Search found 21 matches
- Tue Apr 19, 2005 5:24 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta
- Replies: 14
- Views: 1309
Ibn-e-Siddique Sahib Aadaab bohot hi umda aur khoobsoorat ghazal haiy, lafz aur maaine dono hi dil choo lene waale hain. giraah bhi bohot khoob baandhi haiy aapne, ghazal ka har sheyr bazaaye khud taareef haiy magar ye sheyr sabse ziyada pasand aayaa zeib detaa hi nahiN mujh ko mukammal hona * maiN ...
- Mon Mar 21, 2005 8:15 pm
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: ae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey
- Replies: 15
- Views: 1552
Re: ae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey
aslaam_u_alikam ae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey khaamosh hun magar meraa dil bekaraar hey aankhien yeh raasta teraa dekhein hain baar baar aur ab bhi bepanaah mujhey tujh sey pyaar hey her dam key jhootey wadon sey yeh dil figaar hey is dil ko merey tujh sey shikayat hazaar hey ser kham ...
- Mon Mar 21, 2005 8:05 pm
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: qaraar kho k
- Replies: 11
- Views: 1070
Re: qaraar kho k
http://img.photobucket.com/albums/v459/nobody4ever/qarar.jpg Safiya ji k liay Roman maiN :-) [ color=olive] 1- Qaraar kho k dil-e-be qaraar baaqee hai jo zakhm khaaey heN un kaa shumaar baaqee hai 2- ubuur ker tau chukee dasht maiN junooN kaa magar hanuuz saamne ik raigzaar baaqee hai 3- sunaak ...
- Mon Mar 21, 2005 9:27 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: Aap bhi mujh pe tuhmat lagaane lage
- Replies: 12
- Views: 1047
Re: Aap bhi mujh pe tuhmat lagaane lage
aslaam_u_alikam guz#43 per kuch mian ney bhi likha hey. jo aap sa key samney hazir hey. umeed ekrti hun keh aap sab apnii aara sey zaroor nawaazein gey. chaand taarey bhi jab rooTh jaaney lagey hum terii yaad sey gher sajaaney lagye choR ker jab mujhe door jaane lage dermiyaaN faasalon ko bharaaney ...
- Mon Mar 21, 2005 9:07 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: qaraar kho k
- Replies: 11
- Views: 1070
Re: qaraar kho k
http://img.photobucket.com/albums/v459/nobody4ever/qarar.jpg Tahira saheba :o Aadaab kubool karen, taareef aur shiqayat dono hi lekar aayee hun mey aapke paas, aapki ghazal paDne ki koshish ki :? aur jitni bhi paD paayee bohot acchhee lagi. :grin: shiqayat kyaa guzaarish samjhen, ke baDi ...
- Mon Mar 21, 2005 8:52 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: AIK GHAZAL
- Replies: 8
- Views: 852
Re: AIK GHAZAL
Apni aik ghazal aap sub ahbaab ki khidmat mein paish kar raha houn parh kar apni aa'ra say zaroor nawaziyay ga. YEHI AHWAAL RAKHNAY HAIN ISI HAALAT MEIN REHNA HAI YEH HUM NAY TAY KIYA HAI AB YOUNHI WEHSHAT MEIN REHNA HAI KOYEE MAUSAM KOYEE RUT HO TUMHARAY QURB KI HUM KO KABHI KHAWAHISH MEIN REHNA ...
- Mon Mar 21, 2005 8:40 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: taza ghazal ke ashaar
- Replies: 5
- Views: 411
Re: taza ghazal ke ashaar
Badla nahi hai jaada e manzil tamaam umr mahwer se kab hata hai mera dil tamaam umr uljhaa raha hai zahir o batin ki jang mai mai khud na ban sakaa mere qabil tamaam umr ehsaan mujh pe kargayaa ban kar adoo mera tha merey dostoN mai jo shamil tamaam umr mai aks ban ke deeda o dil mai basaa rahaa ...
- Tue Mar 15, 2005 10:38 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: naz^m: Ek Sawaal!
