Search found 26 matches

by Shafeeq
Tue Jan 16, 2007 9:38 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek Ghazal
Replies: 1
Views: 130

Ek Ghazal

bachcha dil ka suroor hota hai,bachcha aankhon ka noor hota hai
bequsoor ek wahi hai duniya mein,warna sab se qusoor hota hai

kashti-e-dil ke gharq hone par,jis ko haasil suroor hota hai
us shikasta jigar se kya poochhen,mit ke kitna ghuroor hota hai

saadgi dil hai,aql purkari;tajruba rang de ...
by Shafeeq
Tue Jan 16, 2007 9:38 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek Ghazal
Replies: 1
Views: 132

Ek Ghazal

Chale jidhar se qayamat udhar bapa ke chale
Rahe hayat mein maqtal kayee saja ke chale

Jahan jahan se chale fitne who jaga ke chale
Badan ke apne tamawwuj ko kya badha ke chale

Kis ahtiyat se guzre akele dekho to
Nazar mein aake chale ya nazar bacha ke chale

Who seena taan ke aaye the seena kobi ...
by Shafeeq
Tue Jan 16, 2007 9:37 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek Ghazal
Replies: 1
Views: 191

Ek Ghazal

Jo mera qalb-o-jan ka bhi makeen hai
Wohi mera khuda ,mera ameen hai

Jahan par tu hai who khuld-e-bareen hai
Bashar ke waaste sab kuch waheen hai

Gunahgaar-e-falak jab khud zameen hai
To phir kyon aasman hi sharmgeen hai

Kahan hain wirsa-o-tehzeeb qadren
Hai kuchh to zan,ya zar,ya ...
by Shafeeq
Tue Jan 16, 2007 9:35 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek Ghazal
Replies: 1
Views: 141

Ek Ghazal

Ehle –Bazm, Tasleemat

Baad muddat ke aap ki mehfil-e-sukhan mein apni chaar ghazlon ke saath phir haazir hoon. Umeed hai ke aap sab inhen pasand farmaenge.
Main Janab-e-Abdur Rahman ka mamnoon hoon ke unhi ki madad se aap tak pahunch raha hoon.

Aap ka, Shafeeq

Lutf-e-sukhan se aisa hai ...
by Shafeeq
Sun Aug 27, 2006 11:24 am
Forum: Anjuman
Topic: "misr'a lagaaiye"
Replies: 22
Views: 6140

hum parvarish-e-loh-o-qalam karte range
jo dil pe guzarti hai raqam karte rahieN ge--Faiz


'jo ruke tau koh-e-giraaN thhe hum, jo chale tau jaaN se guzar gaye'
by Shafeeq
Sun Jul 09, 2006 7:39 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Dil se tumhari yaad bhulane chala hun main
Replies: 2
Views: 273

Dil se tumhari yaad bhulane chala hun main

Dil se tumhari yaad bhulane chala hun main
Lau aur sham-e-gham ki badhane chala hun main

Phir doob ne chala hun kisis ki nigaah mein
Phir hosh kho ke hosh mein aane chala hun main

Behtar woh maut hai jo mile zindagi se door
Veeraniyon mein khud ko lutane chala hun main

Bekaar zindagi ye ...
by Shafeeq
Sun Jul 09, 2006 7:37 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Kahin fard se anjuman ban gaya hun
Replies: 1
Views: 150

Kahin fard se anjuman ban gaya hun

Kahin fard se anjuman ban gaya hun
Kahin anjuman mein akela mila hun

Ujaalon ka andaz pehchanta hun
Andheron mein pal kar nikhar sa gaya hun

Zamane se keh do idhar se na guzre
Main zulfon ki chhaon mein susta raha hun

Wahin aayee hai mujh ko lene ko manzil
Jahan thak ke main raah mein gir pada ...
by Shafeeq
Sun Jul 09, 2006 7:36 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek Ghazal:Gham ki ta'beer mein umr saari gayee
Replies: 1
Views: 168

Ek Ghazal:Gham ki ta'beer mein umr saari gayee

Ehl-e-Bazm,aadab.ek ghazal pesh-e- khidmat mein hain. Mulahiza farmayen


Gham ki tabeer mein umr saari gayee
Is tarah zindagani sanwari gayee

Zulf-o-rukhsar ka faiz jaari raha
Din bitaya gaya ,shab guzari gayee

Uski aankhon ke saaghar bhi chhalke nahin
Ek arsa hua baadakhwari gayee

Door mehfil ...
by Shafeeq
Sat Jun 24, 2006 10:26 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek ghazal: Shaam palkon ki nahiN,....
Replies: 2
Views: 216

Ek ghazal: Shaam palkon ki nahiN,....

