aa gaye
Replies: 3
Views: 497

moHtaram Manu SaaHib tasleemaat! :-)

Aap kee Ghazal jo keh aap ke jazbaat aor dard kee nishaandahee kar hai. achchee koshish hai. yeh Ghazal jaesa keh aap jaante haiN keh beHer-e-ramal mucammin meHZoof meN kahee gaee hai. ya'nee mucammin hone kee wajah se is ke kul aaTh arkaan huwe. aor is ...
by manu1979
Tue Jan 01, 2008 5:38 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal-Gam mire phir zab^t mera aazmaane aa gaye
Replies: 3
Views: 497

Thanx sara j

manu ji,

adaab aur naya saal mubarak,

ghazal pasand aayi kuch shair to dil ko chuu gaye.

daad qubool keejiye aur zor e qalam aur ziyada.

sara

Sara jee aap ne is kalaam par aa kar, ise padh kar aur pasand kar ke mujhe jo hosala-afsaayi dii hai us ke liye aap ka mamnoon hoon maiN. Dar'asal is ...
by manu1979
Thu Dec 27, 2007 7:03 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "kal mehrbaaN haujaayega" taza tarhi kalaam peshay
Replies: 3
Views: 550

waa waaaaaaah

bahoot khoob ghazal kahii hai haamid jee, dil ki gehraayiyo se mubarakbaad qubool kareN
khas kar yeh ashara kuchh jyada hee pasnda aaye,aur dil ke kareeb rahe.

maiN andheray ka makaaN hooN rauz kehti hai zameeN
bankay insaaN aa, tira raushan makaaN haujaayega

aadmi laakhoN haiN haamid,haiN yahaaN ...
by manu1979
Thu Dec 27, 2007 6:37 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal-Gam mire phir zab^t mera aazmaane aa gaye
Replies: 3
Views: 497

ek ghazal-Gam mire phir zab^t mera aazmaane aa gaye

aada'b dosto.N aaj qaafee vaq^t baad yahaa.N aana hu_aa hai,Vaqt kee paabanddi kii vajah se likhane ka mauka nahee milta phir bhi apne jazbaatoN ko ghazal ke dhaa.nche me.n Dhaal kar phir is mehfil me.n haazir hu_aa hoon.mai.N ummid kartaa hoon ki aap sab ki ashaaon par khara utar sakoo.n. Meri har ...
by manu1979
Sat Aug 18, 2007 1:55 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ~*~ Jab Hame Jakhm Dil ke Sataane Lage ~*~
Replies: 4
Views: 610

Manish jee: aadaab aur namaste!

mujh ko afsos hai keh maiN is se pehle naheeN likh sakaa. har jagah kee har cheez dekh naheeN saktaa aur dekh bhee looN to likhnaa mumkin naheeN hai. phir doosree meHfiloN se bhee dost likhne ko kehte haiN yaa iSlaaH aur madad maaNGte haiN. Khair mujh se jo ho ...
by manu1979
Mon Aug 13, 2007 8:15 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ~*~ Jab Hame Jakhm Dil ke Sataane Lage ~*~
Replies: 4
Views: 610

Post kii gayi ghazal modified hai , yaani ghaltiyaa sudhaar kar fir se likhi hui hai.

raay ka muntzir hoon

regards
manu
by manu1979
Mon Aug 13, 2007 8:01 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ~*~ Jo vafaa ka yaqeeN dilaate haiN ~*~
Replies: 7
Views: 1226

hi

Manu jee: namaste!

maiN kal hee Europe ke safar se waapas aayaa hooN. aap kee Ghazal aur us par dostoN ke Khat^ bhee dekhe. taqreeba" sab baateN in dostoN ne dekh hee lee haiN lekin maiN ne sochaa keh maiN bhee kuchh likh dooN. ho saktaa hai keh is se koyee nayee baat nikal aaYe aur nah bhee ...