- Replies: 9
- Views: 851
WAAH
Sarwar sahab
bohot umda nazm haiy , mubarakbaad kubool karen.
chot kaafi gehri maaloom hoti haiy, yun lagha ke khushi, ghum, mohabbat, tawakku, har kashmakash ko kalam band kar liya haiy aapne.
Safiya
bohot umda nazm haiy , mubarakbaad kubool karen.
chot kaafi gehri maaloom hoti haiy, yun lagha ke khushi, ghum, mohabbat, tawakku, har kashmakash ko kalam band kar liya haiy aapne.
Safiya
- Tue Mar 15, 2005 10:25 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: :: KaheN waai'z walii na hojaaye :: 11 asha'aar :-)
- Replies: 10
- Views: 668
Bohot acche
Zia sahab Aadaab aur tasleemaat kubool karen, ye aapki pehli ghazal paDi haiy humne, aur choonke abhi yahaan ziyada din nahi huve hain isiliye is tarahi misre waali ghazal kisi aur ki abhi nahi paDi haiy humne. haan albatta aapki ghazal bohot pasand aayee, sheyr 4,6,9 aur 10 bohot pasand aaye, baaqi ...
- Mon Mar 14, 2005 5:25 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: dil ke zakhmoN pe....
- Replies: 12
- Views: 1176
bohot khoob
Asad saahab Bohot hi khoobssorti se girah baandhi haiy aapne, ghazal ka har sheyr khoob-dar-khoob haiy maghar ye kuch ziyada pasand aayen hain dasht-e-furqat meiN vo choR aaye hameN un se milne meiN ham ko zamaane lage chehra apnaa khud aksar lagaa ajnabee apne qisse hameN khud fasaane lage aashiqee ...
- Sat Mar 12, 2005 8:48 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: Ghazal: "jab se ham chaar paise ..."
- Replies: 14
- Views: 1134
Bohot khoob
Aadaab, Waah bohot khoob, ghazal ka mizaaz bhi judaa haiy aur andaaz bhi juda, veyse aapki ye ghazal kisi taareef ki mohtaaj nahi lekin ye kehna zaroori haiy ke kaafi arse baad itni acchhi ghazal paDi haiy ,jiske har lafz se sehmat hoon main. Zindaghi ke behad kaDvi haqeeqton ko bohot hi ...
- Sat Mar 05, 2005 8:56 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: kia kahuuN? kaise kahuuN? kiuN baat aadhii rah gaii?
- Replies: 1
- Views: 263
Re: kia kahuuN? kaise kahuuN? kiuN baat aadhii rah gaii?
salaam dosto, aaj aapkii Khidmat meN apnii ek bahot hii puraanii Ghazal pesh karne kii jasaarat kar rahaa huuN is ummeed ke saath ki aapkii tab'a-e-naazuk par baar-e-giraaN na hogii. shukria. 1. kia kahuN? kaise kahuN? kiuN baat aadhi raih gai! ho gai nisbat magar hone se shaadi raih gai!! 2. phool ...
- Sat Mar 05, 2005 8:47 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: Jo muhabbat se daamaan churaataa raha
- Replies: 6
- Views: 666
Re: Jo muhabbat se daamaan churaataa raha
Azeezaan-e-bazm Aadaab-o-tasleemat ek baar phir ham iss bazm meN maujood heN apni ek taaz ba taaza tuk' bandi ke saat jo jaise jaise bina soche samjhe zabaan se adaa hotaa raha ham likhte chale gaye aur yeh daikhe baghair ke ghazal ke mayaar par pooraa utartaa bhi hai yaa naheiN. :oops: umeed ...
- Sat Mar 05, 2005 8:27 am
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab
- Replies: 16
- Views: 1355
Assalam alaikum Safiya Ji main bhi bazm main aap ko Khush amadeed kehti hooN....aap nay kaha aap ko Urdu thik say bolni ya paRhni nahiN aati ..... lekin is ke bawujood aap ko shairi say ladao hai aur likhti bhi haiN mashaAllah...tou janab!!....muhabbat tou Khud bohut say maraahil aasan kar deti hai ...
- Sat Mar 05, 2005 8:24 am
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab
- Replies: 16
- Views: 1355