Search found 40 matches

by Anis Hasan
Tue May 29, 2007 4:54 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aik Qita'
Replies: 1
Views: 144

Aik Qita'

Dosto Aadab,
Apna aik qit'a aap sub ki nazar kar raha houn.

YOUN TU MERI DUNIYA MEIN, MERAY IRD GIRD AB BHI
BE-SHUMAR SAATHI HAIN , BESHUMAR BAATAIN HAIN
PHIR BHI AYE MERI JAANA'N IK TERAY NA HONAY SAY
BE-QARAR DIN MERAY, BE-SUKOON RAATAIN HAIN

ANIS HASAN
by Anis Hasan
Thu May 17, 2007 8:01 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Mehfil e sukhan ke liye
Replies: 7
Views: 954

Mohtarma Sara saheba,
Aap ki ghazal achi hai pasand aayee khas taur par teesra shair buhat pasand aaya meri janib say daad qabool kijiyay.
Anis Hasan
by Anis Hasan
Tue Apr 10, 2007 4:21 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: dastaan-e-ishq ko jab mukhtasar us ne kiyaa........ghazal
Replies: 7
Views: 809

Re: dastaan-e-ishq ko jab mukhtasar us ne kiyaa........ghaza

sab ki khidmet mein tasliimat, aek ghazal pesh hai jo Parveen Shakir aur Muneer Niazi ki ghazal's se mutassir hoker likhi, umeed ke pasand fermaiyenge aur apni raaye se nawazenge. Ghazal: 1. daastaan ishq ko jab mukhtaSar us ne kiyaa maiN ne yeh samjhaa mujhe be baal o par us ne kiyaa 2. aaye din j...
by Anis Hasan
Sat Mar 17, 2007 6:50 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AIK GHAZAL
Replies: 5
Views: 496

Mohtaram Anis Hasan Saheb :salaam: DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN Bohat achcha matla'a hai. MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN "Maut bus naheen aati rooh..... Bohat k...
by Anis Hasan
Sat Mar 17, 2007 6:48 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AIK GHAZAL
Replies: 5
Views: 496

Re: AIK GHAZAL

Apni aik ghazal aap sub doston ki khidmat mein pesh kar raha houn apni aara say zaroor nawaziay ga. DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN ZINDA...
by Anis Hasan
Sat Mar 17, 2007 6:44 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AIK GHAZAL
Replies: 5
Views: 496

Re: AIK GHAZAL

Apni aik ghazal aap sub doston ki khidmat mein pesh kar raha houn apni aara say zaroor nawaziay ga. DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN ZINDA...
by Anis Hasan
Thu Mar 15, 2007 4:42 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AIK GHAZAL
Replies: 5
Views: 496

AIK GHAZAL

Apni aik ghazal aap sub doston ki khidmat mein pesh kar raha houn apni aara say zaroor nawaziay ga. DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN ZINDAG...
by Anis Hasan
Sat Apr 23, 2005 9:40 pm
Forum: Moshaairah
Topic: "phool khiltey hain muskaraney se" Tarhi ghazal
Replies: 15
Views: 1784

Re: "phool khiltey hain muskaraney se" Tarhi ghaza

Aziz membran meri kuch basat tou nahin magar phir bhi meri yeh kawish hazir hai aap ki aara ka intizar rahey ga zmufti Tumko fursat nahiN zamaney se Hamko Sapney naye sajanayse Aur barh jaye gi yeh ruswaai Zakhm-e-dil har eik ko dikhaney se Tu Sitamgar sahi magar phir bhi Kia miley ga hameN rulaney...
by Anis Hasan
Fri Apr 15, 2005 8:48 pm
Forum: Moshaairah
Topic: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Replies: 23
Views: 2097

Re: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4

sathiyo aadaab tarahii ghazal g/4 k saath hazir hooN.asaatizah ki aa,raa, ki muntazir rahoongii. :-) Mohtarma Najma sahiba aap nay tarahee misray par buhat umdah ghazal likhi hai. Waisay tu tamam hi ashaar buhat achay hain taham shair no.2, 4 aur 6 khusisiat kay saath lajawab hain meri daad qabool ...
by Anis Hasan
Thu Apr 14, 2005 8:53 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN......................
Replies: 12
Views: 1620

Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................

G H A Z A L KyooN gurezaN haiN aap aane se Rabt baRhta hai aane jaane se Ek insaaN ka qatl behtar hai Ek insaan ka dil dukhane se AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya Shaah ko kya mila Khazane se Gham manana hai gul ka moorjhana "Phool khilte haiN muskurane se" Kya mila hai jo ab milega tu...
by Anis Hasan
Sat Apr 09, 2005 9:58 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!
Replies: 10
Views: 979

Re: tu jo hangaama-e-mehshar maiN mujhay yaad aaya!!

Mohtarma Nigaah aap ki yeh ghazal majmooyee taur par buhat achi hai taham mujhay zaati taur par yeh ashaar ziyada pasand aayay. tujhe maaNgooN maiN tiray jor ke kaffaaray meN too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa hum wo Khuddaar haiN,Khud ko hi fanaa kar leNgay bhool kar lab pe agar kalmaa...
by Anis Hasan
Tue Apr 05, 2005 8:06 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik ghazal
Replies: 6
Views: 524

Motaram Dawood Rizwan saheb buhat khubsurat ghazal say nawaza hai aap nay saray hi ashaar behtreen hain meri daad qabool kijiyay.
by Anis Hasan
Sat Apr 02, 2005 10:12 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik ghazal
Replies: 14
Views: 1034

Re: aik ghazal

aadaab, kuch arse kee ghair haaziri ke ba'd aik ghazal le kar mehfil meN haazir huyee hooN. umeed hai ke ghazal par aap dost apni baish qeemat raa'e kaa izhaar karne meN bukhl se kaam naheeN leN ge :) http://www.geocities.com/naheedv/roshani-ye-kis-ki-khiRkiyoN-meN-bole.gif 1. dadr.e.hijr peham dha...
by Anis Hasan
Sat Apr 02, 2005 10:03 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: MERI EK MUNFARID GHAZAL AAPKE HAWALE........................
Replies: 7
Views: 686

Re: MERI EK MUNFARID GHAZAL AAPKE HAWALE....................

:::::::::::::Ghazal::::::::::::::: MaiN hooN mazdoor mahal maiN ne banaaye haiN magar Meri qismat meN thakaawaT ke siwa kuch bhi nahiN Gham ke har ghoonT meN shamil haiN khooshi ke qatre Jaam-e hasti meN milawaT ke siwa kuch bhi nahiN Kal ke shahoN ne kiya aaj gadaii ka safar Yeh safar waqt ki karw...
by Anis Hasan
Wed Mar 23, 2005 7:54 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AIK GHAZAL
Replies: 8
Views: 804

Re: AIK GHAZAL

salaam moHtaram Anis Khan saaHib, aapkaa kalaam paRh kar bahot lutf aayaa...aapke kalaam meN ustaadaanah rang paayaa jaataa hai. masha Allah aap se hameN bahot kuchh seekhne ke mavaaq'e mileNge. aapkii Ghazal ke har har ash'aar jaam'e aur dil_kash aur Haseen haiN. Khayaalaat kii aafreenii hai. zaba...