Ehl-e-bazm,
Mohabbat-o-aqeedat

She'ri zauq rakhne wale mere ek aur dost Abdur Rahman sahib ki madad se aaj phir aap ki adabi mehfil mein ek ghazal ke saath shareek horaha hoon.
Mulahiza farmaiye.


Shaam palkon ki nahiN,zulf ka saaya bhi nahiN
Badh chalo aur ke ye shehr-e-tamanna bhi nahiN

Ab ...
by Shafeeq
Wed May 17, 2006 12:52 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek nazm
Replies: 1
Views: 248

ek nazm

ahl-e-bazm,
tasleemaat.
az raah-e-talattuf jo aap sab ne mere ash’ar ki pazeeraii farmayi hai, qaabil-e-qadr hai.
m’arooza yeh hai ke computer se nawaaqifiyat ki bina par jawaab dene maiN baar baar taKheer hui hai. lihaaza m’uafi ka khwaastgaar huN. aur aaj Daanish hi ki madad se aap ki mehfil ...
by Shafeeq
Wed May 17, 2006 12:49 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal
Replies: 1
Views: 150

ek ghazal

apne zakhmoN ka mehka ke ban
hum ne toRaa Ghuroor-e-chaman

ab kahaaN Qutb ka woh Dakan
jis ki tehzeeb Gang-o-Jaman

phool tau khilke murjhhaa chuke
reh gayi Khar-o-Khas ki chubhhan

hum ne rakkhaa jahaN bhi qadam
bujh gayi raah-e-daar-o-rasan

raas aaya na Gham bhi mujhe
de rahi hai ...
by Shafeeq
Wed May 17, 2006 12:48 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal
Replies: 2
Views: 289

ek ghazal

jab mohabbat ki ibtidaa karna
tum mujhe yaad kar liya karna

unki zulfoN ke pech waa karna
gardish-e-waqt ko rihaa karna

tere band-e-qabaa ka khulna hai
uThhte sooraj ka saamna karna

faaslah kuchh tau hum meiN tum meiN rahe
ajnabi ki taraH milaa karna

zindagi zaKhm hi sahee lekiN
haNste ...
by Shafeeq
Wed May 17, 2006 12:46 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek ghazal
Replies: 1
Views: 156

ek ghazal

ek tau haiN jism ki raanaiyaaN
aur us par aap ki angDaiyaN

doosroN par maiN nahiN karta nazar
naapta huN apni hi gehraiyaaN

dekh kar meri nazar ki vus’ateiN
khiNch gayi haiN arz ki pehnaiyaaN

haadiSoN ko le ke aayiiN tau nahiN
de rahi haiN dastakeN purwaiyaaN

ik tamanna thhi sau woh bhi ...
by Shafeeq
Wed Apr 26, 2006 8:39 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ziya hai dil ke sulagne ki baam-o-dar ke qareeb
Replies: 2
Views: 319

ziya hai dil ke sulagne ki baam-o-dar ke qareeb

arbaab-e-zauq ki khidmat meiN eik ghazal pesh hai.
Shafeeq

ziya hai dil ke sulagne ki baam-o-dar ke qareeb
shab-e-firaaq khinch aayi hai ya sehr ke qareeb

yeh haal hai mire dil ka tiri nazar ke qareeb
ho jis tarah se nasheman koi sharar ke qareeb

gali gali meiN woh phhirta hai aaj aawara
kabhi jo ...
by Shafeeq
Fri Apr 14, 2006 8:48 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tarahi ghazal--"jism baar-e-giraaN na ho jaaye"
Replies: 5
Views: 408

mukammal ghazal

Mohtarmi Nazir Saheb, Sara Saheba, Yaasir saheb,

is ghazal par aap sab ki aara jaan kar dili masarrat hui. shukriyah.
isi ghazal ke do shayr shaamil hone se reh gaye thhe jo ab irsaal-e-khidmat haiN. mulaheza ho:

jism baar-e-giraaN na ho jaaye
rooh ka imtihaaN na ho jaaye

sad yaqeeN yak gumaaN ...