Search found 500 matches

by muhammad_19k
Sat Dec 23, 2006 7:58 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Yeh Ghazal Kaisi Hai ???
Replies: 5
Views: 553

Salam Nasmi Sb, Ye hai hamari eemandaraana raa-aye. Tessra shaAer bohat pasand aayaa. oar aakhri shaAer kuch samajh naheeN aaya. :-). Ishaq meiN khasaraa ki parwa na karnaa to samajh aataa hai. chaliaye khasaaraa maangna bhi samajh meiN aataa hai. laikin khasaaraa "naa maangna" kuch samaj...
by muhammad_19k
Sat Dec 23, 2006 1:30 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal#24 - Muhammad Khawar.
Replies: 10
Views: 1193

Salam Sahibaan, ho saktaa hai ke ye yahaaN ke rasm na rahi ho. Oar agar meri baat kissi tarah bhi iss baad adab ke mehfil ki humat ki leeaye toa bus ishaar kar deejiaye gaa. meiN "edit" ke sahoolat se isse khatam kar dooN ga. Tabsarajaat par tabsaraa!!! Mein tamaam dostoan ka shukarguzaar...
by muhammad_19k
Sat Dec 23, 2006 9:58 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota:
Replies: 8
Views: 310

Mohtaram Zia sb,

Mein aap ki wazahaat ke leeaye shukar guzar hooN.

Allah taala aap ko khush rakhay,

Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Sat Dec 23, 2006 7:41 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guz#24 ------> lagaate jaayeN ge naara divaaane!
Replies: 7
Views: 904

Salam janab Hasan Bashir Sb, aap ki naat daikh kar bohat khushi hoee oar aap ke naik jazbaat oar khayaal ki jitni taareef kee-jaye kam hai. Naat likhnaa bhi aik saadat ki baat hai. Jub school life meiN hamare urdu ke teacher ne lafz "naAaat" ki tareef bataai to kahaa ke aisi nazm ya ghazal...
by muhammad_19k
Fri Dec 22, 2006 7:23 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal#24 - Muhammad Khawar.
Replies: 10
Views: 1193

Wallaikum us Salam Wa rehmatullah, Haamid Sb. aap ki daad mere leeaye kiss tamhgay se kam naheeN hay. meiN aap ka shukar guzaar hooN. laikin wohi baat ke tishnigi reh jaati hai mairi shairi ko behtar karne kee leeaye koi aik mashawara agar aap daite rahaiN to meiN bohat shukarguzar hooN ga. regards,...
by muhammad_19k
Fri Dec 22, 2006 11:14 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Zindagi ke Husn Ko..... !!
Replies: 7
Views: 433

oar haan Armaan sb,

koshis keeya karaiN ke nazam ya ghazal ko Roman meiN bhi likh daiN. meraa khayaal hai ke agar aap ne roman meiN ghazal likhi hoti to Sarwar sb ka tabisra iss se bhi ziada dil kash hotaa. ( cut/past ya quote ki sahoolat mil jaati haiN na)

aap ka mukhlis,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Fri Dec 22, 2006 11:12 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Zindagi ke Husn Ko..... !!
Replies: 7
Views: 433

Salam Armaan Sb, Janab meiN apni baat par rehte huway aap ki baat se poori taraH muttafiq hooN. Ahl e fan par asar aataa hai . oar mujh par naheeN aaya. :-). ubb agar aap pardaa paRha hi rehne daiN toa ye aap ki shafqat hai. :-). Allah taala aap ko hamesha khush o khuram rakhe, duago, Muhamamd Khawar.
by muhammad_19k
Fri Dec 22, 2006 5:37 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aek taazah TaraHi ghazal - -- - Abdullah Nazir.
Replies: 7
Views: 296

Qabil e sad ehteram Sarwar sb. Allah taala aap par apni rehmatoaN oar naimatoaN ki baarish kare aap ki inkisaari oar aajzi yaqeenun bohat baRi baat hai. oar Aajazi hai kissi fan mieN bulandeeoaN par lay kar jaati hai. laikin aksiriat ka kia ja-aye jis ko meiN pehle din se aap donoaN ko ustaad ki ki ...
by muhammad_19k
Thu Dec 21, 2006 8:59 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: doosere derje ki shehri....
Replies: 2
Views: 226

Salam Tahira ji, Aazaad shAeri se bohat kam waqif hooN. waise to ghazal ka bhi mujhe "kakh" (punjabi lafz bamaani "khaak") pataa naheeN :-). beHar haal aap ke khayaal par zaroor ra-aye day saktaa hay you ko bohat khoobsoorat hai. yaqeen is mozoo par qalm uthaane ki abhi bohat zia...
by muhammad_19k
Thu Dec 21, 2006 8:54 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ////////"she'r"\\\\\\\\\ Nazm
Replies: 6
Views: 396

Salam Yasir sb,

iss bazm meiN nayaa hooN. aap ki do takhleeqat nazar se guzr chuki haiN donoaN hi bohat pasand aa-aaeN. daad qabool keejiaye.

Talib e ilm,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Thu Dec 21, 2006 8:49 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par ashaar#28-"taSveer" per ashAar likhiye
Replies: 60
Views: 12881

band aankhoaN se zamane meiN chala phirtaa hooN meiN
aankh meiN tasweer jub se hai tairi aa-ee hoee.


ShaAer: Muhamamd Khawar.
by muhammad_19k
Thu Dec 21, 2006 7:50 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :: ik zaraa Sabr aye dil-e-kaafir ! ::
Replies: 7
Views: 430

Zia sb, aik oar khoobsoorat oar maiyaari ghazal paish karne par shukriya oar daad qabool keejiaye. Muzaffar sb pehle hi aik tabseray mein farma chuke haiN ke aap ki khuda daad salahiat ke ghazal ke tamaam ashaar aik jaise khoobsoorat maAeaar par hote haiN. laikin phir bhi aap jaante haiN ke har qaar...
by muhammad_19k
Thu Dec 21, 2006 7:43 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN hota:
Replies: 8
Views: 310

Re: :jalaa hai dil to meHfil meiN chiraaGhaaN kyooN naheeN h

Zia sb. iss meiN koi shak naheeN ke aap ki ghazal bohat hi khoobsoorat hai oar har aik shaAer bohat hi umdaa hai. Saara ji ne bilkul theek kahaa ke ustaad mohtaram ke sanad oar muzaffar sb ki pazeerai ke baad kuch kehne ki gunjaish hi naheeN rehti. haan aik do bataoN ki wazaahat agar ho ja-aye to me...
by muhammad_19k
Thu Dec 21, 2006 8:03 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Zindagi ke Husn Ko..... !!
Replies: 7
Views: 433

Munir sb, Itni khoobsoorat ghazal paish karne par dilli shukriya qabool farma-aye. Ahl e fan koi bhi hao waoH zamaane ek badalte huway taiwar se apne fan ko bohat diar tak bacha ke naheeN rakh saktaa oar kayee martabaa us ke fan meiN zamana ke rang chhalakna shroo ho jaataiN haiN. aap ki ye jadeed g...
by muhammad_19k
Thu Dec 21, 2006 7:41 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aik taza ghazal
Replies: 6
Views: 573

Salam Akif Sahib, aik khoobsoorat ghazal par mubarik baad qabool keejiaye. oar jiss khoobsoorat tareeqay se aap ne paish ki hai. woh uss se bhi aHsan hai. aik chhoti si qabhat ye hai ke aap ne ghazal roman meiN nahi likhi. iss taraH assataza ko comments daine meiN mushkil ho sakti hai.( waise meiN ...